Aadha Saal Ka Nind , Jinn Ki Kahani

Aadha Saal Ka Nind , Jinn Ki Kahani.

Adha saal ka nind


Bahut se kahani jinn jinnat ke bare me sun rakha hoon. Nahi pata jinn jinnat hote hain ya nahi. Ab bhi shaq hain. Sirf un takat ke bare me suna hi hoon. Par dekha to nahi hoon. Na to kabhi jinn jinnat ka sakal ya surat dekha hoon.

Padhe :-Khoon Ki Pyasi Chudail , Ek Chudail Ki Kahani.

Mere gaon ke log ya bahut se aadmi aise hain. Jisne mujhe bataya ki jinn jinnat hote hain. Par dikhte nahi hain. Ek baar ek ladka mujhe jinn jinnat ka kahani suna raha tha. Ki kaise ek aadmi aadha saal ka nind pura karta tha. Uske sath aisa ho gaya ki wo aadha saal ka nind pura karta tha. Aur aadha saal jag kar bitata tha.

Padhe :-Andhere Me Chudail Ki Aahat , Chudel Ki Kahani.

Main to soch me pad gaya ki aisa bhi hota hoga kya. Par jo bhi ho uski kahani bahut rochak hain. Jisne aadha saal ka nind pura kiya aur aadha saal jag kar bitaya. Wo aadmi kaha ka tha. Ye mujhe malum nahi. Bahut pahle uske bare me suna tha. Kahani to kahani hota hain. Shayad kabhi hakikat ke karib raha hoga.

Padhe :-Ajib Si Ghabrahat , Bhoot Pret Ki Kahani.

Par mujhe wo kahani achchha laga. Aadha saal ka nind. Kaise koi aadha saal nind me aur aadha saal jag kar gujar deta tha. Kahani kuchh is tarah ka hain. Ek aadmi jo ki haida naam ke jagah par kaam kiya karta tha. Kisi karkhana me permanent kaam karta tha. Usi jagah par thoda jamin kharid kar apna ek ghar bhi bana liya.

Padhe :-Raste Me Betal , Ek Betal Ki Kahani.

Uska ghar ek mohalle me tha. Roj subah jag kar aur tayyar ho kar duty chala jata. Jab kaam khatm hota tab hi wapas apne ghar aata. Zindagi uska thik thak chal raha tha. Par ek din usne ek galti kar di. Jiske karan uska zindagi puri tarah se badal gaya. Jo aadmi roj duty jaya karta tha.

Padhe :-Bhootiya School , Bhoot Pret Chudail Ki Kahani.

Ab wo aadha saal hi duty jata aur aadha saal ka nind rahta tha. Kya hua ki ek baar jab uska saptahik chhutti tha. Us din wo apne ghar ke chhat par baitha hua tha. Subah subah ka samay tha. Usne dekha ki ek bilkul safed rang ka kabutar udta hua aaya. Aur uske ghar ke chhat par aa kar baith gaya. Bilkul safed rang ka kabutar.

Padhe :-Jinn Baba Ka Sthan , Jinn Jinnat Ki Kahani.

Safed rang ka kabutar nidar ho kar ghar ke chhat par ghumne laga. Kabhi idhar udhar jata aur phir chhat par wapas aa jata. Ye sab wo aadmi dekh raha tha. Safed rang ka chamkila kabutar subah subah hi chhat par aaya tha. Tabhi nahi pata use kya sujha. Uske paas hi ek bada sa danda tha. Usne us danda se us kabutar ko maar diya.

Padhe :-Chamatkari Baba , Ek Baba Ki Kahani.

Danda kabutar ko laga jis se murchhit ho kar wo niche gir gaya. Tadap tadap kar marr bhi gaya. Par us din ke baad se uske zindagi me kuchh anhoni ghatna ghatna shuru ho gaya. Subah tayyar ho kar duty to jata. Par jab wapas aata to use aisa lagta ki uske sath koi hain.

