Chamatkari Tabij , Aatma Ki Sachi Kahani.
Mera naam Dilip
Kumar Pandit hain. Main jharkhan ka rahne wala hoon. Main ye kahani aap biti
likh raha hoon. Jo ki ek tabij ka hain. Wo bhi ek chamatkari tabij ka. Mujhe Jo
vishwash nahi thi wo ho gaya. Bas ek chamatkari tabij ke karan. Baat bahut
pahle ki to nahi hain.
Padhe
:-Khoon Ki Pyasi Chudail , Ek Chudail Ki Kahani.
Phir bhi thodi
purani jarur hain. Ek baar ham sabhi. Mera matlab ki main aur mere mata pita
aur sath me meri patni bhi thi. Ham sabhi train pakad kar ranchi aa rahe the.
Ranchi me mera dukan hain. Ham sabhi bihar ke rahne wale hain. Aur Ranchi me
shift ho chuke hain. Ab ham sabhi ranchi me rahte hain. Koi kaam pada to hi
gaon jate hain nahi to gaon jane ki naubat nahi aati hain.
Padhe
:-Andhere Me Chudail Ki Aahat , Chudel Ki Kahani.
Waise mera sara
khandan gaon me hi baste hain. Par main yaha ranchi me apna chhota sa dukan
chalata hoon aur is me main bahut khush bhi hoon. Kabhi koi kaam aa gaya to
apne gaon chala jata hoon nahi to nahi jata hoon. Gaon me mera ek ghar bhi hain
aur jamin bhi hain. Jise ham sabhi dusre ko bataiya me de diye hain. Wo hi
kheti karta hain aur kuchh paise hame de deta hain. Ham sabhi apne zindagi me
bahut khush hain. Ek chhota sa ghar pariwar aur kya chahiye. Jitna kamata hoon
utne me ham sabhi ka achchhi tarah se gujar basar ho jata hain.
Padhe
:-Ajib Si Ghabrahat , Bhoot Pret Ki Kahani.
Mera shadi bihar
ke ek chhote se gaon me hua hain. Ek baar ki baat hain. Ham sabhi bihar me apne
gaon gaye hue the. Kuchh din tak gaon me rukne ke baad hame phir se wapas aana
tha. Jis karan ham sabhi wapas aa rahe the. Ye ghatna usi waqt ghata. jo ki ek
pret aatma se sambandhit hain. Ek chamatkari tabij jo bahut kaam aaya. Jab ham
sabhi apne gaon se wapas aa rahe the to train ek chhote se station par ruki.
Garmi ka din tha. Bahut hi jyada garmi lag raha tha.
Padhe
:-Raste Me Betal , Ek Betal Ki Kahani.
Train ke andar
bahut bheer tha. Jis karan andar me bahut umas lag raha tha. Train bhi ek
chhote se station par aa kar ruk gai. Train bahut der tak wahan par ruki rahi.
Jab train ke andar bahut garmi lagne laga to bahut se yatri train ke bahar
nikal gaye. Sham bhi ho chuki thi aur andhera bhi phailne wala tha. Main train
ke bahar nikla aur ek patri par baith gaya.
Padhe
:-Bhootiya School , Bhoot Pret Chudail Ki Kahani.
Bahut se yatri
train se bahar nikal kar patri par baithe hue the. Main bhi wahi par baith kar
signal clear hone ka intejar karne laga. Jab bahut der tak signal clear nahi
hua to meri patni bhi train se bahar nikli aur idhar udhar ghumne lagi. Wahan
par bahut se aurat mard the. Meri patni aur kuchh aurat aage tak chale gai.
Lagbhag do ghante ke baad signal clear hua aur train siti mari. Main aawaj de
kar apni patni ko bulaya aur apne sit par ja kar baith gaya. Yaha tak to sab kuchh
thik thak chal raha tha. Subah train ranchi bhi pahuch gai. Ham sabhi apne ghar
chale aaye. Yaha tak to sab kuchh sahi sahi chal raha tha. Kuchh bhi ajib sa
mujhe nahi laga.
Padhe
:-Jinn Baba Ka Sthan , Jinn Jinnat Ki Kahani.
Main subah apne
dukan par gaya aur raat ke samay wapas aa gaya. Raat ka khana kha kar so gaya.
