Bacha Aur Shaitan , Shaitan Ki kahani.
Shaitan apni
harkat se hi jane jate hain. Bacho ki kahani ho ya koi gyan ki kahani. Un
kahaniyon me bhi shaitan ke bare me janane ko milta hain. Shaitan bilkul insan
ke biprit hote hain. Insaan ka kaam manawata ka raksha karna hota hain. Par
shaitan ka kaam insaan ko bhatka kar us se bure kaam karwana hota hain.
Shaitan insaan ki
soch hoti hain. Wo insaan ki tarah sochta hain ya shaitan ki tarah. Ek kahani
jo main yaha likh raha hoon. Shayad aap ne is kahani ko kahi se padha hoga. Ya
phir kisi ne is kahani ke bare me aap ko kaha hoga. Kahani to kahani hoti hain.
Har jagah apna roop badalte rahti hain. Par kahani ka mukhya uddeshya jan ke
bich me jagrukta lana hota hain.
Aaj main aisa hi
kahani likh raha hoon. Jiska maksad jagrukta ke sath sath manoranjan karna bhi
hain. Baat aaj se bahut pahle ki hain. Kisi rajya me shaitano ka atank badh
gaya tha. Shaitan insaan par apna prabhao chhodne lage. Shaitano ki harkat dekh
kar shaitano ka raja bahut khush tha. Shaitan ko kya chahiye.
Charo taraf asanti
har kisi ke dil me darr. Insaano ke andar ka darr hi shaitan ko balshali banata
hain. Insaan jitna darega shaitan utna hi khush rahega. Shaitan ki ichha bhi
hoti hain ki insaan kabhi bhi khush na rahe. Har wo galat kaam kare jis se logo
ko dukh pahuche. Log dukhi rahe aur mujh se dare hue rahe. Shaitan apna chal me
hamesha kamiyab rahta hain. Ek baar aisa hi hua.
Shaitano ka sardar
apne shaitan doston se bahut khush tha. Uski jo bhi ichchha thi wo puri ho rahi
thi. Logo ke andar darr bas chuka tha. Par shaitano ka sardar socha ki sab
kuchh to sahi chal raha hain. Mere rajya me charo taraf darr phail chuka hain.
Par shaitan apna kaam sahi se kar rahe hain ya nahi. Un sabhi ka pariksha lena
chahiye. Shaitano ka sardar sabhi shaitan ka baithka bulaya.
Baithka me sabhi
shaitan aaye. Shaitano ka sardar bola ki jitne bhi shaitan hain. Tum sabhi ke
kaam se main bahut khush hoon. Par tum sabhi ka mujhe ek chhota sa pariksha
lena hain. Jo bhi is pariksha me safal hoga. Use main inam dunga. Sabha me aaye
hue sabhi shaitan khush ho gaye. We sabhi raji ho gaye aur bole ki main sab se
achchha kaam kar ke dikhaunga.
Sabhi shaitan soch
liye ki we aisa kaam kar ke dikhayenge jis se charo taraf hahakar mach jaye.
Logo ke bich shaitan ka khauff baith jaye. Ye soch kar sabhi shaitan waha se
chal diye. Shaitano ka sardar sabhi shaitan se bola ki main tum sabhi ko ek din
ka samay deta hoon. Subah se sabhi ka samay shuru hoga aur sham ke samay uska
hisab hoga.
Jo sab se bada
shaitani harkat karega. Use puraskar diya jayega. Sabhi shaitan apne sardar ka
baat maan kar apne apne ghar chale gaye. Jab agla subah hua to sabhi shaitan
apne apne kaam me lag gaye. Ek shaitan socha ki main koun sa kaam karu jis se
sardar khush hoga. Wo sochte hue ja raha tha. Tabhi use raste me ek ladka mila.
Jo padhne ja raha tha.
Shaitan ek bachche
ka roop dharan kiya aur uske paas pahuch gaya. Us ladka se puchha ki tum itni
subah subah kaha ja rahe ho. To ladka bola ki main padhne ke liye ja raha hoon.
Main ek school me padhta hoon aur padhne ja raha hoon. To shaitan socha ki kyu
na ise hi bhatka kar school jane se rok diya jaye.
Use koi upay nahi
sujha ki wo koun se aisa kaam kare. Jis kaam se shaitano ka sardar bahut khush
ho. Wo shaitan ek ladka ka roop dharan kar ke school jate hue ladka ko bhatkane
laga. Ladka se baat karte hue shaitan bola ki aaj school jana jaruri hain kya.
