D Shackles Kise Kahte Hai , Lifting Tools.
Industries me
bahut se tools upyog me laye jate hain. Tools ka mukhya kaam kisi kaam ko aasan
banana hai. Tatha mehnat ko kam karna hain. Kisi saman ko uthane ke liye jis
tools ka jarurat padta hain. Use lifting tools kahte hain.
Jaise ki belt
sling, chain sling, wire rope sling etc. Un lifting tools se connective part ko
laga kar tight kiya jata hain. Aise bahut se shackles hain. Par mukhyatah plant
ya industry me D shackles ya bow shackles ka upyog kiya jata hain.
Bow shackles ka
aakar ghade ya matka ki tarah hota hain. D shackle ka aakar english ke akshar D
ki tarah hota hain. Bow shackle me do patti ko aapas me kasne ka kaam aata
hain. Par D shackles ke ek patti ko kas sakte hain.
Jaha par jis tarah
ke shackle ka jarurat hain. Waha par us tarah ke shackle ko upyog me laya jata
hain. Bow shackle ka upyog jyadatar nirman chhetra me hota hain. Waha par kaam
fiber belt sling se kiya jata hain.
Par kahi par do
sling ko jodna ya tight karna ho. Waha par D shackle ka upyog hota hain. D
shackles alag alag capacity ke hisab se aata hain. Jaise ki ek ton capacity ka
D shackles. Ek ton tak ke material ko uthane me lagaya ja sakta hain.
Jaisa weight waisa
kaam. Hamesha dhyan rakhna chahiye ki kabhi bhi capacity se jyada wajan ke liye
lifting tools upyog na ho. Aisa bhi nahi hona chahiye ki jyada capacity ke D
shackles ko bahut kam ton ke material me upyog kiya jaye.
Aisa karne se
material tight nahi hoga aur jab uthaya jayega to slip ho sakta hain. Sahi
tools ka hona bhi jaruri hain. Jab bhi lifting tools ka upyog ho to uska test
certificate hona chahiye.