Jadu Tona Ka Rahasya ,Jadu Tona

Jadu Tona Ka Rahasya ,Jadu Tona.

Jadoo Tona


Baat aaj se bahut pahle ki hain. Par us jadu tona ka asar aaj bhi hain. Mujhe yaad hain jab main bachchha tha. To us waqt khud mere apne chhote chacha ne ham sabhi ke upar jadu tona karwaya tha. Wo nahi cahate hain ki ham sabhi khush rahe.

Padhe :-Khoon Ki Pyasi Chudail , Ek Chudail Ki Kahani.

Hame barbad karne ke liye jadu tona ka sahayata liye the. Jis se hamari zindagi barbad ho gai. Jadu tona achchha bhi hota hain aur kharab bhi. Bas iske upyog ka ek maksad hona chahiye. Achchhe maksad se bahut hi kam log jadu tona ka upyog karte hain. Par adhiktar log galat kaam ke liye iska upyog karte hain.

Padhe :-Andhere Me Chudail Ki Aahat , Chudel Ki Kahani.

Mere chhote chacha ne hamare ghar pariwar ke upar jadu tona karwaya tha. Wo nahi chahte the ki ham tarakki kare. Ye sab meri chhoti maa ke kahne par kiya gaya tha. We sabhi kal bhi ham se jalte the aur aaj bhi jalte hain. Jab we jadu tona ka sahayta le kar hame barbad karne ke liye socha us waqt ham bhai bahan bahut chhote the. Hamara ek dukan hai. Sara jhagra isi dukan ka hain.

Padhe :-Ajib Si Ghabrahat , Bhoot Pret Ki Kahani.

Mere pita ne dukan kiya tha. Wo bhi khud ke paison se. Par jab batwara hua to mere chhote chacha ne kaha ki is dukan me unhe bhi haq chahiye. Pura ka pura dukan unhe chahiye tha. Par mere pita ji ne dukan dene se inkar kar diya. Us din se we sabhi ham se nafrat karne lage.

Padhe :-Raste Me Betal , Ek Betal Ki Kahani.

Hame barbad karne ke liye. Tarah tarah ke upay karne lage. Hamara ghar bahut khush tha. Ham sabhi bahut hi khushi khushi apna zindagi bita rahe the. Par hamari khushi me unki garhan lag gaya. We hame barbar karne ka mauka khoj kar hame barbad karne ki har koshish kiye.

Padhe :-Bhootiya School , Bhoot Pret Chudail Ki Kahani.

Ek baar ki baat hain. Mere chhote chacha ko pata chala ki ek maulbi hain. Jo jadu tona karta hain. Wo us mulla ke paas gaye. Unhe paisa diye aur bole ki wo apne bade bhai ko puri tarah se barbad kar dena chah rahe hain. Mulla ko bhi bahut paisa diya gaya. Mulla ne raat bhar tantr mantr ka sahara liya. Nahi pata kaise kya kya mantr ka upyog kiya.

Padhe :-Jinn Baba Ka Sthan , Jinn Jinnat Ki Kahani.

Subah subah usne ek nibu mere chhote chacha ko diya aur kaha ki. Ise apne bade bhai ke dukan ke aage gad do. Is nibu ke gadte hi uski barbadi shuru ho jayegi. Aisa hi hua. Mere chhote chacha nibu ko le kar ghar aa gaye. Unhone meri chhoti chachi se kaha ki main apne bade bhai ke barbad hone ka saman le aaya. Meri chachi bahut khush hui.

Padhe :-Chamatkari Baba , Ek Baba Ki Kahani.

Usne kaha ki ise aadhi raat ke samay le ja kar bade bhai ke dukan ke aage gaad dena. Jab aadha raat hua aur sabhi so gaye. To mere chhote chacha ne ek sabal le kar mere dukan ke aage gadha kiya. Uske baad us tantr mantr kiya hua nibu ko mere dukan ke aage gaad diya. Kisi ko pata bhi nahi chala. Par us nibu me jadu tona kiya gaya tha. Agli subah se hi jadu tona wala nibu apna asar dikhana shuru kar diya. Mera bada bhai ka tabiyat bahut hi jyada kharab ho gaya.

Padhe :-Jinn Jinnat Ki Kahani, Jinn Jinnat Ki Duniya.

Use aspatal me bharti karana pada. Idhar ghar me bhi sab kuchh achchha nahi chal raha tha. Bahut ilaz karane ke baad mere bade bhai ka jaan bacha. Par us me bahut paisa kharch ho gaya. Itna paisa kharch ho gaya ki dukan ka punji hi toot gaya. Dukan me naya saman aana band ho gaya. Dukan to roj khulta tha par grahak nahi aate the. Ghar me bhi sabhi ko kuchh na kuchh bimari ho gaya. Hamesha ilaz me paisa kharch hota raha.

