Asamay Maut Aane Ke Karan , Maut Ki Kahani.
Din bhar sahi
salamat dikhne wala aadmi. Achanak sham ko pata chale ki uski mritue ho gai.
Koi shaq bhi nahi kar sakta tha ki ye itni jyaldi marr jayega. Kisi ko koi rog
nahi aur pata chala ki wo marr gaya. Par maut ke karan ke bare me kisi ko kuchh
bhi malum nahi.
Ye baat sahi hain
ki nahi pata maut kab kise apne aaghosh me le le. Kab koi apna zindagi khatm
kar le. Maut hakikat hain ye sab jante hain. Par uski bhi ek samay hain. Asamay
maut aane ke karan kya ho sakte hain. Log kahte hain daru cigarette ya phir
kisi tarah ka nasha maut ka karan hain. Par kya we sabhi bimari kisi aise aadmi
ko nahi hota hain.
Jo kabhi daru
cigarette nahi piya ho. Maut to ek bahana hain. Wo kabhi bhi kisi ko apne
aaghosh me le sakti hain. Chahe insan kitna bhi hatta kattha kyu na ho. Par
asamay maut aane ke karan me ek karan dust aatma ka prabhao bhi hain. Kabhi
kabhi koi chudail ya badd rooh bhi kisi ko maut ke ghat utar sakta hain. Maut
hakikat hain. Use aani hain to aani hain.
Par maut ka afsoos
us waqt nahi hota hain. Jab insaan apni puri zindagi ji le aur apne sabhi farz
ko pura kar le. Insaan jab apni puri zindagi ji leta hain aur apne sabhi farz
ko pura kar deta hain. To uski aatma ko bahut shanti milti hain. Use aisa lagta
hain ki uska janm sarthak ho gaya. Nahi to aatma bhi bechain rahti hain. Kuchh
dust aatma nahi chahti hain ki insaan bahut dino tak jinda rahe.
Jo asamay marta
hain jo swabhao se hi dust rahe. Uski aatma bhi dust ban jati hain. Insaan ke
asamay maut ka ek karan kisi ki aatma bhi ho sakti hain. Jo insaan ko marne ke
liye biwash kar de. Aaj main aisi hi kahani likh raha hoon. Jis par bishwash
kar pana bahut muskil hain. Main is dard se gujar chuka hoon. Aur janta hoon ki
kisi apne ko khone ka dard kya hota hain. Wo mera sab se achchha dost tha.
Par kismat ko
kuchh aur hi manjur tha. Ek accident use kaha se kaha le gaya. Apne ghar ka
eklauta ladka tha. Log us se bahut pyar karte the. Uska swabhao bhi bahut achchha
tha. Log to uski mishal tak dete the. Na kabhi khaini ya phir gutkha ya kisi
tarah ka nasha hi karta tha. Sirf apne kaam se matlab rakhta tha. Kabhi kisi se
ladai jhagra bhi nahi kiya.
Agar kahu to bahut
hi sarif ladta tha. Mera naam anuj hain. Main UP ka rahne wala hoon. Jitan mere
dost ka naam tha. Ye kahani mere dost ke upar hi hain. Jitan delhi rah kar kaam
karta tha. Main apne gaon me hi pan ka dukan chalata hoon. Yahi mera pesha hain
aur pan ke dukan se jo kamai hota hain. Us se hi main apna ghar chalata hoon.
Jitan padha likha ladka tha. Is liye delhi me kaam karta tha aur achchha paisa
bhi kamata tha. Gaon bahut hi kam aata tha.
Jab bhi gaon aata
to mere pan ke dukan par hi apna adda jamata ham dono bahut sari baaten karte.
Aur apna shukh dukh bhi batiyate. Kabhi bachpan ke dino ko yaad karte aur us
yaad ko taja karte. Ham dono me bahut dosti thi. Apne ghar aksar mujhe bulata
aur khana khane ke baad hi wapas aate. Ek baar uski bahan ki shadi thi. Wo apne
bahan ke shadi me delhi se gaon aaya tha.
Shadi ka pura
arrengment karna uska hi kaam tha. Apni bahan ke shadi me jitna kharch baitha
usne khud ke kamai se hi pura kiya. Kisi se koi karza nahi lena pada. Achchha
paisa bhi kamata tha. Shadi me shuru se aakhuri tak bhag daur bhi wahi karta
tha. Koun saman kaha se lana hain. Koun saman kaha se kharidna hain ye sabhi
kaam wo khud hi kiya.
Main bhi uske kaam
me madad karta tha. Jaha bhi jata mujhe sath me le kar jata ya kah deta. Main
apne dukan me busy rahta tab hi wo akele chala jata. Apne dam par apni bahan ka
shadi bhi kar diya. Uske maa pita ya phir uske ristedar use bahut mante the.
