Chudel Ka Pyar , Chudel Ki Kahani.
Bhoot pret chudel
ye sabhi adrishya takat hain. Jo kabhi kabhi hi dukhti hain. Par ye aksar akele
me hi dikhte hain. Jab raat ka andhera ho aur aadmi dara hua ho. To chudel ya
bhoot pert dikh jate hain. Aaj main ek chudel ki kahani likh raha hoon.
Jo ki ek ladka ke
sath hua. Chudel us ladka ko chahe lagi thi. Wo ladka bhi chudel ka pyar ban
chuka tha. Chudel har sambhao koshish ki. Ki is ladka ko apne sath le jau.
Chudel ka pyar adhura ka adhura rah gaya. Agar samay rahte wo nahi jaan pata to
uski maut nischit thi. Chaliye to chudel ka pyar kahani shuru kiya jaye. Kisi
gaon me ek ladka raha karta tha. Uska naam ramesh tha. Ramesh bahut hi tej aur
khubsuart ladka tha. Wo jis gaon me rahta tha. Usi gaon ki ek ladki se pyar
karta tha.
Ladki bhi aisi thi
jo ramesh ko bahut chahti thi. Dono ek dusre se bahut pyar kiya karte the.
Ramesh jahan bhi chahta apni premika ko bula leta. Premika bhi aisi thi. Jo
ramesh ke bulane par chale jati thi. Dono bahut hi chalak the. Duniya ki najar
bacha kar aapas me mila karte the. Kabhi din me to kabhi raat ke andhere me.
Uski premika bhi apne ghar walo se koi bahana bana kar ghar se nikalti aur apne
premi se milne chale jati. Gaon ke bahut logo ko shaq tha ki dono ek dusre se
milte hain. Par koi un dono ko pakad nahi paya tha.
Gaon ke logo ne
bahut koshish kiya bhi ki in dono ko pakra jaye. Par sara prayash a safal tha.
Dono bahut hi chalak the. Aaj jis jagah par milte to agle din jagah badal lete.
Koi samjh nahi pata ki dono kaha milte hain. Ek baar ki baat hain we dono raat
ke andhere me gaon ke talab ke paas baith kar baaten kar rahe the. Dono waha
par baith kar apni duniya me gum the. Aur aapas me baaten kiye ja rahe the. Par
us raat ek chudel un dono ki baate sun rahi thi. Chudel un dono ko bahut dino
se milte hue dekh rahi thi. Duniyan ko pata nahi tha ki we dono kaha kaha milte
hain. Par chudel ko sab kuchh pata tha.
We dono agle din
jaha milne ki baat karte to chudel waha pahle hi pahuch jati. Wo jhariyon me
chhup kar dono ko dekhte rahti. Un dono ki baaton ko bhi sunti. Chudel us ladka
se pyar karne lagi thi. Wo ladka chudel ka pyar ban chuka tha. Chudel use
chahne lagi thi. Par kabhi aisa mauka nahi mila ki wo apne pyar ko paa sake. We
dono talab ke kinare baith kar aapas me baaten kar rahe the.
Chudel bhi
jhariyon me chhup kar un dono ki baaten sun rahi thi. Tabhi jhariyon se kuchh
sarsarane ki aawaj aai. Ladki ko laga ki jhariyon me kuchh hain. Koi hain jo
hamari baaton ko sun raha hain. Wo apne premi se boli ki jara dekhna jhariyon
me koi hain kya. Yaha jarur koi hain jo hamari baaton ko sun raha hain. Ramesh
ko bhi laga ki jhariyon me koi hain.
Wo apni jagah se
utha aur jhariyon ki taraf badha. Wahan ja kar dekha to waha koi bhi nahi tha.
Jab use waha koi nahi mila to rahat ki saas li. Use darr tha ki kahi aaj pakre
na jaye. Par jhariyon me kisi ka na milna matlab ki koi nahi hain. Unka raaz
kisi ko pata nahi hain. Dono phir se apne jagah par baith kar baate karne lage.
Jab baat khatm hua to. Ramesh bola ki kal phir ham dono yahi par milenge.
