Bhatakta Fakir , Hindi Horror Story

Bhatakta Fakir , Hindi Horror Story.

Bhatakta Fakir


Baat aaj se bahut pahle ki hain. Kisi gaon me ek bahut hi garib aadmi raha karta tha. Peshe se wo ek majdoor tha. Din bhar kahi kisi ke khet me ya ghar me mehnat majduri kiya karta tha. Gaon me rahne ke karan use bahut kam hi kaam mil pata tha. Par jaha kahi bhi kaam milta kaam karne chala jata.

Padhe :-Khoon Ki Pyasi Chudail , Ek Chudail Ki Kahani.

 Din bhar kadi mehnat kar ke sham ke samay use uski majduri mil jati thi. Jis se wo apne ghar ki gadi chala pata tha. Agar kaam nahi mila to paise ka jogar bhi nahi ho pata jis se ghar chala pana muskil ho jata. Uski halat aisi thi, jaise ki roj kuwa khodo aur roj pani piyo.

Padhe :-Andhere Me Chudail Ki Aahat , Chudel Ki Kahani.

 Kadi mehnat karna aur mehnat majduri kar ke paise kamana. Uske ghar me waise to jyada log nahi the wo tha aur uski ek patni thi. Matlab wo majdur shadi suda tha. Shadi ke jyada din bhi nahi hue the. Use hi kahi se apna ghar chalane ke liye paison ka jogar karna padta tha.

Padhe :-Ajib Si Ghabrahat , Bhoot Pret Ki Kahani.

 Wo majdur jis ghar me rahta tha wo ek jhopdi tha. Jis me kisi tarah dono ka gujar basar ho jata. Ek baar ki baat hain. Gaon me bahut dino tak mehnat majduri wala kaam khojne ke baad bhi use kahi koi kaam nahi mila.  Jis wajah se uski halat bahut hi kharab hote chale ja rahi thi. Uski patni thoda chirchira swabhao ki thi jo baat baat par use tane mara karti thi.

Padhe :-Raste Me Betal , Ek Betal Ki Kahani.

 Jab majdur aadmi kaam ki talash me apne ghar se bahar nikalta aur kahi kaam nahi milta to uski patni use tane marti aur kahti ki uski kismet hi phoot gai hain. Na jane kis nikmme aadmi se uski shadi ho gai. Bechara majdur apni patni ka baat sun kar rah jata. Gaon me kahi kaam bhi nahi mil raha tha. Jis wajah se uski halat kharab ho rahi thi.

Padhe :-Bhootiya School , Bhoot Pret Chudail Ki Kahani.

 Majdur kaam ki talash me subah nikalta aur din bhar gaon me kaam khojta par use kahi bhi kaam nahi milta. Murjhaya hua chehra le kar apne ghar wapas chala aata. Aise hi ek din wo kaam ki talash me gaon me dar dar bhatak raha tha. Use kahi bhi kaam nahi mila. Garmi ka samay tha dhoop bhi bahut jyada ho chuki thi. Wo din bhar kaam ki talash me bhatakta raha. Ab to dopahar bhi ho gaya.

Padhe :-Jinn Baba Ka Sthan , Jinn Jinnat Ki Kahani.

 Ek ped ke paas baith kar thoda aaram kiya aur phir socha ki aaj to use kahi bhi kaam nahi  milne wali chalo aaj bhi khali haath ghar wapas chala jata hoon. Ye soch kar wo wapas apne ghar ki taraf badh gaya. Rasta bilkul sunsaan tha. gaon ki kachi  sadak se hote hue wo apne ghar ki taraf jar aha tha. Sadak ke dono taraf ghane ped the. Thoda rahat bhi tha ki chhao se hote hue wo apne ghar jar aha tha.

Padhe :-Chamatkari Baba , Ek Baba Ki Kahani.

  Mann hi mann soch bhi raha tha ki kaam nahi mila agar khali hath ghar jaunga to uski patni use bahut bura bhala kahegi. Udash mann liye apne ghar ki taraf badha chala jar aha tha. Rasta bilkul sunsan ho chuka tha. Koi bhi raste se aana jana nahi kar raha tha. Us raste se hote hue majdur aage ki taraf badh raha tha. Tabhi usne dekha ki ek bilkul safed libaas pahne hue ek fakir raste ke aage ki taraf se uski taraf badha chala aa raha hain.

