Chamatkar Ya Aastha - Majar Sharif Ka Chamatkar.
Mera naam arzoo khan hain. Main bokaro ka rahne wala
hoon. Bokaro me siwandih naam ka ek jagah hain. Main wahi ka rahne wala hoon.
Aksar main kisi bhi baba ke majar sharif par jata rahta hoon. Mujhe un par bishwash
hain. Koi bhi musibat ho mere ghar se kuchh duri par ek majar sharif hain.
Main waha par ja kar fariyad karta hoon. Mujhe bahut
shanti milta hain. Mann bhi halka ho jata hain. Majar sharif ka shant watawaran
mujhe bahut pasand hain. Kisi bhi kast se waha par rahat mil jata hain. Mera
bahut sa khwahish waha par pura hua hain. Jis karan majar sharif mujhe pasand
hain. Apne peer shaheb se mil bhi leta hoon aur kuchh jankari bhi hasil kar
leta hoon. Majar sharif ka chamatkar main yaha likh raha hoon. Bahut pahle ki
baat hain.
Ek baar main ajmer sharif gaya hua tha. Waha par ham
do ladke gaye hue the. Ek main tha aur ek mera dost. Ham dono ne mil kar waha
jane ka plan banaya tha. Main ek do aadmi se puchha bhi tha ki ajmer sharif
kaise jaya jaye. To unhone mujhe bataya ki ajmer sharif jane se pahle. Tumko
delhi jana padega. Pahle hazrat nizamuddin jana hoga. Waha par hazarat
nizamuddin ka ziyarat karne ke baad.
Tab ja kar ajmer sharif jaoge to hi fayada hoga. Ham
dono dost soche ki chalo pahle delhi chala jaye. Kabhi delhi ghuma to nahi
hoon. Isi bahane delhi kaisa hain dekh bhi lenge aur ghum bhi lenge. Bahut naam
sun rakha hain. Ham dono dost ne plan banaya aur ek nirdharait tarikh ko delhi
bhi chal diye. Sab se pahle hazrat nizamuddin station par utre. Phir waha se
paidal hi dargah sharif chale gaye. Waha par ek kamra bhara me liye.
Naha kar dargah sharif ke taraf chal diye. Hazrat
nizamuddin ke dargah par pahuch kar jiyarat kiye. Phir waha se nikal kar soche
ki chalo ab delhi ghuma jaye. Par jaise hi room par pahuche. To room ka malik
puchha ki aap ko ajmer sharif bhi jana hain kya. Ham ne bola ki haan hame ajmer
sharif bhi jana hain. Usne kaha ki sham ke samay yaha se bus khulegi.
Us bas ko pakad kar ajmer sharif chale jao. Waise bhi
sham hone hi wali thi. Ham dono ab ajmer sharif jane ke tayyari me jut gaye.
Sham ko bus pakde aur sidhe ajmer sharif chale gaye. Delhi ghumne ka khwahish
pura nahi hua. Waha bhi ek kamra bhare me liye aur phir ajmer sharif dargah par
chale gaye. Waha ka adbhut najara jiska tarif main jitna karu kam hi hain.
Ajmer sharif dargah par gaya. Khwaja shaheb ke majar
par bhi gaya. Ham dono bahut khush bhi the ki bahut dino ka khwab pura ho gaya.
Ajmer sharif ghume aur ghumte ghumte raat bhi ho gaya. Wapas room me aa gaye.
Phir agli subah ajmer sharif chale gaye. Ham dono dost ne plan banaya ki aaj
taragarh chala jaye.
Waha par pahuchne ke liye pahar par caharna padta
hain. Ham dono dost subah hi tayyar ho kar taragarh ke liye nikal gaye. Pahar
ka chahrai tha. Par taragarh jane ke raste me ek majar sharif padta tha. Ham
dono us majar sharif me gaye. Waha kuchh der baithe. Par mera najar ek ped par
pada. Jaha par ek aadmi kuchh bech raha tha. Ham dono us aadmi ke paas pahuch
gaye.
Wo aadmi jis ped ke niche kuchh bech raha tha. Wo usi
ped ka beej tha. Hamne un se puchha ki is beej ka kya kaam hain. To us ne kaha
ki is beej ke bahut fayade hain. Jiske ghar koi bachchha nahi ho raha ho. Agar
aastha ya yakin ke sath ye beej us aurat ko khila do. Jo ki maa nahi ban sakti
hain. To is beej ke chamatkar se wo maa ban jayegi.
Main bhi soch me pad gaya ki kabhi aisa bhi ho sakta
hain kya. Mujhe apne ghar ke bagal wali bhabhi ka yaad aa gaya. Unki shadi ke
bhi barah saal ho chuke the. Par wo ab tak santan ke sukh se mahrum thi. Main
socha ki chalo ek baar try karne me kya jata hain. Main us se wo beej kharid
liya. Phir uske baad ham dono tara garh ki taraf chal diye. Ajmer sharif
achchhi tarah se ghume.
Jab do din tak waha ruke to ab wapas aane ki tayyari
thi. Tarin pakde aur wapas bokaro aa gaye. Maine us beej ko apne ghar ke bagal
wali bhabhi ko diya. Aur un se bola ki bhabhi is beej ko kha kar dekhiye. Khuda
ne chaha to aap maa jarur ban jayegi. Bhabhi mujh se beej le li. Uske baad main
ghar wapas aa gaya. Kisi kaam se main apne ghar se dur kolkata chala gaya. Jaha
par meri bahan rahti hain. Unka ek dukan tha.
Ek naya dukan khole the. Jise mujhe chalana tha. Main
dukan chalane laga. Lagbhag ek saal ke baad main apne ghar wapas aaya. Par jab
main apne ghar wapas aaya. To bhabhi ko jab pata chala ki main aaya hoon. To
apne bachche ko le kar mere paas aai. Bhabhi apne bachchha ko mere god me de
kar boli. Main to haar maan chuki thi. Doctor ne yaha tak kah diya tha ki tumhe
kabhi bachcha nahi hoga. Shadi ke baad barah saal tak na jane kitna ilaaz
chala.
Mujhe bhi pata nahi. Na jane kitni raat tumhare bhaiya
aur main ro ro kar gujar diye. Par hame aulad ka sukh nasib nahi hua. Tumne
mujhe jo beej diya tha. Use main khai. Sirf ek mahine me hi mujhe pata chala ki
mere andar koi jaan panap raha hain. Jab check karai to pata chal gaya ki main
pet se hoon. Jise doctor bhi baaj ghosit kar chuke the. Ham ne bhi ummid chhod
diya tha. Par achanak se chamatkar ho gaya.
Maine apne beta ko janm diya. Jo ki mere liye bahut
khushi ki baat hain. Agar tum ajmer sharif nahi jate to aisa chamatkar kabhi
nahi ho sakta tha. Main bhi khush tha ki chalo wo beej bhi kaam kar gaya.
Bhabhi apne ghar wapas chale gai. Par main bahut dino tak sochta raha ki yaar
in sabhi takat ko kabhi bhi jhootha nahi kahna chahiye.
Inke bas me bahut kuchh hain. Ye chah le to kisi ki
zindagi bana bhi sakte hain aur bigar bhi. Ye koi aastha hain ya chamatkar
mujhe nahi pata. Par garib nawaz ka karamat bhi ajib ajib hain.