Jab aadha raat bit
jayega to tum yaha par chale aana. Main tumhara yaha par intejar kaunga. Dono
phir se dubara milne ka wada kar ke apne apne ghar chale gaye. Chudel un dono
ko jate hue dekhte rah gai. Par ab wo kare bhi to kya. Chudel ramesh ko chahti
thi. Kisi tarah ramesh ko apna banana chah rahi thi. Par koi aisa mauka mil hi
nahi raha tha ki chudel ka pyar pura ho jaye.
Par wo jaan chuki
thi ki ramesh kal raat me phir yahi par apni premika se milne wala hain. Ab
chudel bhi koi upaye banane lagi. Jab phir se raat hua to rameah jaisa ki apni
premika se bola tha. Ki wo aadhi raat ke samay uska intejar talab ke paas
karega. To wo sahi samay par talab ke paas pahuch gaya. Chudel bhi jhariyon me
chhup kar ramesh ko dekh rahi thi.
Par us raat ko
uski premika apne ghar me phas gai. Uske ghar me koi mehman aa gaya. Jis karan
ko apne ghar se bahar nahi nikal pai. Ramesh talab ke paas uska intejar karne
laga. Bahut der tak apni premika ka intejar karta raha. Jab chudel ko pura
yakin ho gaya ki ab uski premika nahi aane wali hain. To usne ramesh ko pane ka
ek upaye socha. Chudel ka pyar ramesh tha. Chudel apna pyar ko pane ke liye.
Uski premika ka roop dharan kiya aur uske paas aaya. Wo ramesh ke paas aa kar
boli. Ki aaj ghar me bahut kaam tha.
Jis karan mujhe
aane me der ho gaya. Ramesh bhi use data aur bola ki agar thoda der aur kar
deti to main chala jata. Wo boli ki kisi tarah ghar walon se najar bacha kar
aai hoon. Aaj jyada der tak baat nahi karungi. Mujhe ghar bhi wapas jana hain.
Ramesh bola ki thik hain. Dono talab ke paas baith kar aapas me baate karne
lage. Thodi der ke baad wo boli ki yaha se chalte hain. Us talab ke us chhod
par baith kar baat karte hain.
Yahan koi dekh
lega. Ramesh aur wo ladki jo ki ek chudel thi. Jisne apna bhesh badal kar
ramesh ki premika ka roop dharan kiya tha. Dono ek dusre ka hath pakad kar
talab ke kinare kinare chalne lage. Abhi kuchh dur hi badhe the ki ramesh ki
najar.
Uske pair par
padi. Ramesh ke to hosh hi udd gaya. Ramesh dekha ki wo jis ladki ke sath ja
raha hai. Uska pair pichhe ki taraf muda hua hain. Ramesh jaan gaya ki ye ladki
uski premika nahi hain. Balki ye ek chudel hain. Par ab kare to kya kare.
Ramesh ka hath us chudel ke haath me tha. Ramesh ab us se apna hath chhodane ki
koshish karne laga.
Par wo bahut hi
jor se ramesh ka hath pakad rakhi thi. Ramesh uske sath aage ki taraf badha
chala ja raha tha. Wo us se apna haath chhodane ki koshish bhi karta. Par sab
bekar. Wo bahut hi darr gaya. Darr se uske pasine chhutne lage. Wo jaan chuka
tha ki aaj wo jiske sath hain.
Wo uski maut hain.
Ramesh us se bola ki tum mera haath chodo. Aise hi chalte hain. To chudel boli
ki haath chhodne ke liye hi haath pakdi hoon. Ek baar haath pakad liya to.
Zindagi bhar nahi chhodungi. Ramesh apna haath chhodane ki koshish bhi karta
aur darr se kapta bhi.
Jab wo chudel
palat kar ramesh ke taraf dekhi to ramesh ka halat aur bhi kharab ho gaya. Us
chudel ka bhayanak chehra ramesh ki taraf tha. Chudel us se boli ki tum ek
chudel ka pyar ho. Aaj main tumhe nahi chhodungi. Apne sath le kar jaungi.
Bahut dino se main tumhare pichhe padi thi. Aur aaj tum kah rahe ho mujhe chhod
do.
Aaj hi to mauka
mila hain. Ramesh uske samne girgirane laga. Par chudel use le kar talab me
utar gai. Jab subah hua to gaon walon ne dekha ki ramesh ka laash. Talab me
tair raha hain. Kisi ko kuchh samajh me nahi aa raha tha ki ye kaise ho gaya.