Padhe :-Jinn Jinnat Ki Kahani, Jinn Jinnat Ki Duniya.

 Lamba sa dikhne wala , safed dadhi aur baal. Sar par safed pagri. Haath me ek majbut danda liye aage ki taraf badha chala aa raha tha. Jab wo fakir us ladke ke paas se jaise hi gujarne wala tha ki usne ladke ko roka aur bola ki beta ye fakir bahut bhukha  hain. Tumhare paas kuchh hain to mujhe de do. Upar wala tumhara bhala karga.

Padhe :-Tantra Vidya Ka Asar , Jadu Tona Ki Kahani.

 Ladka pahle to sakpaka gaya phir baad me bola ki baba mere paas to aap ko dene ke liye kuchh bhi nahi hain. Main to bahut hi garib majdur hoon. Din bhar kaam ki talash me pure gaon me bhatka par kahi  kaam nahi mila. Main aap ko kuchh bhi nahi de sakta hoon. Meri jeb me ek phooti kaudi tak nahi hain. Mere sharir me jo kapda hain wo aur kandhe me ek gamchhi ke siwa kuchh nahi hain.

Padhe :-Chudail Ya Kuchh Aur ? chudail Ki Kahani.

 Main aap ko kuchh bhi nahi de sakta hoon. Itna kah kar wo majdur aage ki taraf badh gaya. Bhatakta fakir apni jagah par khada ho kar kuchh sochne laga. Us ladke ka maush chehra dekh kar use daya aa gai. Fakir jaan gaya ki ye ladka jhoot nahi bol raha hain. Abhi kuchh kadam hi majdur chala tha ki fakir ne use pichhe se aawaz lagai aur bola ai ladke ruk.

Padhe :-Ghadi Ka Sui, Bhoot Ki Kahani.

 Itna sun kar kar wo ruk gaya. Fakir uske paas aaya aur bola ki tumhare chehre ki pareshani bata rahi hain ki sach me tum bahut padeshan ho. Tum apni garibi se khush nahi ho. Agar main tumhe kuchh du to use tum loge. To wo majdur bola fakir baba aap jo bhi kuchh digiyega main use jarur lunga. Fakir ne kaha ki jaisa main bolunga bilkul waisa hi karna hoga.

Padhe :-Kaam Wali Reja Ka Bhoot, Chudail Ki Kahani.

 To phir wo majdur bola ki haan baba aap jaisa bolenge main waisa hi karuna. To fakir ne kaha ki thik hain. Tabhi us ladke ki najar aage se aate hue ek kutte ke bachche par padi.  jaise hi wo kutta ka bachcha fakir ke samne se gujarne hi wala tha ki fakir baba ne us kutte ke sar par apni lathi se ek jor daar lathi uske sar par de mara.

Padhe :- Do Saheli, Darawni Kahani.

 Jab lathi us kutte ke bache ke sar par pada to wo wahi khoon se lath path ho kar marr gaya. Fakir baba ne us majdur se kaha ki tum is kutte ke bachche ki apne gamchhe me bandh kar ghar chale jayo aur jab ghar ke andar pahuch jana tab is gamchhe ko khol kar kutte ke bachche ko bahar nikalna. Wo ladka aisa hi kiya. Usne kutte ke bachche ko apne gamchhe me bandh liya. Fakir baba waha se chal diye.

Padhe :- AamavasKi Raat, Dayan Ki Kahani.

 Wo majdur bhi gamchha le kar aage ki taraf badh gaya. Ab us ladke ke dimag me ek baat baar baar chot maar raha tha ki ye mara hua kutta ka bachcha mere kis kaam ka. Ye bhatakta hua fakir ne mujhe kya de diya. Agar kuchh dena hi tha to kuchh aur de dete ye mara hua kutta ka bachcha mujhe kyu diye. Gamchhe se khoon bhi tapakne laga tha.

Padhe :-Bharat Ka Bhutiya Railway Station.

 Jis se wo majdur gahri soch me pad chuka tha. Baar baar soch raha tha ki agar main is mare hue kutte ke bachche ko ghar le kar jaunga to meri patni mujhe bahut dategi aur bolegi ki mara hua kutta ka bachcha le kar ghar kyu aaye. Majdur baar baar pichhe mud kar dekh raha tha aur soch raha tha ki kab ye bhatakta hua fakir aankhon se ojhal ho jaye ki is mare hue kutte ke bachche ko kahi phek du.

