Darr Ka Ehsaas , Badd Rooh Ki Kahani

Darr Ka Ehsaas , Badd Rooh Ki Kahani.

Darr ka ehsaas


Darr ka ehsaas kabhi kabhar kisi ko ho hi jata hain. Kabhi kabhi koi ghar me akela soya ho aur aisa lage. Ki kisi ne abhi abhi ghar ka darwaja khat khataya ho. Par jab bahar nikal kar dekha jaye to koi bhi najar nahi aaye. To darr ka ehsaas hona koi aam baat nahi hain.

Darr ek aisa chij hain jiska ehsaas har kisi ko hota hain. Mara hua insaan ko hota hoga ya nahi. Ye mujhe malum nahi par zinda insaan ko iska ehsaas ho hi jata hain. Darr ek aisa chij hain. Jo achchhon ko sochne par majbur kar deta hain. Har koi soch me ped jata hain. Ye kisi ka pasina tak baha deta hain.

Chahe insaan kitna bhi takatwar kyu na ho use bhi darr ka ehsaas ho hi jata hain. Darr to insaan ke andar hi hota hain. Kabhi kisi chij ka abhash hona. Ya sannate me kisi ki maujudgi ka ehsaas hona. Yahi to darr ko janm deta hain. Ek baar main bhi bahut darr gaya tha. Mujhe bhi darr ka ehsaas hua tha. Main to raat hone se hi darta tha. Chahta nahi tha ki kabhi raat ho.

Agar raat ho bhi to main apne room par wapas nahi jau. Ye sab aise hi nahi hua iske pichhe bhi ek kahani hain. Aaj main ek aap bhiti yaha likh raha hoon. Waise main peshe se ek welder hoon. Welder ka matlab loha ke fabricated material ko welding maar kar jodne ka kaam. Ek baar Main kaam ke shilshile me roulkela gaya hua tha.

Waha par bahut se factory hain. Main bhi ek factory me kaam kar raha tha. Fabrication ka job tha. Jis me welder ka jarurat padta hain. Welder ka kaam job me welding marne ka rahta hain. Waha par bahut se worker kaam karte the. Sabhi ko rahne ke liye company ke taraf se room diya gaya tha. Factory ka supervisor room khoj kar deta tha. Jis me hame rahna padta tha. Ek room me char ladke rahte the. Main bhi waha par rahta tha. Main waha rah kar kaam karne laga.

Abhi kuchh dino tak hi kaam kiya tha ki mere sath jo ladke rahte the. Wo ghar chale gaye. Main room me akele rahne laga. Aas paas ke log aur mere dost aksar mujh se kaha karte the. Ki is jagah par ek bhoot rahta hain. Kabhi kabhar uska ehsaas bhi hota hain. Ek ladka mujh se bola ki is jagah par maine kisi ka rooh dekha hain.

Jab raat ke samay akela us room me so raha tha. To use ajib si harkat mahsus hui. Aisa laga ki koi kamre me chal raha hain. Kisi ke maujudgi ka ehsaas ho raha hain. Jab main room me akela tha to mujhe bhi apne dost ka baat baar baar yaad aane laga. Main subah duty jata aur raat ke samay duty se wapas aata.

Wapas aa kar khana banana rahta tha. Pahle din hi mujhe darr ka ehsaas ho gaya. Jab sabhi apne ghar chale gaye aur main room me akela tha. Main duty se wapas aa kar jyaldi jyaldi khana bana raha tha. Tabhi mujhe aisa laga ki kisi ne darwaja khat khataya hain. Main aata saan raha tha.

Main uth kar darwaje ke paas gaya aur darwaja khola. Par us jagah par koi bhi najar nahi aaya. Mujhe darr ka ehsaas yahi se shuru ho gaya. Main darr bhi raha tha aur khana bana bhi raha tha. Kabhi kabhi aisa lagta ki aangan me koi chal raha hain.

Par jab main dekhta to waha koi bhi najar nahi aaya. Khana banaya aur kha kar apne ghar ka darwaja band kar diya. Yaha tak ki darr ke mare khirki tak band kar diya. Par jab main sone ja raha tha. Tabhi aisa laga ki koi hain. Jo darwaja ke paas khada hain.

Aur halke haath se. Darwaja khat khata raha hain. Mera to darr se halat kharab ho gaya. Darr bhi bahut lag raha tha. Kisi tarah khud ko sambhal kar rakha tha. Raat me bahut der tak jag kar ghar ke bahar ka halchal sunta raha. Mere ghar ke bahar koi tha.

