Accident Wali Jagah , Bhooton Ki Kahani

Accident Wali Jagah , Bhooton Ki Kahani.

Accident


Bahut baar anjane me wo ho jata hain. Jiske bare me koi socha nahi hoga. Koi aisa chij dekh lena jo ho hi nahi sakta hain. Accident wali jagah bhi ek aisi hi kahani hain. Ek aisa jagah jaha par kabhi accident hua tha.

Padhe :-Khoon Ki Pyasi Chudail , Ek Chudail Ki Kahani.

Par accident me jitne log mare gaye the. Unki aatma ko shanti nahi mili. Aksar jaha par bhi accident hota hain. Ya phir koi dukhad ghatna hota hain. Us jagah par us chij ka koi na koi chhap jarur rah jata hain. Dil gawahi dene lagta hain ki yaha par kuchh na kuchh jarur hua tha. Dil ka ghabrana ya phir apni aatma se aawaj aana ki ye jagah thik nahi hain.

Padhe :-Andhere Me Chudail Ki Aahat , Chudel Ki Kahani.

Ab yaha se chala jaye. Ye jagah sahi nahi hain. Insaan jaan kar bhi kabhi kabhi chhalawe ke pakad me phas jata hain. Ek baar ki baat hain umesh apne dost ke sath kahi ja raha tha. Umesh ka dost ka naam naresh tha. Umesh ek chhota sa mobile dukan chalata tha aur uska dost mobile repairing karta tha. Naresh apne dost ke sath hi rahta tha. Dono ki achchhi dosti bhi thi. Naresh apne dost ke sath hi rahta tha. Jab bhi umesh ko apne dukan ke liye mobile kharidna rahta tha.

Padhe :-Ajib Si Ghabrahat , Bhoot Pret Ki Kahani.

To naresh ke sath bike se shahar jata. Ya naresh ko mobile ka koi part kharidna rahta to apne dost ke sath jata. Ek baar ki baat hain. Umesh ko mobile kharidna tha. Isliye wo naresh ke sath shahar jane ka socha. Garmi ka samay tha. Tej dhup pad raha tha. Bhari dopahar me umesh apne dost ko bike par baitha kar shahar ki taraf ja raha tha. Dopahar ka samay tha. Rasta bilkul shunshan tha.

Padhe :-Raste Me Betal , Ek Betal Ki Kahani.

Bahut hi kam log raste se aana jana kar rahe the. Umesh bike chala raha tha aur uska dost bike ke pichhe baitha hua tha. Unhe jyaldi thi kyu ki shahar ja kar samaan kharidna tha. Phir uske baad din rahte wapas bhi aana tha. Unke ghar se shahar bhi bahut dur tha. Isliye jyald se jyad shahar pahuchna chah rahe the. Abhi aadha rasta hi gujra hoga ki bich jungle me umesh ko peshab laga.

Padhe :-Bhootiya School , Bhoot Pret Chudail Ki Kahani.

Wo apna bike roka aur naresh se bola ki yaar thoda yahi rahna main halka ho kar aata hoon. Us ne jaha par bike roka tha. Wo thik ek chhote se puliya ke paas tha. Sadak upar ki taraf tha aur niche gahri khai thi. Umesh halka hone ke liye sadak ke kinare khada ho gaya. Par kuchh hi samay me uske kaano me kisi ke karahne ki aawaj sunai di.

Padhe :-Jinn Baba Ka Sthan , Jinn Jinnat Ki Kahani.

Aisa laga ki koi aadmi karah raha hain. Use gambhir chot lagi hain. Karahne ki aawaj saaf sunai de rahi thi. Umesh us aawaj ko sun sakta tha. Sadak par khada uska dost bhi us aawaj ko sun raha tha. Umesh apne dost ke paas aaya aur bola ki yaar tumhe koi aawaj sunai de raha hain. Uska dost bola ki haan yaar aawaj to saaf sunai de raha hain. Mujhe bhi kisi ke karahne ki aawaj sunai de raha hain.

Padhe :-Chamatkari Baba , Ek Baba Ki Kahani.

Aisa lag raha hain ki koi gambhir chot khaya hua insaan puliya ke niche gira pada hain. Naresh aur umesh is aawaj ko saaf sun rahe the. Tabhi umesh bola chal yaar jara chal kar dekha jaye puliya ke niche koun hain. Par naresh bola ki yaar tum jao. Main yaha sakad par rukta hoon. Agar koi gadi is taraf aaya to main use rukwa kar madad ke liye bolunga.

Padhe :-Jinn Jinnat Ki Kahani, Jinn Jinnat Ki Duniya.

Aisa lag raha hain ki koi kisi ko dhakka maar kar bhag gaya. Wo aadmi puliya ke niche gir gaya hoga. Us aadmi ke karahne ki aawaj sun kar umesh puliya ke niche utra. Puliya ke niche pani jane ke ek nala tha. Par waha par jhari bahut thi. Jungle jaisa jhari jis se puliya ke niche dekh pana bahut muskil tha. Umesh puliya ke niche utar gaya.

Padhe :-Tantra Vidya Ka Asar , Jadu Tona Ki Kahani.

