Gehuman Saanp , Saanp Ki Kahani

 Gehuman Saanp , Saanp Ki Kahani.

Achchha kaam mila par jyada din tak main kaam nahi kar paya. Kismat kismat ki baat hain. Mere kismat me bhatak bhatak kar kaam karna likha hain. So main kabhi ek rajya se dusre rajya tak kaam karne jata hoon. Peshe se majdur hoon. Majduri karna mera kaam hain. Ek baar main mehnat majduri karne ke liye punjab gaya tha. Punjab ke ek factory me main kaam karne laga. Jab bhi main ghar se nikalta hoon. To mere sath bahut se ladke rahte hain. Mere gaon me bahut se ladke majduri karne ke liye nikalte hain. Jahan bhi jate hain ek sath jate hain. Hamari ek team hain.

Mera naam lambu hain. Log mujhe lambu naam is hi bulate hain. Main ek majdur hoon aur kaam ke talash me kabhi ek shahar to kabhi dusre shahar jata hoon. Jaha kaam mil jaye. Theka majdur hoon aur mehnat manduri karna hi mera kaam hain. Par kahi bhi permanent kaam nahi milta hain. Ek baar achchha kaam mila tha. Par kismat hi kharab tha.

Jis ke karan ham team me hi rahna pasand karte hain. Ek gaon ke kuchh ladke sath rahe to housla badha rahta hain. Kahi kaam karne me mann bhi lagta hain. Kaam to kaam hota hain. Par jab main punjab gaya tha to waha mujhe achchha kaam mil gaya tha. Jis thekedar ke andar ham sabhi kaam kar rahe the. Wo thekedar bhi achchha tha. Sahi samay par pagar de deta. Kisi se kuchh bolne ki jarurat nahi thi. Nahi to bahut se thekedar aise hote hain. Jo kaam karwa lenege aur paise nahi denge. Par wo thekedar achchha. Hamara kaam sahi chal raha tha. Ham sabhi us factory ke paas hi rahte the. Us factory ke paas hi ek basti thi.

Jaha par ham kiraye ke makan me rahte the. Subah subah duty par nikal jate aur raat ke samay apne kiraye ke makan me aa jate. Din ka khana banane ka jhamela nahi tha. Kyu ki din me canteen me khana mil jata wo bhi free ka. Achchha khasa paisa bach jata. Raat ka khana banana padata. Hamra waqt sahi se gujar raha tha. Ek chhote se kiraye ke makan me rahte. Subah subah hi duty chale jate. Aur raat me aate. Ek din ham sabhi duty ka tayyari kar ke duty aa rahe the. Tabhi mere padosh ki ek aunty mujhe toki.

Wo boli ki beta jis ghar me tum rahte ho. Us ghar me gehuman saanp rahta hain. Jab tum sabhi duty chale jate ho to wo saanp tumhare ghar se nikalta hain. Nikal kar kahi chala jata hain aur kuchh der ke baad phir se wapas aa jata hain. Shayad kahi charne jata hain aur char kar wapas aa jata hain. Maine socha ki ye kaise ho sakta hain. Par mujhe duty jane ki jyaldibaji thi. Is liye main is baat par jyada gaur nahi kiya aur duty chala gaya. Maine ye baat apne doston ko bhi bataya. Par mere dost bole ki ho sakta hain aunty majak kar rahi hogi.

Ham sabhi jaha par rahte the. Us jagah par aur bhi bahut se majdur raha karte the. Jo apna family le kar rahte the. Jab sabhi duty aa jate to aurate ghar ka kaam khatm kar ke aapas me baate karti. Aapas me baat kar ke apna samay bitati. Ham sabhi duty chale gaye. Jab raat ke samay ham duty se aaye. To maine apne kamre ko achchhi tarah se dekha. Kahi koi bil hoga jiske andar gehuman saanp rahta hoga. Par ek single kamra.

Charo taraf se char diwar aur kahi par koi bil nahi mila. Aisa tha hi nahi ki kahi par gehuman saanp rah sake. Kamre ke andar jyada jagah bhi nahi tha. Ek taraf sone ka jagah aur ek taraf khana banane ka jagah. Niche pakke par hi chatai bichha hua tha. Jaha bistar lagaya aur so gaya. Maine socha ki aunty jarur mujh se majak kar rahi thi. Ya dara rahi hogi. Raat ka khana banaya aur kha kar so gaya.

Jab subah hua to phir se duty jane laga. Jab duty ke liye apne ghar se nikle hi the. Ki aunty hame roki aur boli ki tumhare ghar ke andar ek gehuman saanp hain. Ham sabhi auraton ne use dekha hain. Main bola ki kal raat use bahut khoja par kahi najar nahi aaya. Agar hota to kabhi na kabhi hame dikhta par aaj tak dikha hi nahi. Duty ka late ho raha tha. Ham sabhi phir duty chale gaye.

