Bangal Ka Kaala Jadoo - Jadoo Tona Ki Kahani.
Log apne tarakki
ke liye kya kuchh nahi karte hain. Har koi apne dukh se dukhi hain. Koi naukri
na milne ke karan dukhi hain. To kisi ko apne ghar pariwar ka chinta hai.
Insaan zindagi bhar kisi na kisi dukh se ghira rahta hain. Jab insaan kisi dukh
se dukhi hota hain. To us se wapas nikalne ka rasta bhi khojta hain. Chahe wo
rasta sahi ho ya galat.
Galat rasta bhi
insaan ko sahi lagta hain. Par jab koi is me bahut dur tak nikal jata hain. Jab
wapas aa pana munkin nahi rahta hain. To insaan ko sirf aur sirf pachhtawa hi
haath lagta hain. Duniya me bahut se log apne tarakki ke liye jadoo tona ka
sahara lete hain. Jo bilkul se hi galat hain. Jadoo tona ye sab sirf kahaniyon
me hi achchhe lagte hain. Wastavik zindagi se iska koi sambandh nahi hota hain.
Jadoo tona ke chakkar me ek baar koi phas jata hain. To phasta hi chala jata
hain. Aaj main ek kahani likh raha hoon. Jiska naam hain bangal ka kaala jadoo.
Aise to log aksar jadoo
tona ki kahani sunte hain. Par ek hakikat ghatna mere dost ke sath ghat gaya. Jadoo
tona ka hakikat. Baat bahut pahle ki hain. Us waqt ham sabhi college me padhte
the. Ghar se garib the. Sarkari school me padhai kiye aur kisi tarah college
tak pahuche. Par ghar ki sthiti aisi nahi thi. Ki aur aage tak padh saku. Par
ghar walo ka khwahish tha ki mera beta college me padhe. Padh likh kar koi
achchha naukri pakad le.
Jis se ghar ki
aarthik tangi khatm ho sake. Main apne dost ke sath ek jagah par padhai karta
tha. Aur sath me sarkari naukri ka tayyari bhi karta tha. Wo jagah mere dost ka
ghar tha. Waha ka shant mahoul hame achchha lagta tha. Jaha kahi bhi sarkari
naukri ka aawedan nikalta ham use jarur bharte. Us jagah par exam dene bhi
jate. Isi tarah ek baar Calcutta railway ka form nikla. Hamne use bhara aur
pariksha dene bhi gaye.
Pahle ke jamane me
kaha jata tha ki jo bhi bangal jata hain. Us par jadoo tona ka asar ho jata
hain. Log kahte the ki bangal me kaala jadoo chalta hain. Waha ke log kaala jadoo
jante hain. Ham bhi bangal railway ka exam dene ke liye pahuche the. Ham
Calcutta pahuche aur exam de kar wapas aane lage. Jab train par baithe to ek
kitab wala aaya. Apne hath me bahut sa kitab liye hue tha.
Kitab bechne wala
jor jor se bol raha tha. Ki ye hain bangal ka kaala jadoo ka kitab. Is kitab se
har kisi ka kast dur ho jayega. Ye bahut hi chamatkari kitab hain. Bangal ka
kaala jadoo ka kitab. Agar kisi ko koi dukh hain to isme diye gaye mantr ko
sidh kare. Isme naukri pane ka bhi tarka diya hua hain. Bas mantr ka jaap karna
hain. Bangal ka kaala jadoo ka kitab kismat badalne wali kitab. Saste me bik
rahi hain.
Main apne dost ke
sath train me baitha hua tha. Bahut se log bangal ka kaala jadoo ka kitab
kharid rahe the. Mujhe us me koi ruchi nahi dikhi. Main chup chap apne jagah
par baitha hua tha. Tabhi mera dost us kitab wale se kitab ka daam puchha aur
kitab kharid liya. Wo kitab ko padhne laga. Main bhi apne dost se bola ki yaar
thoda kitab dikhana.
Bangal ka kaala jadoo
ka kitab kaisa hota hain. Main apne dost se kitab le kar padhne laga. Abhi
thoda padha hi tha ki mujhe us me likha hua samadhan bekar laga. Main apne dost
ko kitab wapas de diya aur us se bola ki. Tum ye kitab bekar me kharide ho. Is
kitab me jo mantron ko sidh karne ka tarika diya hain.
Wo bahut hi kathin
hain. Ye bilkul bakwas kitab hai. Main use kitab wapas kar diya aur apne jagah
par baith kar bahar ki taraf dekhne laga. Ham sabhi ghar bhi wapas aa gaye.
Phir se padhai par dhyan dene lage. Ab result ka intejar tha.
Par afsoos ham
dono me se kisi ka bhi result nahi aaya. Par ab agle exam ka tayyari karna tha.
Wo apne ghar me tayyari karta to main apne ghar me. Ek din mujhe pata chala ki
mera wo dost pagal ho gaya hain. Jo mere sath exam dene gaya tha. Main use
dekhne ke liye uske ghar chala gaya. Jab uske ghar pahucha to dekha ki sach me
mera dost pagal ho chuka hain.
Uske maa pita se
mila unhone bhi bataya ki nahi pata kaise. Wo apna dimagi santulan kho chuka
hain. Uske ghar wale bahut hi pareshan the. Kisi ko kuchh bhi samajh me nahi aa
raha tha. Ki wo pagal kaise ho gaya. Mere bhi samajh me nahi aa raha tha. Par
jab main uske maa pita se baat kiya to. Uske maa pita bole ki hamesha wo na
jane koun si mantr bolta rahta hain. Kabhi kabhi koi mantr bolta rahta hain.
