Jhuggi Jhopdi Me Bhooton Ka Kahar , Bhoot Ki Kahani
Mera
naam anand kumar hain. Main MP ka rahne walan hoon. Aaj main is blog ke madhyam
se ek aisa kahani aap ko batane ja raha hoon. Jis par aap ko shayad bishwash na
ho. Par ye hakikat hain. Main ek garib pariwar se hoon. Train me chana bechne
ka kaam karta hoon.
Padhe
:-Khoon Ki Pyasi Chudail , Ek Chudail Ki Kahani.
Train
ke andar ek jagah se dusre jagah chana bechte hue jata hoon. Jahan station aata
hain. Wahan train ka dabba badal kar dusre dabbe me chala jata hoon. Aksar main
passenger train me chana bechta hoon. Kyu ki us train me chana bechna aasan
hota hain. Aasani se ek dabbe se dusre dabbe tak ja sakta hoon. Jab mann kiya
tab ghar bhi wapas aa sakta hoon.
Padhe
:-Andhere Me Chudail Ki Aahat , Chudel Ki Kahani.
Aksar
raat ke das baje main apne ghar aata hoon. Kyu ki us waqt tak local train bahut
kam ho jati hain. Main hamesha lambi duri tak jane se darta hoon. Is liye
express train par nahi jata hoon. Mera ghar railway station ke paas bane hue
jhuggi jhopdi me hain. Main apne mata pita ke sath jhuggi jhopdi me rahta hoon.
Padhe
:-Ajib Si Ghabrahat , Bhoot Pret Ki Kahani.
Ek
baar mere jhuggi jhopdi me bhooton ka kahar aa gaya. Kisi bhoot ya phir jinn
jinnat ka kahar jhuggi jhopdi me aa gaya. Log bahut hi pareshan ho chuke the.
Us kahar se bachne ke liye log tarah tarah ke upay bhi kar rahe the. Par koi
fayada nahi hua. Koi soch nahi paa raha tha ki ab kya kare. Hua ye tha ki
hamare jhuggi jhopdi me kahi se koi pret aatma aa gaya tha. Jo logo ko bahut
pareshan kiya karta tha.
Padhe
:-Raste Me Betal , Ek Betal Ki Kahani.
Log
apne ghar ke andar jab soye hue rahte to koi paththar chala kar ghar ki chhat
par marta. Aisa lagta ki koi paththar ghar ke chhat par chalaya hain. Ham sabhi
jis jhuggi jhopdi me rahte hain. Wahan par kisi ka bhi ghar chhat ka nahi hain.
Gharon ke upar karkat ya phir khapda chada hua hain. Jab paththar chhat ke upar
girta to bahut aawaj karta. Raat ke andhere me paththar girta. Us samay log
bahut darr chuke the. Pahle pahle jab chhat ke upar paththar girna shuru hua.
Padhe
:-Bhootiya School , Bhoot Pret Chudail Ki Kahani.
To
log ye hi sochte the ki ye jarur kisi ka harkat hain. Jo ghar ke upar paththar
phek raha hain. Jab raat ke samay log apne gharon me soye rahte. To ek bada sa
paththar ghar ke chhat par aa kar gir jata. Jiske ghar par paththar girta wo
gali dete hue ghar ke bahar nikalta. Jis taraf se paththar aaya tha. Us taraf
ja kar dekhta to koi najar nahi aata. Par kuchh hi dino ke baad jaise hi sham
hota ki kisi na kisi ke ghar ke upar paththar gir jata.
Padhe
:-Jinn Baba Ka Sthan , Jinn Jinnat Ki Kahani.
Jab
log us taraf ja kar dekhte to koi najar nahi aata. Mohalle wale ek dusre par.
Shaq karte par koi pakra jata to na. Koi pakra hi nahi pata. Sham ke baad jaise
hi andhera chhata waise hi kisi ke ghar ke chhat par paththar girta. Abhi ek
ghar ke chhat par paththar gira. Aur jise hi log us taraf gaye ki dusre ghar ke
chhat par bhi paththar gir jata. Sham hote hi log jaan jate ki ab kisi na kisi
ke ghar ke chhat par paththar girega.