Bahut din bhi nikal gaya par kabhi hame saanp nahi mila. Din bahut hi aaram se kat rahe the. Rupiya paisa ka koi dikkat nahi tha. Achchha khasa paisa kama raha tha. Ek raat ham sabhi room ke andar soye hue the. Garmi ka mausam tha. Raat ke samay bijli chale gai. Room ke andar bahut garmi lag raha tha. Andar sona muskil tha. Maine apne dost se bola ki yaar yaha to bahut garmi lag raha hain. Chalo chhat par ja kar sote hain.

Sabhi raji ho gaye. Maine apne mobile ka torch jala aur bistar sametne lage. Jab bistar ko samet rahe the. To mera dost dekha ki us kamre ke diwar se chipak kar ek gehuman saanp hain. Jo diwar se chipka hua hain. Wo thik bistar ke chhor par tha. Jaha ham sabhi sote the. Jab ham sabhi ki najar us par padi to darr gaye.

Jis saanp ka sirf naam koi sun le to darr jata hain. Agar gehuman saanp kisi ko kaat le to uska marna tay hain. Gehuman saanp mere kamre ke andar tha. Par ab tak kisi ko kata nahi tha. Ham sabhi use dekh rahe the. Saanp bhi mota aur lamba tha. Mano koi purana gehuman saanp ho. Ab aadhi raat ko kya kiya jaye. Mera ek dost kamre se bahar gaya aur ek mota sa danda le aaya. Usne us mote se dande se uske sar par ek jaordar hamla kar diya.

Ek hi danda me wo gehuman saanp marr gaya. Raat ke samay gehuman saanp ko maar kar phek diye. Ab raat Bhar isi baat ki charcha hoti rahi ki agar gehuman saanp kisi ko kaat leta to uski maut nischit thi. Par aisa nahi hua gehuman saanp bahut dino se hamare ghar ke andar tha. Par kisi ko kaata nahi. Raat bhar charcha me kata. Jab subah hua to ham sabhi tayyar ho kar duty chale gaye. Jab apne factory ke gate ke paas pahuche to gate keeper ne hame factory ke andar jane se rok diya. Kuchh samajh nahi aa raha tha.

Bahut se worker gate ke bahar hi ruk gaye. Kisi ko andar jane nahi diya gaya. Jab ham sabhi gate keeper se puchhe ki kya baat hain. To usne kaha ki factory ghate me chal rahi thi. Jis karan factory ke malik ne factory band karne ka faisa liya hain. Ham sabhi ne kaha ki kal tak to factory fayade me chal rahi thi. Achanak nuksan kaise ho gaya. Guard ne bola ki factory ke malik aayenge to unhi se puchh lena.

Subah ka gaye hue. Dopahar ho gaya. Kahi kuchh pata nahi tha. Malik ab aa rahe hain bas yahi sun raha tha. Par malik aaye kaha. Hamane andar bahut gahra chinta sama gaya. Bahut se worker gate ke bahar khade ho gaye. Bina khaye piye ham sabhi gate ke bahar malik ka intejar kar rahe the. Sham ke samay factory ka malik aaya. Usne ham se kaha ki ab ye factory band ho chuki hain. Aap sabhi apne apne ghar chale jaiye.

Aap sabhi ka payment aap ke bank ke account me daal diya jayega. Itna kah kar factory ka malik bhi waha se chala gaya. Bahut dino tak apne payment ka intejar kiye. Par hamare account me payment nahi aaya. Hamare paas paisa bhi khatm hone ke kagar par aa gaya. Uske baad ham sabhi apne apne gaon wapas aa gaye. Bahut din tak payment ka intejar kiye. Par aaj tak payment nahi aaya. Ham sbhi jab us factory me kaam kar rahe the.

To bahut khush the. Kabhi bhi paiso ka kami nahi hua. Achchha khasa paisa kama rahe the. Aaj tak kabhi bhi aisa kaam nahi mila. Aab bhi hamara samay kabhi is factory to kabhi us factory me gujrata hain. Garibi garibi hi rah gai. Hame ab bhi afsoos hain. Ki hame us gehuman saanp ko nahi marna chahiye tha. Wo kabhi bhi hamara kuchh nahi bigara tha. Agar wo chah leta to kab ka hame dash leta. Par kabhi dash nahi. Gehuman saanp us ghar me bahut dino se tha. Ham to baad me ja kar waha rahne lage. Ham to uske ghar me the.

Agar ham us Ghar ko chhod kar kahi dusre jagah rahte to. Aaj hamare naukri sahi salamat rahta. Jab se us saanp ko mara hoon. Tab se garibi me jiwan bit raha hain.