Par usi raat lagbhag 2 baje raat ko achanak mera nind toota. Mujhe laga ki koi
kuchh bol raha hain. Main apne bistar se jag kar light ko on kiya. To dekha ki
meri patni ghar ke ek kone me baith kar kuchh barbara rahi hain. Main soch me pad
gaya ki aadhi raat ke samay ise kya ho gaya. Ye barbara kyu rahi hain. Main
uske paas gaya aur us se puchha ki kya ho gaya jo aadhi raat ke samay barbara
rahi ho.
Padhe
:-Chamatkari Baba , Ek Baba Ki Kahani.
Wo mujhe ek jordar
jhatka di aur boli ki yaha se jate ho ya nahi. Main kuchh samajh nahi paya ki
ab ise kya ho gaya hain. Main phir se uske paas gaya aur bola ki tumhe kya ho
gaya hain. Jo tumhara baal pura bikhra pada hain. Aisa lag raha hain ki tum
hosh o hawash me nahi ho. To meri patni boli ki tum koun ho main tumhe janti
nahi hoon. Tum mere paas se jate ho ya nahi.
Padhe
:-Jinn Jinnat Ki Kahani, Jinn Jinnat Ki Duniya.
Main soch me pad
gaya ki ye kya anaab sanaab bak rahi hain. Use daat te hue bola ki tum is
nautanki ko ab band karo aur ja kar bistar par so jao. Wo mera baat kaha manane
wali thi. Wo to ulta mujhe hi datne lagi. Ghar me sor saraba hone laga. Ham
dono ka shor sun kar meri maa aur pita ji bhi jag gaye. Wo bhi datne lage aur
bole ki itni raat gaye ghar me ye kaisa shor sharaba ho raha hain. Wo aa kar
jab meri patni ka halat dekhe to samajh gaye ki meri patni ke upar jarur koi aatma
ka wash ho chuka hain. Meri patni ka halat bhi aisa ho gaya thi ki mano koi
anjan aadmi dekh le to darr jaye. Baal bikhe hue aankhe laal ho chuki thi.
Padhe
:-Tantra Vidya Ka Asar , Jadu Tona Ki Kahani.
Kuchh samajh me
nahi aa raha tha. Mere pita ji mujhe ghar ke ek taraf bula kar bole ki lagta
hain ise kuchh ho gaya hain. Jarur kisi bhoot pret ka saya iske upar aa chuka
hain. Tabhi ye aisi aisi harkat kar rahi hain. Mere pita ji ka baat sun kar
mujhe bhi laga ki jarur ise koi bhoot pret hi pakad liya hain.
Padhe
:-Chudail Ya Kuchh Aur ? chudail Ki Kahani.
Ab tini raat ko
kya kiya jaye ye bhi ek chinta ka bishay bana hua tha. Kisi tarah raat bitne ka
intejar kiya jab subah hua to main ek jhaar phook karne wala ojha ke paas gaya.
Maine ojha se apne patni ke bare me bataya. Ojha ji mere ghar aaye aur meri
patni ko dekhte hi samajh gaye ki iske upar jarur kisi chudail ka saya hain. Wo
bole ki tumhari patni ko chudail pakad liya hain.
Padhe
:-Ghadi Ka Sui, Bhoot Ki Kahani.
Jiske karan wo
aisa ho gai hain. Ojha ji ko dekhte hi meri patni chillai aur boli ki ise ghar
se bahar nikalo main iska sakl tak dekhna nahi chahti hoon. Par meri patni ko
ham sabhi rassi se bandh chuke the. Jis karan wo apne jagah se uth kar kisi ke
upar hamla nahi kar sakti thi. Ojha ji uska jhaar phook shuru kiye. Meri patni
jor jor se chillane lagi. Ojha ji meri patni ka baal pakad kar do mukka, meri
patni ke pith par de mare aur puchhe ki tum koun ho aur iske sharir me kya kar
rahi ho. Pahle to wo kuchh batana nahi chah rahi thi. Par jab ojha ji meri
patni ka baal pakad kar ghumane lage to wo boli ki batati hoon.
Padhe
:-Kaam Wali Reja Ka Bhoot, Chudail Ki Kahani.
Phir meri patni
boli ki main ise raste me mili thi. Ye aurat train se kahi ja rahi thi. Par
train raste me ek chhote se station ke paas ruka. Maine ise wahi par dekha tha
aur iske sharir me aa gai. Ab se main iske sharir me hi rahungi. Ye aurat mujhe
achchhi lagi aur ab main ise bhi apne sath le gaungi. Ojha ji bole ki ye
sambhao nahi hain. Tumhe iske sharir ko chhod kar jana padega. To meri patni ke
andar jo aatma thi wo boli ki aap jo bhi kuchh kar ligiye main ise chhod kar
jane wali nahi hoon. Main ise bhi train se katwa dungi aur apne sath rakhungi.
