Bhootiya Shahar , Bhoot Ki Kahani

Bhootiya Shahar , Bhoot Ki Kahani.

Bhotiya shahar


Ek baar ki baat hain. Ham sabhi ek shahar me pani ka pipe lagane gaye the. Jaha par water supply ka kaam mila tha. Meri company ko pani ka pipe bichhane ka kaam mila tha. Mujhe waha par pani ka pipe bichhana tha.

Padhe :-Khoon Ki Pyasi Chudail , Ek Chudail Ki Kahani.

Main kuchh worker ke sath waha gaya hua tha. Bada bada pipe le kar use aapas me jodna tha. Pipe jodne ke liye hamare paas machine bhi tha. Crane se pipe uthata aur use jodta. Pipe shahar se kuchh dur se jodte hue pani tanki tak lana tha. Jaha par water treatment plant tha. Shahar se lagbhag char kilometer ki duri par ek nadi tha. Bas us nadi se pipe ka jodai shuru karna tha.

Padhe :-Andhere Me Chudail Ki Aahat , Chudel Ki Kahani.

Pani ek bade se gaddhe me jama tha. Jaha se pani ka pipe pani le kar shahar tak aata. Ham apne kaam par the. Roj subah subah hi kaam par nikal jate aur pani ka pipe aapas me jod dete. Hame kaam jitna jyaldi ho sake utna jyaladi khatm karna tha. Kyu ki is kaam ko karne ke baad dusre jagah jana tha. Par abhi pani ka pipe jodte hue sirf ek kilometer ki duri tak hi badhe. Ki hamare sath ajib ghatna hona shuru ho gaya. Jab ham apna machine le kar waha pahuchte to machine kaam karna band kar deta.

Padhe :-Ajib Si Ghabrahat , Bhoot Pret Ki Kahani.

Machine chalu hi nahi hota. Phir machine banane wale mistry ko bulaya jata. Jo machine ko banata par machine banate banate sham ho jata. Par machine banta hi nahi. Kisi karan wash machine ban bhi jata to. Jo bhi kaam shuru karta use chot lag jata. Ek to machine banane me samay lagta aur kaam shuru hote hi kisi ko chot lag jata. Ab uska ilaz ke liye dauro.

Padhe :-Raste Me Betal , Ek Betal Ki Kahani.

Aisa hi hota ham bahut pareshan the ki itna muskil se kaam shuru hota par kaam aage badh nahi pata. Upar se dabao bhi tha ki jyad se jyad kaam ko khatm kar ke waha se jana tha. Sham hote hi ham ghar chale jate. Par kaam aage badh hi nahi raha tha. Kabhi crane hi kharab ho jata. Ham sabhi ko kuchh samajh me nahi aa raha tha ki kiya to kya kiya jaye. Kaam kar pana bahut muskil tha.

Padhe :-Bhootiya School , Bhoot Pret Chudail Ki Kahani.

Ek baat to saaf tha ki yaha par kuchh to jarur hain. Jo hame kaam karne nahi dena chah raha hain. Jo nahi chahta hain ki ham yaha par kaam kare. Aisa aisa anhoni ghatna aise hi nahi ghat raha tha. Uske pichhe jarur koi karan tha. Par kya karan tha ye ham nahi jante the. Ab ek hi maksad tha ki karan ka pata lagaya jaye.

Padhe :-Jinn Baba Ka Sthan , Jinn Jinnat Ki Kahani.

Kaam to ho hi nahi raha tha. Nadi se ek kilometer dur tak aa chuke the. Par karan ka pata lagana jaruri tha. Is liye main ek ladka ko apne sath le kar aas paas jane laga. Jis se karan ka pata chal sake. Main ek hotel ke paas pahucha. Waha ja kar chai piya aur hotel ke malik se bola ki ham yaha par pani ka pipe bichhane aaye hain.

Padhe :-Chamatkari Baba , Ek Baba Ki Kahani.

Par nahi pata kyu jab bhi kaam shuru karta hoon. Kuchh na kuchh anhoni ghatna ghat hi jata hain. Jo bhi kaam shuru karta hain. Use chot lag jata hain ya phir machine kharab ho jata hain. Kuchh samajh me nahi aa raha hain. Kiya to kya kiya jaye. Hotel ka malik hamari baat sun kar bola ki ham jis jagah par kaam kar rahe hain. Waha se kuchh hi duri par matlab nadi ke paas shamshan ghat hain.

Padhe :-Jinn Jinnat Ki Kahani, Jinn Jinnat Ki Duniya.

Jaha par raat ke samay bhoot pret ghumte hain. Aisa ghatna yaha par bahut baar ghat chuka hain. Jab bhi aisa ghatna hota hain. To log shamshan ghat me daru chahrate hain. Agar shamshan ghat me daru bhoot ne swikar kar liya to tum sabhi ka kaam ban jayega.

Padhe :-Tantra Vidya Ka Asar , Jadu Tona Ki Kahani.