Padhe :-Tantra Vidya Ka Asar , Jadu Tona Ki Kahani.

Ab dukan ka halat bhi achchha nahi tha. Jo dukan kabhi bahut achchha chalta tha. Us dukan me grahak ke liye subah se sham tak mere pita ji intejar karte rahte. Bahut din to aisa bita ki ek bhi grahak nahi aata. Subah se sham tak koi kamai nahi ho pati. Ghar ka kharcha jo ki alag tha. Agar kamai nahi hua to ghar chalana bhi bahut muskil tha.

Padhe :-Chudail Ya Kuchh Aur ? chudail Ki Kahani.

Ham bahut badi badha me pad chuke the. Hamara dhyan is taraf tha hi nahi. Ki kisi ne hamare ghar pariwar ke upar jadu tona karwaya hain. Ye sab kaise ho raha hain. Ham sabhi anjan the. Par ham barbad ho rahe the. Ek samay ka khana ghar me banta aur baki ham bhuke hi rah jate.

Padhe :-Ghadi Ka Sui, Bhoot Ki Kahani.

Bahut kast me zindagi kat raha tha. Par mere chhote chacha aur chachi bahut khush the. Unhe jo chahiye tha wahi ho raha tha. Ham puri tarah barbad ho rahe the. Anaaj ke daana daana ke liye mohtaj ho gaye. Mere pita ko bahut chinta bhi ho gaya. Kisi ke samne to nahi par akele me ghar ka dasa yaad kar ke bahut rote.

Padhe :-Kaam Wali Reja Ka Bhoot, Chudail Ki Kahani.

Hame dhang se khana nahi milta. Kisi parb tayohar me ham khush nahi hote. Kuchh achchha khana hota to karja lete. Par ye sabhi hame barbad hi kar raha tha. Dukan ka punji puri tarah se toot chuka tha. Par kahte hain. Ek sher ke upar bhi sawa sher hota hain.

Padhe :- Do Saheli, Darawni Kahani.

Jiska koi nahi hota uska khuda hota hain. Upar wale ne hamara sath diya. Ek din mere pita ji dukan me baithe hue the. Dopahar ka samay tha. Akele baith kar grahak ke aane ka intejar kar rahe the. Tabhi ek fakir dukan ke andar aaya. Usne mere pita ji se kaha ki upar wale ke naam se kuchh de do. Khuda tumhara bhala karga.

Padhe :- Aamavas Ki Raat, Dayan Ki Kahani.

Mere pita ji ne apna daraaj khola. Jis me paisa rakha jata hain. Jab use khole to daraaj ke andar sirf aath aana tha. Us athanni ko le kar fakir baba ko de diye. Fakir baba daraaj ko kholte hue dekh liye the. Unhone ye bhi dekha ki uske andar sirf aath aana hi hain. Fakir baba mere pita ji se bole ki kya seth. Itna bada dukan hain aur tum sirf aath aana hi rakhe ho.

Padhe :-Bharat Ka Bhutiya Railway Station.

To mere pita ji bole ki abhi tak bohni nahi hua hain. Subah se dopahar ho gaya. Par koi garhak nahi aaya. To fakir baba bole ki tumhara bohni nahi hoga. Jo tumhe barbad karna chah raha hain. Wo apne maksad me kamyab hain. Mere pita ji us fakir se bole ki baba aap kahna kya chah rahe hain.

Padhe :-Bhatakta Fakir, Ek Fakir Ki Kahani.

Fakir baba bole ki pichhle char saal se tumhari halat kharab hain. Par pahle aisa nahi tha. Tumhare dukan me bahut grahak aate the. Par ab tum puri tarah se barbad ho chuke ho aur aage bhi aisa hi chalta rahega. Mere pita ji bole ki main kuchh samjha nahi.

Padhe :-Jinnat Ki Duniya,

Tab fakir baba bole ki koi tumhara hi apna khoon hain. Jo tumhe barbad karna chah raha hain. Jab mai tumhare dukan se kuchh duri par hi tha. Tabhi mujhe pata chal gaya ki tumhare dukan par kisi ne jadu tona kiya hain. Jadu tona karwane wala aadmi koi aur nahi balki tumhara saga hain. Fakir baba ne bilkul sahi sahi wo sari chije bataya jo hamare sath bita tha.

Padhe :-Khoon Ki Pyasi Dakini.

