Bhootaha Bagicha , Bhoot Pret Ki Kahani.
Ye ghatna mere
gaon ki hain. Mere gaon wale aksar ye kahani ek dusre ko sunate hain. Ya ek
dusre ko ton marne ke liye ye kahani sunate hain. Bhoot pret ye sabhi nahi
hain. Ye to sirf aadmi ke andar ka darr hain. Darr hi kisi ko bhoot dikha deta
hain. Aksar ye baat logo ke dimag me aata hain. Bhoot pret hain ya nahi.
Agar hain to wo
dikhte kyu nahi hain. Log kahte hain koi apni aayu puri kiye bina marr jata
hain. To bhoot ban jata hain. Par mujhe nahi lagta hain ki bhoot pret ya
chudail hote honge. Maine aaj tak nahi dekha hain. Is baat par mera bishwash
bhi nahi hain. Par gaon ke log ek dusre ko darane ke liye bhoot pret ka kahani
kahte hain. Bhoot pret hain ya nahi mujhe ab bhi shaq hain. Par log kahte hain
ki mere gaon me ek bhootaha bagicha tha.
Jis bhootaha
bagicha me raat ke samay bhoot nachta tha. Log isi baat ko majak majak me ek
dusre ke upar ton marte hain. Bolte hain ki tum to ojha ji ke jaise ho. Mera
aaj ka kahani bhi ojha ji ke upar hain. Main apne gaon ki suni sunai hui baat
yaha likh raha hoon. Shayad aap ko bhi yakin ho jayega ki bhoot pret ye sab
hote hi nahi hain.
Sirf aadmi ke
andar ka darr hain. Koi hoga jo bhoot pret par bishwash karta hoga. Par main
nahi. Jis chij ko aankh se dekha hi nahi. Us par kya bishwash karna. Baat bahut
purani hain. Mere gaon me ek aam ka bagicha tha. Jise log bhootaha bagicha
kahte the.
Jo bhi raat ke
samay us bagicha me jata to use bhoot dikhta. Isliye koi bagicha me jata hi
nahi tha. Nahi pata ye logo ka waham matr tha. Mere gaon me ek ojha ji raha
karte the. Unka kaam logo ke upar se kisi aatma ya bhoot pret ka saya ko
bhagana tha. Gaon me kisi ko bhi bhoot pakad leta to ojha ji bhoot bhagane
jate. Ojha ji mantron ka uchcharan kar ke bhoot badha se mukti dilate. Par har
din kisi ko bhoot thodi hi na pakarta tha.
Jo ojha ji bhoot
jhar dete. Shayad mahine me kisi ko ek baar bhoot pakad liya. To wo bhoot
jharne chale jate. Ojha ji ka mukhya kaam tha bagiche ki rakhwali karna. Jab
aam ka mausam aata to ojha ji aam ke bagiche ka rakhwali karte. Log kahte the
ki jab aam ka mausam aa jata hain. To bagiche me bhoot ghumne lagte hain. Ojha
ji ko bhi pata tha ki aam ka bagicha bhootaha hain. Wo ek bhootaha bagicha
hain.
Par roji roti ka
sawal tha. Kaam to kaam hain karna hi padega. Agar kaam nahi kiye to khana kaha
se milega. Ojha ji sab kuchh jante hue bhootaha bagicha ka rakhwali karte. Ek
raat ki baat hain. Ojha ji apne kutiya me the. Ojha ji ka kutiya aam ke bagiche
ke andar tha. Jaha par wo raat ke samay rahte the. Aur aam ke bagicha ka
rakhwali karte the. Raat ke samay thaharne ke liye aam ke bagiche ke malik ne
ek kutiya banwa diya tha. Ojha ji raat ke samay usi kutiya ke andar rahte.
Jab aam ke bagiche
me kuchh halchal hota to hi bahar nikalte. Us raat bhi ojha ji kutiya ke andar
the. Tabhi kahi se ghunghru ka aawaj aane laga. Aisa laga ki koi apne pair me
ghunghru band kar kutiya ke taraf aa raha hain. Aadhi raat ka samay tha. Raat
ka sannata charo taraf phail chuka tha. Agar raat ka sannata ko koi chir raha
tha. To wo tha ghunghru ka aawaj. Dhire dhire ghunghru ka aawaj bhi badh raha
tha. Ojha ji jaan gaye ki ab aam ke pakne ka samay aa chuka hain.
Jis karan yaha
bhooton ka aana shuru ho gaya. Bhootaha bagicha me bhoot aa chuka hain. Ojha ji
ko ab nind kaha tha. Ojha ji kutiya ke andar lage hue apne charpai par baithe
hue the. Tabhi unhe laga ki ghunghru ka aawaj unke kutiya ke darwaje tak aa
chuka hain. Phir ghunghru ka aawaj darwaje se kuchh dur gaya. Ab ojha ji ko
laga ki koi ghunghru pahan kar naach raha hain. Ojha ji apne kutiya ke darwaja
ke phak se bahar jhak kar dekhe to unhone dekha ek bilkul hi kala rang ka
aadmi.