Padhe
:- Do Saheli, Darawni Kahani.
Ab to ham sabhi ko
bahut chinta ho gaya ki is aatma se kaise pichha chhodaya jaye. Ojha ji apne
mantron ka jaap kar ke meri patni ke upar phookte. Meri patni bahut hi jod se
chillati aur kahti ki aap ko jo bhi kuchh karna hain kar lo par main is aurat
ko chhod kar jane wali nahi hoon. Subah se sham ho gaya. Ojha ji jhaar phook
karte rahe par us chudail ka aatma meri patni ke sharir se nahi nikla. Ojha ji
meri patni ko kabhi kabhi mukka se pith par marte bhi the. Par koi fayada nahi
hua. Ojha ji jab ant me thak gaye to bole ki lagta hain aatma bahut dhith hain.
Ye aise nahi manegi.
Padhe
:- AamavasKi Raat, Dayan Ki Kahani.
Koi dusra upaye
karna padega. Ab ham sabhi ko bhi bahut chinta ho chuka tha. Ojha Ji apne ghar
chale gaye. Meri patni ab bhi rassiyon me bandhi hui thi. Pura raat nikal gaya.
Phir se subah ho gaya. Ham sabhi soch me pad gaye ki nahi pata kaise ye bala
hamare ghar chala aaya. Pure mohalle me ye baat phail gai ki meri patni ko
bhoot pakad liya hain. Kisi chudail ka saya meri patni ke upar hain.
Padhe
:-Bharat Ka Bhutiya Railway Station.
Subah hi main apne
ghar se dukan ki taraf ja raha tha. Ki mere mohalle ka ek chacha ji mujhe
bulaye aur bole ki beta thoda rukna. Main ruk gaya. Unhone kaha ki tumhari
patni ko koi bhoot pret pakad liya hain. Main bola ki haan. Unhone ek tabij
mujhe diya aur bole ki tum ghar ja kar ye tabij apne patni ke gale me latka
dena. Ye azmer sharif ka tabij hain.
Padhe :-Bhatakta Fakir, Ek Fakir Ki Kahani.
Dekho is se kahi
wo buri aatma tumhare patni ko chhod kar chale jaye. Main is ummid se apne ghar
wapas chala aaya aur jaise hi us chamatkari tabij ko apni patni ke gale me daal
hi raha tha ki meri patni jor jor se chillane lagi. Wo chillane lagi aur boli
ki is chamatkari tabij ko yahan se dur kahi phek do. Agar mujhe pahna diye to
dekhna mujh se bura koi nahi hoga.
Main jabrdasti us
tabij ko apni patni ke gale me pahna diya. Tabij pahnte hi meri patni bilkul
thanda pad gai aur rone lagi. Rote hue boli ki mujh se bahut badi galti ho gai.
Mujhe mere ghar tak chhod do. Main tumhari patni ke sharir ko chhod kar chale
jaungi. Par apne ghar ka rasta bhatak chuki hoon.
Padhe :-Khoon Ki Pyasi Dakini.
Ab idhar udhar
bhatakna nahi chahti hoon. Tum mujhe usi station ke paas chhod do. Ab ham sabhi
soch me pad gaye ki ye kaise ho sakta hain. Ham sabhi ise wahan par kaise chhod
sakte hain. Meri patni ke andar jo aatma thi wo boli ki main ise kuchh bhi nahi
karungi bas tum mujhe mere ghar tak chhod do. Ham ne tay kiya ki apni patni ko
phir se usi station ke paas le jaunga. Jahan par ise aatma ne pakda tha. Maine
phir se apne ghar jane ka ticket katwaya aur wapas gaon jane ka socha. Apni
patni ko phir se usi station ke paas le gaya.
Padhe :-Laash Ne Daudaya, Bhoot Ki Kahani.
Jaise hi main apni
patni ko us station ke paas le gaya. Waise hi us chudail ka aatma meri patni ko
chhod kar chale gai. Meri patni bilkul thik ho gai. Phir ham sabhi wapas apne
ghar ranchi chale aaye. Agar mujhe chamatkari tabij nahi milta to shayad wo chudail
ki aatma. Meri patni ko nahi chhodti. Main us chamatkari tabij ko chum liya aur
wapas us chacha ke paas aaya aur unhe dil se dhanyabad diya. Jinke wajah se
muhje azmer sharif ka chamatkari tabij mila tha.