Tab ja kar mere pita ji ko thoda yakin aaya ki fakir baba jo bol rahe hain sach hain. Fakir baba us aadmi ka naam nahi bataye par uske bare me pura sanket de diye. Fakir baba bole ki tumhe yakin nahi hain to ek sabal le kar aao. Mere pita ji ek sabal le kar aa gaye. Wo fakir mere dukan ke aage tantr mantr padhne laga. Aas paas ke dukan wale aur kuchh log bhi waha jama ho gaye.

Padhe :-Laash Ne Daudaya, Bhoot Ki Kahani.

Fakir baba mere pita ji se bole ki thoda chawal le kar aao. Ek aadmi thoda chawal bhi le kar aa gaya. Jitne log waha khade the un sabhi me jigyasha tha ki aakhir kaar fakir baba kar kya rahe hain. Fakir baba chawal ke upar mantr padh kar mere dukan ke charo tarah chhit diye.

Padhe :-Machhli Bhat, Chudail Ki Kahani.

Jamin par bahut sara chawal pasar gaya. Par thodi hi der ek jagah ka chawal laal ho gaya. Sabhi log ye dekh rahe the. Mere pita ji bhi hairan the ki aakhir kar chawal laal kyu ho gaya. Fakir baba bole ki is jagah par sabal se gadha karo. Mere pita ji us jagah sabal se gadha karne lage. Thoda hi gadha hua ki andar se ek plastic ka bag nikla. Jo ki puri tarah se sadd chuka tha.

Padhe :-Jinn Jinnat Ki Kahani.

Fakir baba bole ki is plastic ke andar jo chij hain use bahar nikalo. Mere pita ji jab us chij ko bahar nikale to puri tarah se sukha hua nibu tha. Jo ki kaala ho chuka tha. Fakir baba use usi plastic ke andar rakh diye aur bole ki yahi tumhari barbadi ka karan hain.

Padhe :-Kya Aatma Hoti Hain.

Is nibu me kaala jadu ka upyog kiya gaya hain. Waha par jitne bhi log the sabhi hairan the. Fakir baba bole ki jisne bhi ise yaha gada hain. Main use yaha bula sakta hoon. Aas paas ke dukan daar bolne lage ki haan use yaha bulao. Bhir laga hua tha. Sabhi us aadmi ko dekhna chah rahe the jo us nibu ko waha par gada tha.

Padhe :-Rani Pokhar, Horror Story.

Fakir baba bole ki sirf do ghanta ke andar me wo aadmi yaha aa jayega. Sabhi chah bhi rahe the ki use yaha bulaya jaye. Mere pita ji bhi bole ki haan use yaha bulaiye. Fakir baba kuchh mantr padh kar apne mutthi me phooke phir use hawah me upar ki taraf chhod diye. Thik do ghanta hone se pahle hi mere chhote chacha waha aa gaye. Wo aa kar sidha mere pita ji ke pair par gir gaye aur bolne lage ki bhaiya mujh se bahut badi galti ho gai.

Padhe :-Kabr Ki Mitti, Kabr Ki Mitti Churane Se Kya Hota hain.

Mujhe aisa nahi karna chahiye tha. Main apni patni ke bahkawe me aa kar aisa kar diya. Mere chhote chacha ke andar pura bechaini sama gaya. Sabhi aadmi is manjar ko dekh kar bhakk the. Bahut se ko to bishwash hi nahi ho raha tha. Ki chhote bhai ne hi apne bade bhai ko barbad karne ke kiye jadu tona karwaya hain. Unhone apna sara jurm kabula mere pita ji ne unhe maaf bhi kar diya. Par pata nahi wo fakir baba kaha gayab ho gaye.

Padhe :-Roohani Takat, Bhoot Ki Kahani.

Ab bhi mere pita ji apne dukan me baithte hain. Par ek baar punji toot jane se use jodna bahut muskil hota hain. Par us din ke baad se hamari halat me bahut sudhar ho gaya. Ham ab bhi us fakir baba ka sukr gujar hai ki unke badaulat hame achchha khana nasib ho jata hain. Par bina kuchh liye nahi pata kaha gayan ho gaye. Ab bhi is baat ka charcha aas paas hota hain.

Padhe :-Kya Aatma Amar Hain.

Padhe :-Belgagra Machhli, Bhoot Ki Kahani.

Padhe :- Bhoot Ka Aawaz, Bhoot Ki Kahani.

Padhe :- Gehuman Saanp, Ek Saanp Ki Kahani.

Padhe :- Aaina Ek Bharm, Bhoo tKi Kahani.

Padhe:- Raste Ki Chudail, Chudel Ki Kahani.

Padhe:-Lamba Saya, Jinnat Ki Kahani.

Padhe:- Sui Dhaga, Chudel Ki Kahani.

Padhe:- Ulta Pair, Chudel Ki Kahani.

Padhe:- Khooni Talab , Bhoot Ki Kahani.