Gehuman Saanp , Saanp Ki Kahani.
Achchha kaam mila
par jyada din tak main kaam nahi kar paya. Kismat kismat ki baat hain. Mere
kismat me bhatak bhatak kar kaam karna likha hain. So main kabhi ek rajya se
dusre rajya tak kaam karne jata hoon. Peshe se majdur hoon. Majduri karna mera
kaam hain. Ek baar main mehnat majduri karne ke liye punjab gaya tha. Punjab ke
ek factory me main kaam karne laga. Jab bhi main ghar se nikalta hoon. To mere
sath bahut se ladke rahte hain. Mere gaon me bahut se ladke majduri karne ke
liye nikalte hain. Jahan bhi jate hain ek sath jate hain. Hamari ek team hain.
Mera naam lambu
hain. Log mujhe lambu naam is hi bulate hain. Main ek majdur hoon aur kaam ke
talash me kabhi ek shahar to kabhi dusre shahar jata hoon. Jaha kaam mil jaye.
Theka majdur hoon aur mehnat manduri karna hi mera kaam hain. Par kahi bhi
permanent kaam nahi milta hain. Ek baar achchha kaam mila tha. Par kismat hi
kharab tha.
Jis ke karan ham
team me hi rahna pasand karte hain. Ek gaon ke kuchh ladke sath rahe to housla
badha rahta hain. Kahi kaam karne me mann bhi lagta hain. Kaam to kaam hota
hain. Par jab main punjab gaya tha to waha mujhe achchha kaam mil gaya tha. Jis
thekedar ke andar ham sabhi kaam kar rahe the. Wo thekedar bhi achchha tha.
Sahi samay par pagar de deta. Kisi se kuchh bolne ki jarurat nahi thi. Nahi to
bahut se thekedar aise hote hain. Jo kaam karwa lenege aur paise nahi denge.
Par wo thekedar achchha. Hamara kaam sahi chal raha tha. Ham sabhi us factory
ke paas hi rahte the. Us factory ke paas hi ek basti thi.
Jaha par ham
kiraye ke makan me rahte the. Subah subah duty par nikal jate aur raat ke samay
apne kiraye ke makan me aa jate. Din ka khana banane ka jhamela nahi tha. Kyu
ki din me canteen me khana mil jata wo bhi free ka. Achchha khasa paisa bach
jata. Raat ka khana banana padata. Hamra waqt sahi se gujar raha tha. Ek chhote
se kiraye ke makan me rahte. Subah subah hi duty chale jate. Aur raat me aate.
Ek din ham sabhi duty ka tayyari kar ke duty aa rahe the. Tabhi mere padosh ki
ek aunty mujhe toki.
Wo boli ki beta
jis ghar me tum rahte ho. Us ghar me gehuman saanp rahta hain. Jab tum sabhi
duty chale jate ho to wo saanp tumhare ghar se nikalta hain. Nikal kar kahi
chala jata hain aur kuchh der ke baad phir se wapas aa jata hain. Shayad kahi
charne jata hain aur char kar wapas aa jata hain. Maine socha ki ye kaise ho
sakta hain. Par mujhe duty jane ki jyaldibaji thi. Is liye main is baat par
jyada gaur nahi kiya aur duty chala gaya. Maine ye baat apne doston ko bhi
bataya. Par mere dost bole ki ho sakta hain aunty majak kar rahi hogi.
Ham sabhi jaha par
rahte the. Us jagah par aur bhi bahut se majdur raha karte the. Jo apna family
le kar rahte the. Jab sabhi duty aa jate to aurate ghar ka kaam khatm kar ke
aapas me baate karti. Aapas me baat kar ke apna samay bitati. Ham sabhi duty
chale gaye. Jab raat ke samay ham duty se aaye. To maine apne kamre ko achchhi
tarah se dekha. Kahi koi bil hoga jiske andar gehuman saanp rahta hoga. Par ek
single kamra.
Charo taraf se
char diwar aur kahi par koi bil nahi mila. Aisa tha hi nahi ki kahi par gehuman
saanp rah sake. Kamre ke andar jyada jagah bhi nahi tha. Ek taraf sone ka jagah
aur ek taraf khana banane ka jagah. Niche pakke par hi chatai bichha hua tha.
Jaha bistar lagaya aur so gaya. Maine socha ki aunty jarur mujh se majak kar
rahi thi. Ya dara rahi hogi. Raat ka khana banaya aur kha kar so gaya.
Jab subah hua to
phir se duty jane laga. Jab duty ke liye apne ghar se nikle hi the. Ki aunty
hame roki aur boli ki tumhare ghar ke andar ek gehuman saanp hain. Ham sabhi
auraton ne use dekha hain. Main bola ki kal raat use bahut khoja par kahi najar
nahi aaya. Agar hota to kabhi na kabhi hame dikhta par aaj tak dikha hi nahi.
