Bhooton Ka Mela - Bhootiya Kahani.
Bahut pahle ki baat hain. Us waqt motor gadi nahi tha.
Log ek jagah se dusre jagah jane ke liye bail gadi ya phir ghoda ka sahara lete
the. Ya us samay tam tam hua karta tha. Agar kisi ko akele jana hota to apna
khud ka ghoda hua karta tha.
Padhe
:-Khoon Ki Pyasi Chudail , Ek Chudail Ki Kahani.
Amir ya phir jamindar logo ke paas hi ghoda hua karta
tha. Nahi to bahut se log dur dur tak paidal hi jaya karte the. Ye baat mere
pardada ya us se pahle ki hain. Mere gaon ke paas ek aam ka bagicha hain. Wo
aam ka bagicha bahut hi purana hain. Purane ped ko kaat kar naya ped ropa jata
hain. Par ab bhi bagicha bahut hi bada aur ghana hain.
Padhe
:-Andhere Me Chudail Ki Aahat , Chudel Ki Kahani.
Mere dada aksar mujhe kahani sunaya karte the. Bachpan
se hi kahani sunana mujhe bahut pasand hain. Pahle kahani sunta tha. Par ab
kahani likh leta hoon. Thoda manoranjan bhi ho jata hain. Mujhe kahani likhna
achchha lagta hain. Jab bhi samay bacha koi na koi kahani soch kar likh hi deta
hoon.
Padhe
:-Ajib Si Ghabrahat , Bhoot Pret Ki Kahani.
Ye mujhe pasand hain. Gaon dehat me aaj bhi bhoot pret
ya chudail ka charcha hota rahta hain. Waise bhi main gaon ka rahne wale hoon.
Gaon ki mitti ka to baat hi kuchh aur hain. Ye kahani mere dada ji ne mujhe
sunaya tha. Mere pardada ke paas ghoda tha. Wo kahi bhi jate to apne ghoda se
hi jate. Gaon me us waqt unka bahut chalti tha. Ek jamane me hamara bahut rutba
tha. Mere gaon ke paas hi ek bagicha hain.
Padhe
:-Raste Me Betal , Ek Betal Ki Kahani.
Jo ki bahut purana hain. Us waqt ke log bolte the ki
us aam ke bagicha me bhooton ka mela lagta hain. Jaise hi raat ka andhera
chhaya ki us bagiche me bhoot ghumna shuru ho jata. Aisa lagta tha ki koi bhoot
aag jala kar khana bana raha hain. To koi idhar udhar ghum raha hain. Raat ke
samay jo bhi us aam ke bagiche ke samne se gujrata. To bhoot sabhi mil kar use
maar dete.
Padhe
:-Bhootiya School , Bhoot Pret Chudail Ki Kahani.
Par bagiche ke dur se hi pata chal jata ki waha par
koi hain. Aag jalta hua dikhai deta. Aurat mard aapas me baate karte hue dikh
jate. Kuchh aadmi raste me chalte hue dikhai deta. Par wo aadmi nahi balki
bhoot hi the. Raat ya phir suraj ke dubne ke baad se hi us jagah par bhooton ka
mela shuru ho jata. Wo sabhi kaise bhoot bane aur koun hain. Ye koi bhi nahi
janta tha. Agar sham hua aur koi bhi bail gadi se us raste se hote hue gaya. To
kuchh duri se hi bail harak jata tha.
Padhe
:-Jinn Baba Ka Sthan , Jinn Jinnat Ki Kahani.
Jitna bhi koshish kar lo. Bail ek kadam aage nahi
badhta. Par pardeshi ko yahi lagta ki samne koi basti hain. Ya phir koi mela
laga hua hain. Agar anjane me koi pardeshi us raste se hote hue aage ki taraf
badha. To subah subah uski laash bagiche ke paas milta. Gaon ya phir aas paas
ke gaon ke log jante the ki us bagiche me bhooton ka mela lagta hain. Par kisi
anjan pardeshi ko pata nahi chalta. Wo to raste me hi mara jata.
Padhe :-Chamatkari Baba , Ek Baba Ki Kahani.
Ek baar ki baat hain. Mere pardada kahi gaye hue the.
Unhe gaon se dur jana tha. Din me hi nikle the. Par wapas aane me der ho gaya.
