Bhoot Ka Darr , Bhoot Ki Kahani.
Chudail Bhoot pret
ke kisse kahani sunane ya padhne me bahut maza aata hain. Par ye jyada kuchh
bhi nahi insaan ke andar ka darr hota hain. Jab insaan darr jata hain. To use
bhoot pret dikhne lagte hain. Insaan jis chij se darta hain. Wo hi ghatna uske
sath gatit hota hain.
Aaj main yaha par
ek kahani likh raha hoon. Jiska naam hain bhoot ka darr. Wastav me hoot ka darr
insaan ke andar ka darr hain. Ab hakikat me bhoot pret hote hain. Ya nahi ye
main nahi janta hoon. Is kahani ko likhne ka mukhya maksad. Insaan ke andar
bhoot ka darr ko nikalna hain. To chaliye kahani shuru kiya jaye. Mera naam
akhilesh yadav hain. Main ye kahani apne dada ji se suna tha.
Bahut pahle ki
baat hain. Kisi gaon me ek ojha ji raha karte the. Ojha ji ka ek matr kaam tha.
Bhoot pret jaisi badha ko hatana. Par agar koi bhoot rahta tab na wo bhoot
bagate. Par gaon me koi bhoot tha hi nahi. Is liye raat ke samay bhoot ka bhesh
badal kar logo ko darate the. Jab raat hota to safed saadi pahan kar gaon me
ghumte. Jis se logo ko lagta ki gaon ke andar bhoot hain. Raat ke samay kisi ke
ghar ka darwaja khat khata kar chale jate.
Jis se ghar ka
aadmi darr jata aur bhoot badha ko dur karne ke liye ojha ji ko bulate. Ojha ji
bhi gaon me halla kar diye the. Ki bhoot jiske bhi gar ka darwaja khat khata de
to samajh jao ki uske ghar koi bahut badi musibat aane wali hai. Log musibat se
bachne ke liye ojha ji ke paas jate aur ojha ji se jhar phook karwate. Ojha ji
bhi us se mota rakam wasul lete.
Ojha ji ka bhi kamai
ho jata. Uske aalawa ojha ji ek kaam aur karte. Raat ke samay chupke se jungle
wale raste me chhup jate. Jaise hi us raste se ho kar raat ke samay koi gaon
aata to wo. Safed kapda pahan kar rasta kaat dete. Wo raahgir ko kuchh nahi
karte sirf rasta kaat kar sadak ke ek taraf se dusre taraf chale jate. Jis se
rasta se aane jane walon ke andar darr bas jata.
Ojha ji ko pata
rahta tha ki kis ghar ka koun sa aadmi bahar gaya hua hain. Ya phir kis ghar ka
koun sa aadmi pardesh se kama kar gaon wapas aa raha hain. Wo mauka ka intejar
karte aur ped ke aad me chhup jate. Jaise hi koi us raste se apne ghar ki taraf
jata to wo safed kapda pahan kar sadak ke. Ek kinare se dusre kinare chale
jate. Rasta me chalne wala aadmi unhe dekh kar darr jata. Ojha ji rasta ke bagal
me bane hue gadde me ja kar chhup jate.
Jis se raahgir ye
samjhta ki bhoot rasta kaat kar gayab ho gaya. Wo darte hue Ghar pahuchta aur
ye baat apne ghar me batata. Ghar ke logon ke andar bhi bhoot ka darr baith
jata. Ojha ji to yahi chahte the. Ki kisi tarah logo ke bich bhoot ka darr bas
jaye. Jis se unka mota kamai ho. Ghar wale raat bhar darr ke sath gujarte. Jab
subah hota to we ojha ji ke paas jate aur un se bolte ki bhoot ne rasta kaata
hain.
Jo ki bahut hi
apsagun hota hain. Darr se bahut baar raahgir ko bukhar bhi ho jata. Ojha ji
uske ghar jate aur raahgir ko dekhte aur kahte ki iske upar pret badha hain.
Iska jhar phook karna padega. Jhar phook ke naam par bahut se puja path ke
chijon ka farmaish kar dete. Sath me murga daru ka bhi farmaish karte. Kahte ki
bhoot ko murga aur daru chahrana padega. Bhoot ka darr aur bhoot badha se
bachne ke liye log unki ye farmaish pura kar dete.
Ojha ji bolte ki
jahan par bhoot badha hua hain. Puja path wahi par karna padega. Raat ke samay
ojha ji us aadmi ko le kar jungle wale raste me pahuch jate. Jis jagah par
raahgir ne bhoot dekha tha. Ojha ji wahan par pahuch kar puja path karte. Use
yakin dilane ka koshish karte ki wo bhoot bhaga rahe hain.
Bhoot ka darr
khatm kar rahe hain. Raahgir ko bhi yakin ho jata ki ojha ji sach me bhoot
bhaga rahe hain. Uske baad wo bolte ki. Sidhe sidhe yahan se apne ghar chale
jao. Palat kar mat dekhna chahe kuchh bhi ho jaye palatna mat. Wo aadmi bhi
sidhe sidhe apne ghar chala aata. Palat kar pichhe ki taraf nahi dekhta. Ojha
ji ko jab yakin ho jata ki aadmi bahut dur chala gaya hain.
To apne jhole se
murga aur daru nukalte. Aaram se wahan baith kar murga daru ka maja lete phir
apne ghar wapas chale aate. Ojha ji bhi bahut khush rahte. Kyu ki unke is kaam
se logon ke andar bhoot ka darr baith jata. Pahle ojha ji logon ke andar bhoot
ka darr baithate.