Padhe :-Jinn Jinnat Ki Kahani, Jinn Jinnat Ki Duniya.

Jab raat me sabhi so jate to wo nind me barbarane lagta. Baar baar kahta ki mujhe mere ghar chhod do. Baar baar kahta ki mujhe mere ghar tak chhod aao. Raat ke samay aisa hi hone laga. Log samajh nahi paa rahe the ki aisa kaise ho raha hain.

Padhe :-Tantra Vidya Ka Asar , Jadu Tona Ki Kahani.

Par is tarah ka harkat roj hone laga. Ghar ke sabhi log paredhan bhi ho chuke the ki ab kya kiya jaye. Subah duty to samay par chala jata. Par jab raat ke samay ghar wapas aata to bahak jata. Kuchh dino tak aisa hi chala. Is jhamele se pareshan ho kar log bolne lage ki iske upar koi bhoot ka saaya hain. Kisi tantrik ko dikhana padega.

Padhe :-Chudail Ya Kuchh Aur ? chudail Ki Kahani.

Log use le kar tantrik ke paas chale gaye. Jab tantrik apne tantr vidya se pata lagaya to bola ki iske upar jinn ka saaya hain. Koi jinn iske upar sawar hain. Ghar ke sabhi log bolne lage ki ab jinn se kaise chhutkara milega. To tantrik baba bahut jhar phook kiye. Par koi fayada najar nahi aaya.

Padhe :-Ghadi Ka Sui, Bhoot Ki Kahani.

Sabhi pareshan rahne laga. Ghar par raat ke samay bahut barbarate. Log pareshan the. Bahut se doctor se ilaz bhi karaya gaya par fayada nahi hua. Nahi pata kitne doctor fail ho gaye. Par kisi ne bhi use thik nahi kar paya. Par iske baad aisa hone laga ki jo aadmi roj subah tayyar ho kar duty jaya karta tha.

Padhe :-Kaam Wali Reja Ka Bhoot, Chudail Ki Kahani.

Ab subah uski nind khulti hi nahi. Wo soya rahta. Log jagate rahte par wo jagta hi nahi. Jo bhi use jagane ke liye paas jata. To nind me hi uska naam le kar bolta ki. Mujhe jagane ke aa rahe ho. Yaha se jate ho ya main kuchh karu. Kisi tarah koi uske paas ja kar jagane ki koshish bhi karta.

Padhe :- Do Saheli, Darawni Kahani.

To koi aisa ghatna uske sath ghat jata. Ki phir se dubara use jagane nahi aata. Ab ek naya musibat shuru ho chuka tha. Ek baar ka soya kab jagega koi bhi nahi janta tha. Ghar ka mukhiya tha. Ghar chalane ka jimma uske hi kandhe par tha. Agar wo kaam nahi karega to ghar pariwar ka parwarish kaise hoga. Aisa bahut din tak chala.

Padhe :- Aamavas Ki Raat, Dayan Ki Kahani.

Ek baar jo nind aaya wo khulne ka naam hi nahi le raha tha. Ek mahina bhi bit gaya. Par ye chamatkar hi tha. Ki wo kaam par nahi jata. Lekin jab ek mahina hua to company ka koi aadmi uske ghar aa kar pure mahine ka pagar pahucha deta. Us aadmi ke soye hue ek mahina se chhah mahina bit gaya. Chhah mahina ke baad uska nind toota.

Padhe :-Bharat Ka Bhutiya Railway Station.

Uske baad wo sab ko pahchanane laga. Itne dino ke baad nind toota. Sabhi koi hairan the. Subah tayyar ho kar duty chala gaya. Use laga ki itne dino ke baad duty ja raha hoon. To mujhe ab tak kaam se nikal diya hoga.

Padhe :-Bhatakta Fakir, Ek Fakir Ki Kahani.