Nahi to yaha par kaam kar pana namunkin hain. Tumhe wapas yaha se jana hoga. Us hotel wale ki baat sun kar soch me pad gaye. Ki hame daru shamshan ghat me chahrana padega. Wo bhi daru waha ke bhoot pret swikar kar lenge tab hi hamara kaam hoga. Nahi to hame wapas jana hoga. Phir socha ki waise bhi koun sa kaam ho raha hain. Din bhar to baith baith kar samay nast kar deta hoon. Kaam to ruka hua hain.

Padhe :-Chudail Ya Kuchh Aur ? chudail Ki Kahani.

Ek baar try kar lene me kya jata hain. Ye soch kar ham shamshan ghat jana hi uchit samjhe. Par hotel wala bola tha ki raat ke samay shamshan ghat jana padega. To ham ne bhi socha ki raat ke samay hi shamshan ghat chal diya jayega. Din me daru karide aur kuchh mithai bhi. Ab raat hone ka intejar tha. Jaise hi suraj duba aur charo taraf kuchh andhera chhaya ki ham shamshan ghat ki taraf chal diye. Shamshan ghat pahuche. Hamare hath me ek torch tha.

Padhe :-Ghadi Ka Sui, Bhoot Ki Kahani.

Jise jala kar aage ka rasta dekhte. Shamshan ghat pahuch kar ek jagah daru nikale aur ek pyala. Jis me daru dalna tha. Ham us jagah par baith kar pyale me daru dalne ki liye daru ka bottle jaise hi uthaye. Ki pyala apne aap palat kar jamin par gir gaya. Phir se use thik karte par jaise hi daru dalne ki koshish karte ki pyala apne aap gir jata. Aisa bahut baar hua. Hame kuchh sujh nahi raha tha ki ye kya ho raha hain. Par aas paas koi tha jo aisa kar raha tha. Phir uske baad jis ladka ko le kar main shamshan ghat gaya tha. Wo daru ka pyala pakda. Phir us me daru daal kar niche jamin par rakha.

Padhe :-Kaam Wali Reja Ka Bhoot, Chudail Ki Kahani.

Par jaise hi use khada kar ke kuchh der chhode to dekha ki pyala apne aap palat gaya. Koi nahi tha waha. Phir bhi kisi ne daru ka pyala palat diya. Ab hame darr bhi lag raha tha. Kyu ki waha par jarur se jarur koi tha. Aisa ek baar nahi hua balki baar baar hua. Hamare to samajh me nahi aa raha tha. Ki ye kaise ho raha hain. Ham kuchh soch nahi paa rahe the. Koi dikh to nahi raha tha. Par uski maujudgi ka ehsaas ho raha tha. Bahut badi samayasa tha.

Padhe :- Do Saheli, Darawni Kahani.

Main hath jod kar waha baith gaya aur bolne laga. Ki ham se jo bhi galti hua hain. Hame maaf karna. Hamare kisi kaam se aap me se kisi ko taklif pahucha ho to maaf kar digiyega. Kuchh sujh nahi raha tha. Par iska asar hua. Uske baad jo bhi daru us pyale me daale wo nahi gira. Ham pyale me daru bhare aur mithai waha par rakh kar wapas chale aaye.

Padhe :- Aamavas Ki Raat, Dayan Ki Kahani.

Par us din ke baad hame koi bhi kaam karne me kisi bhi prakar ka dikkat nahi aaya. Bahut hi aaram se kaam kar ke waha se chale bhi gaye. Par na to kisi ko chot laga aur na hi kabhi koi machine hi kharab hua.

Padhe :-Bharat Ka Bhutiya Railway Station.

Padhe :-Bhatakta Fakir, Ek Fakir Ki Kahani.

Padhe :-Jinnat Ki Duniya,

Padhe :-Khoon Ki Pyasi Dakini.

Padhe :-Laash Ne Daudaya, Bhoot Ki Kahani.

Padhe :-Machhli Bhat, Chudail Ki Kahani.

Padhe :-Jinn Jinnat Ki Kahani.

Padhe :-Kya Aatma Hoti Hain.

Padhe :-Rani Pokhar, Horror Story.

Padhe :-Kabr Ki Mitti, Kabr Ki Mitti Churane Se Kya Hota hain.

Padhe :-Roohani Takat, Bhoot Ki Kahani.

Padhe :-Kya Aatma Amar Hain.

Padhe :-Belgagra Machhli, Bhoot Ki Kahani.
Padhe :- Bhoot Ka Aawaz, Bhoot Ki Kahani.

Padhe :- Gehuman Saanp, Ek Saanp Ki Kahani.

Padhe :- Aaina Ek Bharm, Bhoo tKi Kahani.

Padhe:- Raste Ki Chudail, Chudel Ki Kahani.

Padhe:-Lamba Saya, Jinnat Ki Kahani.

Padhe:- Sui Dhaga, Chudel Ki Kahani.

Padhe:- Ulta Pair, Chudel Ki Kahani.

Padhe:- Khooni Talab , Bhoot Ki Kahani.