Jo ki aam ke
bagiche me naach raha hain. Kabhi kabhi nachte hue kuchh dur chala jata to.
Kabhi kabhi nachte hue kutiya ke najdik chala aata. Jab najdik aata to ojha ji
dekhte ki wo kala sa bhoot apne pair me ghunghru bandhe hue hain. Ojha ji ko
bahut darr lagta aur apne charpai par ja kar baith jate. Aisa bahut der tak
chalta. Kabhi aawaj kam ho jata to kabhi jyada. Ojha ji ko samajh me nahi aa raha
tha. Ki bagiche me hi bhoot kyu aata hain.
Agli raat ko phir
se jab ojha ji bagicha me pahuche to phir se aadhi raat ke baad. Ghunghru ki
aawaj aana shuru ho gai. Koi bhoot phir se bagiche me aa kar nachne laga. Ojha
ji phir se apne kutiya ke phak se dekhte to. Unhe wahi kala wala bhoot dikhai
diya. Jiske sharir me kapda nahi tha. Wo apne hi dhun me ghunghru pahan kar
nachta rahta. Ojha ji ko bhoot ka darr satane laga. Agar aadhi raat ke samay
apne kutiya se bahar nikalte hain.
To wo bhoot unhe
maar dalega. Ye soch kar darr se kutiya ke andar hi rahte. Aisa bahut din tak
chala. Ojha ji darr ke mare raat ke samay apne kutiya se bahar nahi nikalte.
Bhoot ka darr unke dimag me sama chuka tha. Ek din ojha ji soche ki aaj tantr
mantr ka upyog kar ke bhoot bhagaunga. Jab raat hua to ojha ji phir se bagiche
ka rakhwali karne pahuche. Apna tantr mantr ka saman bhi le gaye.
Jab aadha raat hua
to. Wo tantr mantr karne lage. Phir se bhoot aadhi raat ke samay aaya aur
kutiya ke samne nachne laga. Ojha ji kutiya ke andar mantron ka uchcharan kar
rahe the. Par wo bhoot baga hi nahi. Use jis samay jana tha thik apne samay par
hi waha se gaya. Ojha ji ke tantr mantr ka us par koi asar nahi pada.
Ojha ji soche ki
ye jarur koi khatarnak bhoot hoga. Jis par tantr mantr ka asar nahi ho raha
hain. Ojha ji ke lakh koshish karne ke baad bhi bhoot bagiche se nahi bhaga.
Unhone ye baat gaon me bhi bataya ki bhooton bagicha me koi bhoot raat ke samay
aata hain. Uske sharir me kapda nahi rahta hain. Bilkul kaale rang ka bhoot.
Apne pair me ghunghru pahan kar nachta hain.
Gaon ke log bole
ki aap ko bagiche ke chokidari ka kaam chhod dena chahiye. Nahi to kabhi bhi
bhoot ka dimag phira to aap ko maar dega. Ojha ji bahut hi uljhan me the. Ek
taraf kaam chhodte hain. To roji roti se hath dhona padega. Agar pahredari ka
kaam karte hain. To jaan se jana pad sakta hain. Isi uljhan me the ki ek din
bagiche ka malik bagicha me aaya.
Wo apne bagiche me
aa kar aam ko dekha aur ojha ji se bola. Ojha tum bagiche ka rakhwali karte ho
ya aam tod kar bechte ho. To ojha ji bole ki main chor nahi hoon. Jo aap ke aam
ke ped ka aam chori karu. Ojha ji bole ki aap mera hisab kar digiye. Aaj ke
baad main aap ke aam ke bagiche ka rakhwali nahi karunga.
To bagiche ka
malik bola kyu. Ojha ji bole ki aap ke bagiche me bhoot rahta hain. Raat ke
samay yaha par bhoot aata hain. Main ab se bhootaha bagicha me kaam nahi
karunga. Unki baat sun kar malik bola ki tum ye kya bakwas kar rahe ho. Bhoot
pret kahi hote hain kya. Aisi man gadhant baate mujhe mat Sunao. Par ojha ji to
apne jidd par ade hue the.
Bagiche ka malik
bola ki thik hain. Aaj phir se tum raat ke samay bagiche ka rakhwali karo. Main
dekhta hoon. Ki yaha par kaisa bhoot hain. Ojha ji phir se raat ke samay
bagiche ka rakhwali karne lage. Aadhi raat ke baad phir se bagiche me bhoot
aaya. Bagiche ka malik apne sath kuchh pahalwan ko rakha the. Jo ki bagiche ko
charo taraf se ghere hue tha. Bhoot aadhi raat ko aa chuka tha.
Un sabhi ne dekha
ki char ladka gaon ki taraf se aaye. Ek ladka apne sharir ka sara kapda utar
kar payal pahan liya. Wo nachta hua ojha ji ke kutiya ke taraf chala gaya.
Idhar teen ladka aam tod kar bora me bharne lage. Bagiche ke malik ke sath
jitne bhi pahalwan aaye the we sabhi unki harkat dekh rahe the. Ek achchha
mauka dekh kar charo ke upar dhawa bol diye.