Duty ka late ho raha tha. Ham sabhi phir duty chale gaye.
Bahut din bhi
nikal gaya par kabhi hame saanp nahi mila. Din bahut hi aaram se kat rahe the.
Rupiya paisa ka koi dikkat nahi tha. Achchha khasa paisa kama raha tha. Ek raat
ham sabhi room ke andar soye hue the. Garmi ka mausam tha. Raat ke samay bijli
chale gai. Room ke andar bahut garmi lag raha tha. Andar sona muskil tha. Maine
apne dost se bola ki yaar yaha to bahut garmi lag raha hain. Chalo chhat par ja
kar sote hain.
Sabhi raji ho
gaye. Maine apne mobile ka torch jala aur bistar sametne lage. Jab bistar ko samet
rahe the. To mera dost dekha ki us kamre ke diwar se chipak kar ek gehuman
saanp hain. Jo diwar se chipka hua hain. Wo thik bistar ke chhor par tha. Jaha
ham sabhi sote the. Jab ham sabhi ki najar us par padi to darr gaye.
Jis saanp ka sirf
naam koi sun le to darr jata hain. Agar gehuman saanp kisi ko kaat le to uska
marna tay hain. Gehuman saanp mere kamre ke andar tha. Par ab tak kisi ko kata
nahi tha. Ham sabhi use dekh rahe the. Saanp bhi mota aur lamba tha. Mano koi
purana gehuman saanp ho. Ab aadhi raat ko kya kiya jaye. Mera ek dost kamre se
bahar gaya aur ek mota sa danda le aaya. Usne us mote se dande se uske sar par
ek jaordar hamla kar diya.
Ek hi danda me wo
gehuman saanp marr gaya. Raat ke samay gehuman saanp ko maar kar phek diye. Ab
raat Bhar isi baat ki charcha hoti rahi ki agar gehuman saanp kisi ko kaat leta
to uski maut nischit thi. Par aisa nahi hua gehuman saanp bahut dino se hamare
ghar ke andar tha. Par kisi ko kaata nahi. Raat bhar charcha me kata. Jab subah
hua to ham sabhi tayyar ho kar duty chale gaye. Jab apne factory ke gate ke
paas pahuche to gate keeper ne hame factory ke andar jane se rok diya. Kuchh
samajh nahi aa raha tha.
Bahut se worker
gate ke bahar hi ruk gaye. Kisi ko andar jane nahi diya gaya. Jab ham sabhi
gate keeper se puchhe ki kya baat hain. To usne kaha ki factory ghate me chal
rahi thi. Jis karan factory ke malik ne factory band karne ka faisa liya hain.
Ham sabhi ne kaha ki kal tak to factory fayade me chal rahi thi. Achanak nuksan
kaise ho gaya. Guard ne bola ki factory ke malik aayenge to unhi se puchh lena.
Subah ka gaye hue.
Dopahar ho gaya. Kahi kuchh pata nahi tha. Malik ab aa rahe hain bas yahi sun
raha tha. Par malik aaye kaha. Hamane andar bahut gahra chinta sama gaya. Bahut
se worker gate ke bahar khade ho gaye. Bina khaye piye ham sabhi gate ke bahar
malik ka intejar kar rahe the. Sham ke samay factory ka malik aaya. Usne ham se
kaha ki ab ye factory band ho chuki hain. Aap sabhi apne apne ghar chale jaiye.
Aap sabhi ka
payment aap ke bank ke account me daal diya jayega. Itna kah kar factory ka
malik bhi waha se chala gaya. Bahut dino tak apne payment ka intejar kiye. Par
hamare account me payment nahi aaya. Hamare paas paisa bhi khatm hone ke kagar
par aa gaya. Uske baad ham sabhi apne apne gaon wapas aa gaye. Bahut din tak
payment ka intejar kiye. Par aaj tak payment nahi aaya. Ham sbhi jab us factory
me kaam kar rahe the.
To bahut khush
the. Kabhi bhi paiso ka kami nahi hua. Achchha khasa paisa kama rahe the. Aaj
tak kabhi bhi aisa kaam nahi mila. Aab bhi hamara samay kabhi is factory to
kabhi us factory me gujrata hain. Garibi garibi hi rah gai. Hame ab bhi afsoos
hain. Ki hame us gehuman saanp ko nahi marna chahiye tha. Wo kabhi bhi hamara
kuchh nahi bigara tha. Agar wo chah leta to kab ka hame dash leta. Par kabhi
dash nahi. Gehuman saanp us ghar me bahut dino se tha. Ham to baad me ja kar
waha rahne lage. Ham to uske ghar me the.