Matlab ki sham ho gaya. Jab wo apne gaon ke andar jane wale the. To thik us
bagiche se kuchh duri par hi unka ghoda ruk gaya. Mere pardada jaan gaye ki ab
bhooton ka mela shuru ho chuka hain. Ab yaha par bhoot dikhna shuru ho jayega.
Padhe
:-Jinn Jinnat Ki Kahani, Jinn Jinnat Ki Duniya.
Mere pardada soche ki abhi bhoot aaye nahi honge. Apne
ghoda ko chabuk se marne lage. Ki kisi tarah ghoda daurta hua aage badhe aur wo
ghoda par sawar ho kar bagicha paar kar jaye. Par ghoda maar kha kar apni jagah
hihiyane lagta. Lekin aage ki taraf nahi badha. Mere pardada waise bahut
himmati the. Unhone socha ki ghoda ko yahi chhod deta hoon.
Padhe
:-Tantra Vidya Ka Asar , Jadu Tona Ki Kahani.
Main akele hi is bagiche ko paar kar jata hoon. Agar
raat me ghar nahi pahucha to dusre gaon me raat bitana padega. Ye soch kar apna
ghoda raste me hi chhod kar akele baiche ke taraf badh gaye. Bagicha bahut hi
bada aur ghana tha. Jab bagiche ke bicho bich pahuche to dekhe ki kam se kam
das aadmi. Jo ki lakdi le kar chal raha tha. Kamar jhuka hua tha. Kabhi idhar
dekhta to kabhi udhar.
Padhe
:-Chudail Ya Kuchh Aur ? chudail Ki Kahani.
Bilkul safed rang ke aadmi the. Mano ki sar se le kar
pao tak safed. We sabhi raste me hi ghum rahe the. Mere pardada ka najar un par
pada. We sabhi bhi mere pardada ko dekhe. We sabhi mere pardada ko dekhte hi
chillane lage. Kisi ka naam le kar bolne lage ki sab dauro aaj hamari basti me
koi insaan ghus gaya hain. Sab mil kar ise pakad kar maar do. Itna sunte hi
jungle se bahut se bhoot daurte hue nikle. Mere pardada un sabhi ko dekhte hi
darr gaye. Sabhi bilkul safed safed the.
Padhe
:-Ghadi Ka Sui, Bhoot Ki Kahani.
We sabhi bhoot ka najar bhi mere pardada par pada. Ek
taraf se bahut si aurat bhi nikli. Ab kiya to kya kiya jaye. Charo taraf se
bhoot hi bhoot nikalne lage. Mere pardada waha se wapas ki taraf daur laga
diye. Bhoot bhi unke pichhe pichhe daurne laga. We sabhi chillane bhi lage ki
pakdo ise aaj bach kar nahi jana chahiye. Aurat mard jitne bhi bhoot the sabhi
mere pardada ko daurane lage. Mere pardada daurte daurte apne ghoda ke paas
aaye aur ek hi chhalang me ghoda par sawar ho gaye.
Padhe
:-Kaam Wali Reja Ka Bhoot, Chudail Ki Kahani.
Jitna tej ho sakta tha. Ghoda daurane lage. Waha se
bhag kar bahut dur dusre gaon chale gaye. Jab dusre gaon pahuche to ja kar unke
jaan me jaan aaya. Tab ja kar rahat mila. Sabhi ko bataye ki kaise unke pichhe
bagiche ka bhoot laga tha. Us din unka jaan bach gaya. Ab bhi aam ka bagicha
waisa hi ghana aur darawana hain. Par kitni bhi raat ko koi bhi aata hai. To ab
bhoot pret waha nahi dikhte hain. Bagiche ke aas paas bahut se ghar ban gaye
hain. Log kahte hain ki kabhi isi jagah bhooton ka mela lagta tha.
Padhe
:- Do Saheli, Darawni Kahani.
Par ab na to waha par bhoot hi dikhai dete hain. Aur
na hi bhooton ka mela lagta hain.
Padhe
:- Aamavas Ki Raat, Dayan Ki Kahani.
Padhe
:-Bharat Ka Bhutiya Railway Station.
Padhe
:-Bhatakta Fakir, Ek Fakir Ki Kahani.
Padhe :-Khoon Ki Pyasi Dakini.
Padhe :-Laash Ne Daudaya, Bhoot Ki Kahani.