Par naresh ab bhi sadak par tha. Karahne ki aawaj saaf aa rahi thi. Umesh puliya ke niche utar kar aawaj ki taraf badha. Par jaise hi us jagah ja kar dekha to koi bhi nahi tha. Par aawaj ab bhi aa raha tha. Umesh chilla kar apne dost se bola ki yaar yaha to koi bhi nahi dikh raha hain. Naresh bola ki aawaj dekh thoda aur aage ki taraf se aa rahi hain.

Padhe :-Chudail Ya Kuchh Aur ? chudail Ki Kahani.

Umesh aawaj ki disha me badha par waha koi nahi tha. Par aawaj aa rahi thi. Umesh phir se puliya ke niche se chilla kar bola. Yaha to koi bhi nahi hain. Naresh upar se hi bol raha tha. Yaar thik se dekh aawaj ki taraf badh. Waha jarur koi hain. Tabhi to aawaj aa rahi hain. Umesh us aawaj ka pichha karte hue jhariyon ke bicho bich ja raha tha. Par aawaj khud ba khud aur aage ki taraf badh ja rahi thi.

Padhe :-Ghadi Ka Sui, Bhoot Ki Kahani.

Tabhi us sadak se ek rahgir paar ho raha tha. Usne naresh ko puliya ke niche jhariyon ki taraf takte hue dekha. Wo rahgir naresh ke paas aa kar ruk gaya aur bola. Ki tum kise aawaj de rahe ho. Tab naresh bola bhai saheb lagta hain puliya ke niche koi zakhmi aadmi hain. Uske karahne ki aawaj yaha tak aa rahi hain. Kisi gadi ne dhakka mara hoga. Jis se wo aadmi puliya ke niche gir gaya hoga.

Padhe :-Kaam Wali Reja Ka Bhoot, Chudail Ki Kahani.

Naresh ki baat sun kar rahgir bola. Ye accident wali jagah hain. Yaha koi aadmi nahi hain. Balki yaha par ek bhoot rahta hain. Jo apne shikar ki talash me yaha bhatakta rahta hain. Kabhi kisi ko puliya ke niche dhakel kar maar deta hain. To kabhi karahne ki aawaj nikal kar apne shikar ko puliya ke niche bulata hain.

Padhe :- Do Saheli, Darawni Kahani.

Is jagah par aksar logo ki laash hi milti hain. Is accident wali jagah par aksar accident hota hain. Apne dost ko wapas bula lo. Nahi to wo mara jayega. Naresh ko bhi us aadmi ki baat par bishwash ho gaya. Kyu ki umesh ko puliya ke niche utre aadha ghanta se bhi jayda ho chuka tha. Par ab tak koi aadmi nahi mila.

Padhe :- Aamavas Ki Raat, Dayan Ki Kahani.

Naresh chillata hua apne dost se bola. Yaar jyaldi bahar aao. Puliya ke niche bhoot hain. Yaha par koi zakhmi aadmi nahi hain. Umesh apne dost ki baat sun kar ghabra gaya. Kyu ki wo puliya se dur jungle ki taraf badh raha tha. Apne dost ke chillane ki aawaj sun kar umesh wapas ki taraf bhaga.

Padhe :-Bharat Ka Bhutiya Railway Station.

Jhariyon me zakhmi hote hue sadak ki taraf bhaga. Bhag kar sidha sadak par aaya. Apne dost ke bike par baitha aur waha se wapas chal diya. Naresh ko bhi pata chal chuka tha ki is jagah par koi bhoot jarur hain. Tab hi aawaj dur hota chala ja raha tha.

Padhe :-Bhatakta Fakir, Ek Fakir Ki Kahani.

Naresh apne dost se bola ki yaar agar koi rahgir nahi aata. To aaj ham dono hi mare jate. Is puliya ke niche koi zakhmi aadmi nahi balki bhoot rahta hain.

Padhe :-Jinnat Ki Duniya,

Padhe :-Khoon Ki Pyasi Dakini.

Padhe :-Laash Ne Daudaya, Bhoot Ki Kahani.

Padhe :-Machhli Bhat, Chudail Ki Kahani.

Padhe :-Jinn Jinnat Ki Kahani.

Padhe :-Kya Aatma Hoti Hain.

Padhe :-Rani Pokhar, Horror Story.

Padhe :-Kabr Ki Mitti, Kabr Ki Mitti Churane Se Kya Hota hain.

Padhe :-Roohani Takat, Bhoot Ki Kahani.

Padhe :-Kya Aatma Amar Hain.

Padhe :-Belgagra Machhli, Bhoot Ki Kahani.
Padhe :- Bhoot Ka Aawaz, Bhoot Ki Kahani.

Padhe :- Gehuman Saanp, Ek Saanp Ki Kahani.

Padhe :- Aaina Ek Bharm, Bhoo tKi Kahani.

Padhe:- Raste Ki Chudail, Chudel Ki Kahani.

Padhe:-Lamba Saya, Jinnat Ki Kahani.

Padhe:- Sui Dhaga, Chudel Ki Kahani.

Padhe:- Ulta Pair, Chudel Ki Kahani.

Padhe:- Khooni Talab , Bhoot Ki Kahani.