Apni bahan ka shadi kar ke use sasural bida bhi kar diya.
Gaon dehat me jab
kisi ke ghar shadi ya koi kaam hota hain. To tent ya phir dusre saman wale
pahle saman de dete hain. Phir baad me use paisa pahuchana rahta hain. Shadi ke
baad sara hisab kitab chukta karna tha. Gaon se kuchh dur se tent aaya tha. Wo
us din mujhe bola ki yaar tent wale ko paisa dena hai. Chalo de kar aaya jaye.
Garmi ka mausam tha wo bhi dopahar ka samay ho chuka tha.
Ham dono waha gaye
aur tent wale ka jitna banta tha. Utna paisa de kar wapas chal diye. Ham dono
bike se gaye the. Naya bike tha aur wo khud bike chala raha tha. Ham dono wapas
aa rahe the. Apne gaon aane se pahle kuchh duri par highway padta hain. Ek
sidha sa rasta ja kar highway se milta hain. Ham us sidhe se raste se hote hue
highway ke taraf badhe.
Jaise hi highway
najdik aaya ki mera dost puri raftar se bike chalane laga. Main pichhe baitha
hua tha. Main us se bola ki yaar itni jor se gadi kyu chala rahe ho. Marna hain
kya. To mera dost bola ki yaar main to bike ko apne kabu me lena chah raha
hoon. Par nahi pata kyu bike apne aap seed hota chala ja raha hain.
Main bola ki break
maaro aur bike roko. Par us waqt break bhi kaam nahi kar raha tha. Mera dost ka
to hosh o hawas hi gum ho chuka tha. Kya kare kuchh bhi samajh nahi paa raha
tha. Bike puri raftar ke sath highway par chahar gai. Par jaise hi highway par
gai. Ek tej raftar se aa rahi truck hamare bike ko dhakka marte hue aage ki
taraf nikal gai.
Ham dono highway
par hi gir gaye. Mujhe nahi pata us waqt kya hua. Par jab hosh aaya to main
hospital me tha. Jaise hi mujhe hosh aaya to main apne mata pita se puchha ki
mera dost kaha hain. Mere mata pita rone lage par kuchh bhi nahi bole. Mujhe ek
haftah ke baad hosh aaya tha. Bahut dino tak main hospital me hi raha. Mera ek
dost mujh se milne ke liye hospital aaya tha.
Main us se puchha
ki mera dost kaha hain. Wo thik se hain ya nahi. To us ne mujhe bataya ki jab
tumhara accident hua tha. To tumhara dost spot me hi mara gaya. Logo ne tumhe
utha kar hospital me admit kar diya. Par wo marr chuka tha. Mujhe to yakin hi
nahi hua ki achanak se mera dost ham sabhi ko chhod kar chala gaya. Bahut dino
ke baad main hospital se apne ghar wapas aaya.
Jab apne ghar
wapas aaya tab mujhe pata chala ki ye accident aise hi nahi hua tha. Iske
pichhe bahut bada raaj chhupa hua tha. Jab mera dost mara to apne ghar wapas
aaya tha. Uski maa ek kamre me baith kar ro rahi thi. Tabhi mera dost apni maa
ke paas aaya aur bola ki maa mat ro. Jo hua so hua. Yaha se to har kisi ko jana
hain. Par main kabhi socha bhi nahi tha ki main mar jaunga.
Wo apni maa ke
pair ke paas apna sar rakh kar rone laga aur bola. Maa tum meri judai me rona
mat. Pita ka aur bahan ka dhyan rakhan. Main marna nahi chah raha tha. Par nahi
pata kaha se ek safed saadi pahne hue ek aurat aai. Jab main paisa dene ja raha
tha tab bhi use dekha tha.
Wo ek took mujhe
dekh rahi thi. Par jaise hi main wapas aaya wo safed saadi wali aurat mera bike
ka handle pakad li. Wo auart accelerator ko jor se ghumane lagi. Bike bhi pura
speed ho gaya. Main break marna chah raha tha.
Par wo mera pair
ko break se hata di. Ye itna jyaldi hua ki mujhe sochne tak ka samay nahi mila.
Bike aati hui truck se takra gai aur main mara gaya. Par maa jina marna to
jiwan ka naam hain. Par tum afsoos mat karna. Itna kah kar wo gayab ho gaya.
Mujhe bhi yakin ho
gaya ki ye jarur kisi chudail ka hi kaam hoga. Nahi to wo utne dono se bike
chala raha tha. Kabhi aisa nahi hua. Jab accident hua bhi to highway ke paas.
Maut achanak se nahi aati hain. Asamay mritu ke jarur koi karan hote hain.
Chudail mere dost ko marne aai thi aur use maar kar chale gai. Accident to ek
bahaana tha.