Main bahut darr chuka tha. Din bhar ka thaka hara agar nahi so paya to kal ka duty nahi ja paunga. Bahut raat ke baad mujhe nind aaya. Subah duty ka samay jab hua tabhi main jaga. Us din main khana bhi nahi banaya aur aise hi duty chala gaya. Factory me nasta kiya aur apne kaam me lag gaya.

Din bhar kaam karta raha. Par jaise hi sham hua mujhe phir se ghabrahat hone laga. Main to chahta tha ki kabhi raat ho hi nahi. Par sham phir se raat me badal gaya. Ab duty ka samay bhi khatm ho gaya. Mujhe phir se wapas apne room par jana tha.

Jaha main akele rah raha tha. Rasta bhar sochta raha ki aaj koi anhoni ghatna nahi ghate. Main apne room pahucha to bahut tang rah gaya. Kyu ki jis room ko main subah tala laga kar aaya tha. Us room ka tala khula hua tha. Main room ka tala dekh kar ghabra gaya.

Mujhe yaad tha ki subah jab main duty gaya tha to apne room ka tala maar kar gaya tha. Par jab wapas aaya to tala khula hua tha. Mauje laga ki kisi ne tala khola hoga. Main turant room ke andar gaya. Apne sabhi saman ko dekha. Par jaisa subah sabhi saman ko chhod kar gaya tha. Wo waisa hi tha.

Koi saman gayab nahi hua tha. Mujhe to khud par yakin kar pana muskil lag raha tha. Main phir se raat ka khana banane laga. Par phir se kisi ki maujudgi ka ehsaas hona shuru ho gaya. Darr to itna lag raha tha ki kuchh puchho mat. Jyaldi jyaldi khana bana kar khane ke chakkar me tha.

Us samay jyada time bhi nahi hua tha. Lagbhag aath baj raha tha. Par us bhootiya room me mujhe darr jarur lag raha tha. Kabhi aisa lagta ki aangan me koi chal raha hain. Par jab bahar nikal kar dekhta to koi najar hi nahi aata. Pura bishwash ho chuka tha.

Ki yaha par kisi ka rooh jarur hain. Koi aisa bhoot jo mujhe darane ka koshish kar raha hain. Darr se mera halat kharab tha. Par us jagah mere jaan pahchan ka koi tha bhi nahi. Jiske ghar main chala jata. Raat bhar wahi sota. Par aisa kuchh tha hi nahi naya jagah tha aur naya kaam bhi tha.

Abhi main kuchh din hi kaam kiya tha. Log kahte hain ki naye jagah par jyada risk nahi lena chahiye. Jaha bhi raho apne ghar ke aas paas ke ladkon ke sath raho. Par us jagah main akela tha. Mere jaan pahchan ke koi bhi nahi the. Raat ka khana khaya aur sone ka tayyar karne laga.

Par mere andar se darr nahi gaya. Baar baar kisi ki maujudgi ka ehsaas hota rahta. Raat bit raha tha aur main darr se bechain tha. Maine abhi tak kisi ko dekha to nahi tha. Par waha par koi na koi jarur tha. Ab nind kaha aane wala tha. Aadhi raat bit gai.

Achanak aadhi raat ke baad dusre kamre se bartan girne ka aawaj aaya. Aisa laga ki kisi ne bartan ko jor se jamin par patak diya ho. Main soya hua tha aur achanak se bartan girne ke aawaj se main pura shihar chuka tha. Mujh me himmat nahi thi ki main uth kar jau aur dekhu.

Bhoot bahut hi pareshan kar raha tha. Raat bhar mujhe darr lagta raha. Kabhi kabhi raat ke samay darwaja khat khatane ka aawaj aata to kabhi kisi ke chalne ka. Pura raat darr aur ghabrahat se gujra.

Jab subah hua to main jaga. Subah duty jane se pahle khana banana padta tha. Jab main us subah khana bana raha tha. Tabhi aisa laga ki koi angan me hain. Jaise hi main angan ke paas pahucha to dekha ki ek aadmi aangan ke paas khada hain. Mujhe laga ki aas paas ka koi hoga.

Par main us se baat karne ke liye jise hi aage badha to. Dekhta hoon ki wo aadmi achanak se gayab ho gaya. Ek palak jhapkane ke sath hi wo aadmi gayab ho gaya. Mera to pasina tapakne laga. Kuchh sujh hi nahi raha tha.

Darr se main bahut pareshan tha. Mujhe waha rahna achchha nahi laga. Apna bag pack kiya aur hamesha hamesha ke liye waha se chala gaya.