Kyu na aaj ham
dono khele. To school jata hua bachcha bola ki aaj school jana bahut jaruri
hain. Master ji ne ek bahut hi jaruri bishay par charcha ke liye bulaye hain.
Agar school nahi jaunga to aaj ka path chhuth jayega. To shaitan bola ki tum to
roj school jate ho. Agar ek din school nahi jaoge to kaun sa pahar gir jayega.
Chalo aaj mere sath khelo.
Main tumhe bahut
se naye naye khel bataunga. We sabhi khel kaise khela jata hain. Wo bhi main
tumhe bataunga. Tum mere sath khelo aur bahut sara maja lo. Main aisa khel
janta hoon jise tum bahut hi pasand karoge. Ladka ko bhi laga ki aaj school
naga kar deta hoon. Aur iske sath khelta hoon.
Agar ek din school
nahi jaunga to koun sa bahut bada hani ho jayega. Ye soch kar ladka shaitan ke
sath khelne laga. Subah se khelne shuru kiya aur sham tak khelta raha. Ladka ko
bhi bahut maja aaya aur shaitan to use bahka kar khelne me majbur kar diya. Jab
sham hua to shaitan bola ki ab main ja raha hoon. Mere maa pita ji ghar par
mera intejar kar rahe honge.
Shaitan jaan gaya
ki ab to school ka samay khatm ho chuka hain. Ab ye ladka school jayega nahi.
Sham hone ke karan us ladka ko bhi ghar jana tha. Shaitan apne ghar aa gaya aur
wo school jata hua ladka bhi apne ghar chala gaya. Jab sham hua to sabhi
shitano ko apne apne kaam ka hisab dene ke liye.
Apne sardar ke
paas jana tha. Sabhi shaitan sardar ke paas aa gaye aur apne apne kaam ka hisab
dene lage. Shaitano ka sardar un sabhi shaitan se hisab lene laga. Ek shaitan
bola ki main aaj din me ek aadmi jo ki cycle se kahi ja raha tha. Main use jane
nahi diya aur kichar me dhakel diya. To ek shaitan bola ki main aaj logo ke
bich danga karwa diya.
Jis se bahut se
logo ki jaan chale gai. To ek shaitan bola ki main ek bhai ko dusre bhai se
ladwa diya. Dono bhai ek dusre ke khoon ke pyase ban gaye. Jab shaitano ka
sardar sabhi shaitan ka hisab le liya. To sab se ant me bari thi us shaitan ko
apne din bhar ke kiye gaye kaam ka hisab dene ki.
Shaitano ka sardar
us shaitan se puchha ki tumne din bhar kya kiya. Ab uska hisab do to shaitan
sar jhuka kar bola. Sardar main to aaj koi bahut bada kaam nahi kiya. Main to
aaj din bhar khelta raha. To shaitano ka sardar bola ki aaj tum ne koi shaitani
harkat nahi ki. Balki pura din khelte rahe. Insaano ki aadat hoti hain.
Apna samay barbad
karna ham shaitan apna kaam puri wafadari se karte hain. Shaitano ke sardar ko
us par gussa aa gaya. Usne gussate hue puchha. Par tum kis ke sath khel rahe
the. To shaitan bola sardar ek ladka school ja raha tha. Main use school jane
se roka aur din bhar uske sath khelta raha. To shaitan bahut khush hua. Sardar
khush ho kar bola.
Kisne kaha ki
tumne aaj koi shatani kaam nahi kiya. Tum ne aaj sabhi shaitano se achchha kaam
kiya hain. Kisi ko bhi gyan pane se rokna hi hamara mukhya maksad hain. Aur tum
ne wahi kaam kiya. Agar wo ladka school chala jata aur school me agar aaj koi
aisa path padhya jata. Jis se manawata ka raksha hota.
To wo ladka ho
sakta hain insaniyat ki baat karta. Aur dusro ko galat kaam karne se rokta. Ho
sakta hain apna pura zindagi manawata ki raksha ke liye laga deta. Jis se
hamara maksad pura nahi ho pata. Tum ne kisi ko gyan prapt karne se roka hain.
School wo jagah hain jaha par achche achche path padhaye jate hain.
Insaan ek insaan
banana wahi se sikhta hain. Tum ne sabhi se achchha kaam kiya hain. Sab se
achchha kaam karne ka hakdar tum hi ho. Tumhe hi puruskar milna chahiye.
Shaitano ka sardar us se bahut khush hua aur use bahut sara inam diya.