Fakir Baba Ka Dua , Fakir Baba Ki Kahani.
Log jadu tona
totka par bishwash karte hain. Ho sakta hain jadu tona hoga. Aisa bhi hoga ki
ye sab sirf bekar ka baat ho sakta hain. Par mujhe nahi pata ki jadu tona totka
kaisa hota hain. Par main ye manta hoon ki ek tabij ke karan meri bahut si
pareshani khatm ho gaya. Pahle main bahut hi chintit rahta tha. Sochta tha ki
ab aage kya hoga.
Agar isi tarah
chalta raha to aage ki zindagi bekar ho jayegi. Main kar bhi kya sakta tha.
Mere bas me kuchh nahi tha. Ek chhote se company me kaam karta hoon. Jo paisa
milta hoon use ghar bhej deta hoon. Sochta hoon ki apni zindagi to jaise taise
kat hi jayegi. Par mere ghar pariwar me rahne walo ki zindagi achchhi tarah se
kate. Main to apna zindagi aabhao me ji sakta hoon. Par mere ghar pariwar ka
zindagi aabhao me na kate. Pahle main sochta tha ki ye bhi koi zindagi hain.
Aisi zindagi jine
se kya fayada. Har waqt chinta me rahta tha. Par meri zindagi me ek badlao
aaya. Ab bhi main utna hi kamata hoon. Jitna main pahle kamaya karta tha. Par
ab mujhe lagta hain ki jo bhi hoga dekha jayega. Na to mere paas jyada jama
punji hain. Aur na to mere paas jyada rupiya paisa hain. Par phir bhi main
khush hoon. Ye kisi chamatkar se kam nahi hain.
Mera zindagi
badalne wala ek fakir baba the. Waise main pahle in sabhi chijo par bishwash
nahi karta tha. Par ab karta hoon. Mera naam rakha ali hain. Main ek chhote se
factory me kaam karta hoon. Jaha par main majduri karta hoon. Jyada paisa nahi
kamata hoon. Par main jis jagah kaam karta hoon.
Waha par main ek
akela muslim hoon. Logo ka mujh se bahut achchha lagao bhi hain. Ham sabhi
aapas me mil jul kar rahte hain. Log mujhe khan ji kahte hain. Main har friday
ko namaz padne jata hoon. Is me kisi ko koi aapatti nahi hain. Yaha tak ki
jumma ke din me factory ka malik tak bolte hain ki. Aaj to jumma hai aap jumma
padhne jaiyega.
Main kahta hoon
haan. Agar kisi din thoda der bhi ho gaya to. Koi karigar ya majdur yaad dila
deta hain ki khan ji jumma ka samay ho gaya. Aap ko namaz padhne nahi jana hain
kya. Na bhi chahu to bhi jana padta hain. Koi na koi tok dega. Yaha tak ki
factory ka malik tak kah dete hain. Ki khan ji jumma ke baad is kaam ko kar
digiyega.
Chahe kaam kitna
bhi jaruri kyu na rahe. Koi to ye bhi kahte hain ki khan ji mere liye bhi dua
kigiyega. Main muskura kar factory ke bahar nikal jata. Ek friday ke din main
jumma padhne ke liye apne factory se bahar nikla. Jumma ke din mujhe kuchh dur
jana hota hain.
Main waha gaya aur
namaz padh kar wapas apne kiraye ke ghar me aa gaya. Mujhe duty jane ki
jyaldibaji thi. Main turant din ka khana kha kar wapas duty jana chah raha tha.
Turant ek plate me khana nikala aur jaise hi khana khana shuru karne hi wala
tha ki. Ghar ke bahar se aawaj aai. Koi fakir kuchh mangne ke liye mere ghar ke
bahar aaya tha.
Bahar se aawaj aai
ki allah ke naam par kuchh de do. Main abhi khana shuru karne hi wala tha ki
aawaj aa gai. Phir socha ki chalo bahar nikal kar dekhta hoon. Koun aaya hain
aur kya mang raha hain. Main apne sath kuchh paise le kar ghar se bahar nikla
aur fakir ke paas pahuch gaya.
Main apne ghar se
bahar nikla to dekha ki ek safed kurta pahne hue. Ek fakir baba mere ghar ke
aangan me khade hain. Main apne sath jo paisa le kar aaya tha. Use fakir baba
ko diya aur bola ki ye lo baba. Fakir baba us paisa ko liye aur bole ki beta
main bahut bhukha hoon.
Tumhare paas agar
kuchh khane ke liye hain to mujhe do. Mujhe bahut hi joro ki bhookh lagi hui
hain. Main soch me pad gaya ki main to sirf apne bhar ka khana banya hoon. Ghar
me akela rahta hoon. Agar apna khana is fakir ko dedunga to main kya khaunga.
Fakir baba se main bola rukiye andar se aata hoon.
Main ghar ke andar
gaya aur kuchh der socha. Phir socha ki ho sakta hai ye fakir bahut bhukha
hoga. Main apna khana fakir ko de diya. Unhe khana dete hue bola ki ye lo baba
mere paas bas itna hi khana bacha hua hain. Fakir baba khana ko liye aur bahut
hi chao se khane lage. Main unhe pani bhi la kar diya.
Fakir baba khana
khaye aur hath dho kar bole ki beta sukriya ab main ja raha hoon. Main bhi thali
le kar ghar ke andar chal diya. Abhi fakir baba kuchh dur badhe hi the. Aur
main tali le kar ghar ke andar ja hi raha tha. Ki fakir baba pichhe se mujhe
aawaj diye aur bole beta thoda rukna. Main fakir baba ka aawaj sun kar ruk
gaya.
Fakir baba wapas
mere paas aaye aur bole ki beta. Tumne mujhe paisa diya aur khana khilaya. Par
tum ne fakir baba ka dua nahi liya. Main bola ki fakir baba ka dua main kuchh
samjha nahi. Fakir baba apne thaile me hath dale aur ek kagaj ka tukra nikal
kar mujhe diye. Us kagaj ke tukre me kuchh likha hua tha. Wo ek tabij tha.
Fakir baba us kagaj ka tukra mujhe dete hue bole.
Ye lo fakir baba
ka dua. Ise apne purse me rakhe rahna. Khuda ne chaha to is se hamesha tumhara
bhala hoga. Main us kagaj ke tukre ko le liya. Uske baad fakir baba waha se
chale gaye. Khana bhi khatm ho chuka tha. Par main nahi khaya tha. Main socha
ki chalo pahle factory chala jaye. Shaam ke samay nasta kar lunga.
Main us kagaj ke
parchi ko apne purse me rakh liya aur apne duty me chala gaya. Par dhire dhire
mujhe us kagaj ke parchi ka chamatkar najar aane laga. Kabhi mere purse me ek
bhi rupiya nahi rahta tha. Par ab hamesha mere batuwe me paisa rahne laga. Jab
bhi paisa kam ho jata. Ya mere paas paisa nahi rahta to. Kahi na kahi se paisa
ka jogar ho hi jata.
Ab bhi zingadi
waisi hi hai par ab mujhe kisi bhi chij ka chinta nahi hain. Nahi pata kyu
kabhi bhi chinta hi nahi hota hain. Main jaan gaya hoon ki ye fakir baba ke dua
ka asar hain. Main hamesha us tabij ko sambhal kar rakhta hoon.