Padhe
:-Chamatkari Baba , Ek Baba Ki Kahani.
Jhuggi
jhopdi ke log apna jasus charon taraf phila diye the. Ki koi to paththar phekte
hue pakda jaye. Par koi rahta to na pakrata. Paththar phekne walen jagah par
koi milta hi nahi. Log jab apne chhat ka paththar dekhte to wo paththar railway
line ka hota. Railway line ka gitti kisi ke chhat par pheka hua milta. Log ye
bhi pata lagane ka koshish karte ki koun hain. Jo railway line se gitti uthata
hain. Par koi pata laga nahi pata. Ek baar main chana bech kar raat ke samay
apne ghar ja raha tha. Tabhi kisi ne kisi ke chhat par paththar phek diya.
Padhe
:-Jinn Jinnat Ki Kahani, Jinn Jinnat Ki Duniya.
Jhuggi
jhopdi ke log daurte hue railway line ke paas aaye. Main raat ke samay apne
ghar ja raha tha. Tabhi kuchh log mujhe pakad liye. Pakad kar bolne lage ki
tumne hi ghar ke upar paththar pheka hain. Main bola ki main to abhi chana bech
kar aa raha hoon. Par we log nahi mane. Mujhe khichte hue mohalle me le gaye.
Turant mohalle ke bahut se log mere paas aa kar khade ho gaye. We sabhi mujh se
puchhne lage ki tum jhuggi jhopdi me paththar kyu phekte ho.
Padhe
:-Tantra Vidya Ka Asar , Jadu Tona Ki Kahani.
Main
to hakka bakka rah gaya. Kyu ki maine paththar pheka hi nahi tha. Log
jabardasti mujh se puchhne lage ki tum hi gharon ke chhat par paththar phekte
ho. Un me se kuchh aadmiyon ne mujhe do char chata bhi maar diya. Par maine
kisi ke ghar ke upar paththar pheka hi nahi tha. Abhi mujhe aur marte ki us se
pahle phir se kisi ke ghar ke chhat par paththar gir gaya. Phir logo ke andar
darr bas gaya.
Padhe
:-Chudail Ya Kuchh Aur ? chudail Ki Kahani.
Jab
sabhi aadmi daur kar gaye to dekhe ki us jagah par koi bhi nahi tha. Mohalle
wale jaan gaye ki maine paththar nahi pheka tha. Bahut dino tak aisa hi chalta
raha. Har kisi ke ghar ke chhat par paththar girata par pata nahi chalata ki
paththar chalane wala aadmi koun hain. Ab to sabhi ko bishwash bhi ho gaya ki
ye kaam kisi aam aadmi ka nahi hain.
Padhe
:-Ghadi Ka Sui, Bhoot Ki Kahani.
Kisi
bhoot ka hi kaam ho sakta hain. Jo jhuggi jhopdi me bhooton ka kahar macha
rakha hain. Mohalle wale jhuggi jhopdi me bhooton ka kahar se chhutkara pane ke
liye ek tantrik ko bula laye. Tantrik mohalle me aaya. Wo aate hi jaan gaya ki
basti me bhoot aa chuka hain. Ek kale dhage me nibu latka kar use basti ke
charon taraf ghumne laga.
Padhe
:-Kaam Wali Reja Ka Bhoot, Chudail Ki Kahani.
Nibu
ghumate ghumate wo railway line ke samne pahucha. Jahan par nibu khud ba khud
ruk gaya. Tantrik bola ki bhoot isi jagah hain. Usne wahan par kuchh mantr padh
kar us jagah ko bandh diya. Us din ke baad se kisi ke bhi ghar ke chhat ke upar
paththar nahi gira. Jhuggi jhopdi me bhooton ka kahar bhi khatm ho gaya.
Padhe
:- Do Saheli, Darawni Kahani.
Padhe
:- AamavasKi Raat, Dayan Ki Kahani.
Padhe
:-Bharat Ka Bhutiya Railway Station.
Padhe
:-Bhatakta Fakir, Ek Fakir Ki Kahani.
Padhe :-Khoon Ki Pyasi Dakini.
Padhe :-Laash Ne Daudaya, Bhoot Ki Kahani.