Par duty gaya to uska naam attendance sheet par likha hua tha. Aur roj ka hazri bhi chahraya hua tha. Matlab ki wo utne dino tak duty naga kiya tha. Par uska hazari chal raha tha. Wo aadmi side office me gaya aur apne manager se bola ki sir main chhah mahine tak duty nahi aaya.

Padhe :-Jinnat Ki Duniya.

Phir bhi aap mujhe payment diye aur ab tak kaam par rakhe hain. Main aadha saal ka nind kaat kar aaya hoon. Phir bhi mera duty chal raha hain. Uski baat sun kar manager bola ki chaah to raha tha. Ki tumhe duty se nikal diya jaye.

Padhe :-Khoon Ki Pyasi Dakini.

Par aisa karne ki ham me himmat nahi nahi. Jab bhi aisa karna chaha kuchh na kuchh ho gaya. Company ko koi na koi nuksan ho hi jata tha. Isliye nahi nikal paye. Company ka manager janta tha ki uske upar kisi jinn ka saaya hain. Isliye wo himmat bhi juta nahi pa raha tha.

Padhe :-Laash Ne Daudaya, Bhoot Ki Kahani.

Par wo aadmi chhah mahine tak thik thak duty kiya. Un chhah mahino tak use nind tak nahi aaya. Raat me sone ka koshish to karta par nind nahi aata. Chhah mahine tak nahi so paya. Par chhah mahine ke baad use phir se nind aaya.

Padhe :-Machhli Bhat, Chudail Ki Kahani.

Jab soya to phir aadha saal ka nind me so gaya. Lagbhag aadha saal ka nind pura kar ke aadha saal ke baad jaga. Aadha saal tak bahut hi gahri nind me so jata. Koi bhi jagane jata to uska naam le kar use waha se bhaga deta. Aisa hi hone laga.

Padhe :-Jinn Jinnat Ki Kahani.

Aadha saal ka nind me sota aur aadha saal jag kar gujar deta. Ghar walon ne bahut kuchh kiya. Doctor se ilaz karaya jhaar phook karaya par koi fark nahi hua. Ek baat to tay tha ki aadha saal ka nind pura kar ke jagta to. Duty jata use pure saal ka pagar bhi milta.

Padhe :-Kya Aatma Hoti Hain.

Jab aadha saal ke nind me rahta to company ka koi aadmi aa kar payment ghar tak pahucha deta. Sabhi jante the ki iske upar kisi jinn ka saaya hain. Aadha saal ka nind me ye jinn ke bas me rahta hain. Aadha saal tak jinn ise jine ke liye chhod deta hain.

Padhe :-Rani Pokhar, Horror Story.

Sirf aadha saal tak hi apne ristedar ya doston se mil pata. Jab tak wo aadmi zinda raha aisa hi chalta raha. Budha ho kar marr bhi gaya. Par ab bhi log uska kahani sunate hain. Ki kaise ek jinn safed kabutar ka roop badal kar us aadmi ke chhat par aaya tha.

Padhe :-Kabr Ki Mitti, Kabr Ki Mitti Churane Se Kya Hota hain.

Jise usne maar diya aur usi din se jinn uske upar hawi ho gaya.

Padhe :-Roohani Takat, Bhoot Ki Kahani.

Padhe :-Kya Aatma Amar Hain.

Padhe :-Belgagra Machhli, Bhoot Ki Kahani.
Padhe :- Bhoot Ka Aawaz, Bhoot Ki Kahani.

Padhe :- Gehuman Saanp, Ek Saanp Ki Kahani.

Padhe :- Aaina Ek Bharm, Bhoo tKi Kahani.

Padhe:- Raste Ki Chudail, Chudel Ki Kahani.

Padhe:-Lamba Saya, Jinnat Ki Kahani.

Padhe:- Sui Dhaga, Chudel Ki Kahani.

Padhe:- Ulta Pair, Chudel Ki Kahani.

Padhe:- Khooni Talab , Bhoot Ki Kahani.