Padhe :-Jinnat Ki Duniya,

 Kuchh dur tak pichhe mud kar dekhane ke baad jab use bishwash ho gaya ki fakir kafi dur ja kar aakhon se ojhal ho chukka hain to usne wahi sadak ke kinare apne gamchhe ka gath khol kar kutte ke bachche ko gamchhe se bahar nikal diya. Uske gamchhe me bahut khoon lag chukka tha. Ab usne socha ki uske paas ek hi gamchha hain wo bhi khoon ke daag se barbad ho gaya. Apne gamchhe ko le kar aage ki taraf badha.

Padhe :-Khoon Ki Pyasi Dakini.

 Usi raste me ek talab tha. wo talab ke paas ruka aur apne gamchhe ko bahut hi ragar ragar kar dhoya. Par khoon ke daag puri tarah se nahi gaye. Ab wo apna gamchha le kar apne ghar ke taraf chala gaya. Ghar ke andar pahuch kar usne apne jamchhe ko bistar ke upar rakh diya aur apni patni se bola ki aaj bhi koi kaam nahi mila.

 Main bahut thak chuka hoon. Khana nikal do. Uski patni uski baat sun kar bhinbhinane lagi. Jab uski patni ki najar gile gamchhe par padi to ho apne pati ke upar gussa ho kar boli ki jab gamchha gila ho chukka tha to ise bahar dhoop me tang dena chahiye. Ghar ke andar kyu le kar aaye. wo apne pati se puchhi ki gamchha gila kaise ho gaya to wo majdur bola ki gamchha me ganda lag gaya tha jis wajah se maine ise dho diya.

Padhe :-Laash Ne Daudaya, Bhoot Ki Kahani.

 Uski patni gamchha le kar bahar dhoop me chale gain. Thode hi der ke baad wo chilla kar apne pati ko aawaz lagai ki bahar nikaliyega. Gamchhe me ye kya laga hain. Apne patni ki chillane ki aawaz sun kar jab majdur bahar nikla to uski patni ne use dikhaya ki jara gaur  se dekho to is gamchhe me pila pila kis chij ka nishan hain.

 Uske pati ne jab gamchhe ko gaur se dekha to tang rah gaya kyu ki wo pila pila nishan kisi aur chij ka nahi balki sone ka tha. Bahut ragar ragar kar dhone ke baad bhi khoon ka nishan rah gaya tha. Jo ghar pahuch kar sona ban chukka tha. Us majdur ke to hosh hi udd gaye. Wo nishan sone ka tha. Us gamchhe me sone ka pani char chuka tha.

 Uski patni us se puchhi ki ye gamchha tumhe kaha se mila aur isme sone ka nishan kaise lag gaya. Tab wo majdur sari baat apni patni ko bata diya ki kaise use raste me ek bhatakta fakir mila. Jisne use ek mara hua kutta diye aur bole the ki ise ghar pahuch kar apne gamchhe se bahar nikalna. Majdur ne raste me hi us mare hue kutte ke bachche ko phek diya.

Padhe :-Machhli Bhat, Chudail Ki Kahani.

 Jab ye baat uski patni ko pata chala to wo apne pati se boli ki jyaldi jao aur ja kar wo mara hua kutta ka bachha le kar aao. Apni patni ki baat maan kar majdur bhatakta fakir ko khojne ke liye apne jhopde se bahar nikal gaya. Pichhe pichhe uski patni bhi aa gai. Wo us jagah par paucha jaha par usne kutte ke bachche ko gamchhe se khol kar bahar pheka tha.

 Usne dekha ki us jagah par mara hua kutta ka bachcha nahi tha. Uski patni boli ki chalo jyaldi us bhatakta hua fakir ko khoja jaye. Dono din bhar us bhatakta hua fair ko khojte rah gaye. Par kahi bhi use wo bhatakta hua fakir nahi mila. Dono thak haar kar baith gaye. Ab we jaan chuke the ki raste me mila wo bhatakta fakir koi mamuli fakir nahi tha.

 Dono apne mathe pe haath rakh kar bol rahe the ki agar kisi tarah mara hua kutta ka bachcha ghar aa jata to hame sirf gachhe me chahra hua sone ka pani nahi balki pura ka pura sona hi mil jata aur hamari garibi hamesha hamesha ke khatm ho jata.

 Padhe :-Jinn Jinnat Ki Kahani.