Hamare to kuchh
bhi samajh me nahi aa raha hain. Main bhi soch me pad gaya ki ye koun si
mantron ka uchcharan karta hain. Tabhi mere dimag me aaya. Ki jab wo bangal ka
kaala jadoo ka kitab kharida tha. To us kitab me bhi bahut se mantr diye hue
the.
Kahi ye jo mantr
barbarata hain. Wo bangal ka kaala jadoo ke kitab ka mantr to nahi hain. Main
uske pita ji se bola ki chacha ji. Iska kitab sab kaha hain. Chal kar dekha
jaye kahi iska pagalpan ka raaj wahi to nahi hain. Main uske pita ji ke sath
uske kitab ke paas pahucha. Jab kitab hata kar dekh to dekhta hoon ki bangal ka
kaala jadoo ka kitab wahi tha. Maine us kitab ko khol kar dekha. Jis me ek
jagah likha hua tha. Sarkari naukri pane ka aasan tarika.
Us me ek mantr
diya hua tha aur use sidh karne ka tarika bhi diya hua tha. Par use sidh karne
ka jo tarika diya hua tha. Wo har kisi ke bas ka baat nahi tha. Maine wo mantr
padh kar uske pita ko sunaya. Jab uske pita mantr sune to bole ki haan yahi
mantr mera beta bolte rahta hain. Ab mere bhi samajh me aa gaya ki wo pagal
kaise hua hain. Maine sari baat uske pita se bata di. Ki wo bangal ka kaala jadoo
ke chakkar me pagal hua hain. Uske pita ji bole ki ab is se chhutkara kaise
milega.
Ab to mere bhi
samajh me nahi aa raha tha. Ki ab is se chhutkara kaise milega. Main kuchh soch
nahi paa raha tha ki ab kya kiya jaye. Par mera najar kitab par gaya. Jaha par
kitab ke prakasan ka pata likha hua tha. Main uske pita ji se bola ki hame
kitab ke prakasan ke paas jana hoga. Wo hi bata sakta hain ki kitab kis ne
likha hain. Kitab me kahi bhi likhne wale ka naam nahi likha hua hain.
Ham dono kitab ke
prakasan ke paas jane ka faisla kiye. Wo pata Calcutta ka tha. Isliye ham
Calcutta chale gaye. Waha par pahuch kar sara baat bataya par prakasan ka malik
bola ki. Mujhe nahi pata ye kitab koun chhapwata hain. Hame to ek baar thok ke
hisab se order milta hain. Ham chhap kar de dete hain. Hame nahi pata ki ye
kitab kisne chhapwai hain.
Ham us se bahut
minnat kiye bole ki ye kisi ke zindagi aur maut ka sawal hain. Agar aap iske
likhne wale ka pata bata digiyega. To ho sakta hain ki mere dost ka pagalpan
khatm ho jaye. Bahut minnat karne ke baad usne kitab ko likhne wale ka pata
bata diya.
Ham uske baad
bangal ka kaala jadoo par kitab likhne wale lekhak ke paas gaye. Pahle to wo na
nukar kiya par baad me bola. Ki main to kitab sirf manoranjan ke liye likhta
hoon. Kitab me mantron ko sidh karne ka aisa aisa bidhi diya rahta hain. Jo
kabhi ho hi nahi sakta hain.
Mai to paisa
kamane ke liye ise likh diya. Agar koi ise padh kar pagal ho jaye to main kya
kar sakta hoon. Ham dono ne un se bahut minnat kiye. Bole ki koi to tarika hoga
jis se mere dost ka pagalpan khatm ho jaye. Ab uske bhi samajh me nahi aa raha
tha ki pagalpan kaise dur kiya jaye. Phir usne kaha ki apne dost ko le kar aao.
Dekhta hoon kuchh kar ke.
Lekin main koi
guarantee nahi leta hoon. Ki main tumhare dost ka pagalpan dur kar dunga. Ham
dono raji ho gaye. Jaisa ki usne kaha tha. Jo samay wo diya tha ham dono ne use
le kar Calcutta chale gaye. Jab uske paas apne dost ko le kar gaye.
To wo lekhak mere
dost ka jhar phook shuru kiya. Lagbhag ek saptah tak jhar phook karta raha.
Mere dost ka halat me bhi sudhar hone laga aur uska pagalpan dur ho gaya. Jab
mera dost thik ho gaya. To bangal ka kaala jadoo par kitab likhne wala lekhak
bola ki. Kabhi bhi bhool se bhi jadoo tona par bishwash nahi karna chahiye.
Kabhi bhi ise sach
nahi manana chahiye. Kismat achchha tha jo thik ho gaye. Nahi to puri zindagi
pagal bane rahte. Main apne dost ko le kar wapas apne ghar chala aaya. Mujhe ab
bhi bangal ka kaala jadoo ke lekhak ki baat yaad hain. Aaj main ek bank me
clerk ka kaam karta hoon.
Mera dost apna
businesses chalata hain. Uski zindagi bhi achchhe se gujar rahi hain. Par ab wo
kabhi bhi jadoo tone par bishwash nahi karta hain.