Jinnat Ka Saya , Jinn Jinnat Ki Kahani.
Jinn jinnat ek
tarah ka saya hain. Ho sakta hain ye koi takat ho. Jo is duniyan me bahut pahle
se hain. Jinn jinnat log bolte hain ki ye sab hote hain. Par aaj tak main dekha
nahi hoon. Par jinn jinnat ki kahani bahut suna hoon. Mujhe bhoot pret ki
kahani sunana bahut achchha lagta hain.
Bhoot pret par
adharit film dekhna bhi bahut achchha lagta hain. Mere dost to mujhe chidhate
bhi hain. We bolte hain ki aa gaya bhootaha aadmi. Sirf bhoot pret ke bare me
hi sochta rahta hain. Ek baat to hain main jaha kahi bhi bhoot pret ya jinn
jinnat ka charcha hota hain. Waha main pahuch hi jata hoon. Logo ko aapas me
bhoot pret par baaten karte hue sunta hoon.
Ye mujhe achchha
bhi lagta hain aur mujhe likhne ke liye ek kahani bhi mil jata hain. Hakikat to
ye hai ki mujhe kahani likhne bahut pasand hain. Pahle kahani padhta tha. Par
ab kahani likhta hoon. Aaj main ek kahani likh raha hoon. Jiska naam hain jinn
jinnat ka saya. Mujhe nahi pata jinn jinnat hote hain ya nahi. Par aksar logo
ko is par baat karte hue suna hain.
Log apni baat par
jor de kar kahte hain ki aisa hua hain. Ye sach hain ki bhoot pret ya jinn
jinnat hote hain. Ek baat to tay hai kisi ek aadmi ki baat ko jhutha sabit kiya
ja sakta hain. Par har kisi ke baat ko jhutha sabit nahi kiya ja sakta hain.
Duniya ka koi bhi kona ho chahe apna desh ho ya dur koi dusra desh. Har jagah
bhoot pret ki charcha hoti hain. Bhale hi logo ke manane wale bhagwan badal
jaye.
Par har desh me
aatma ka naam jarur liya jata. Kahi na kahi bhoot pret ki charcha jarur hoti
hain. Aaj main ek jinn jinnat ki kahani likh raha hoon. Jinn jinnat ka saya
jiske upar sawar ho jaye. To samjho uska jina duswar ho jata hain. Wo aadmi ya
aurat jiske upar jinn jinnat ka saya hota hain.
Uski zindagi
barbad ho jati hain. Bahut baar log us saye se pichha chodane ke liye tarah
tarah ka upay karte hain. Par sab kuchh bekar sabit hota hain. Bahut baar to
jinn jinnat ka saya chhodta hi nahi hain. Chahe lakh koshish kar lo. Wo zindagi
bhar ke liye kisi ke sharir ko apna ghar bana leta hain.
Ek jinn jinnat ka
kahani main yaha likh raha hoon. Jise maine ek aadmi ke muh se suna tha. Aksar
jinn jinnat kisi aurat ke upar aata hain aur uske sharir ko apna ghar bana leta
hain. Ek baar gaon me ek ladki ki shadi hua.
Jab ladki ka shadi
hua tab tak to sab kuchh thik thak tha. Par shadi ke kuchh dino ke baad. Ladki
kisi se baat karti ya phir ghar me koi kaam karti to achanak se behosh ho jati.
Kisi ko kuchh bhi samajh me nahi aa raha tha. Ki achanak se ladki ko ho kya
jata hain. Bahut se doctor se ilaj karwaya gaya.
Par sab kuchh
bekar koi doctor bata nahi paya ki achanak se behosh hone ka karan kya hain.
Bahut ilaz karya gaya par sab bekar tha. Ghar ke sabhi koi pareshan the ki ye
kya ho raha hain. Kuchh dino ke baad to din me ek baar behosh hona tay tha.
Kisi bhi samay behosh ho jati. Yaha tak ki doctor bhi nahi bata paa rahe the ki
aakhir kaar hua kaya hain.
Aisa hi bahut dino
tak chala. Ladki ko kisi bhi tarah ka koi bumari nahi tha. Sab kuchh thik thak
tha. Par wo din me ek baar behosh ho jati thi. Lagbhag do ghanta tak behosh
rahti uske baad hi use hosh aata. Jab wo hosh me aati to sabhi se puchhti ki
main kaha hoon. Uske baad thodi der ke baad use sab kuchh yaad aa jata. Par
hosh me aane ke baad bahut hi dari aur sahmi hui rahti. Kisi ko samajh me nahi
aa raha tha ki ise thik kaise kiya jaye.
Aisa bahut dino
tak chala. Ek din jab wo behosh hui aur uske baad jab hosh me aai. To uske ghar
wale us se puchhe ki tum achanak se behosh kyu ho jati ho. Aur behosh hone ke
baad tumhare sath kya hota hain. Jiske karan tum bahut hi dari aur sahmi si
lagti ho.
To wo ladki pahle
to kuchh batana nahi chah rahi thi. Par jab bahut hi dabao de kar puchha gaya
to wo boli. Ki jab main behosh hoti hoon to uske baad main ek mahal me chale
jati hoon. Mere sath ek lamba kad ka aadmi rahta hain. Wo mujhe mahal me
ghumata hain. Waha bahut se aadmi aur aurat rahte hain.
Jinka lambai ham
sabhi se bahut jyada lama hota hain. Uske baad nahi pata kya hota hain. Jab
mujhe hosh aata hain to main apne ghar me rahta hoon. Us ladki ki baat sun kar
ghar walo ko yakin ho gaya ki jarur iske upar jinn jinnat ka saya hain. Par jab
wo ladki ye baat sab ko batai to turant daur kar ek kamre ke taraf bahag gai.
Kamra ko andar se band kar ke jor jor se chillane lagi.
Bolne lagi ki main
tumhe mana kiya tha ki ye baat kisi ko mat batana. Par tumhari himmat kaise hui
jo ye baat kisi se bata di. Ladki apna sar diwar se patakti aur khud ko lahu
lohan kar leti. Ab to sabhi ke samne ek naya sawal tha ki is ladki ke upar
jarur kisi jann jinnat ka saya hain. Ye ladki apne aap behosh nahi hoti hain.
Balki jab ye
behosh hoti hain to uske baad jinn jinnat ki duniya me chale jati hain. Iske
upar jinn jinnat ka saya hain. Par ab jinn jinnat se chhutkara pane ka koi upay
to jarur hoga. Ghar ke sabhi log use le kar jhar phook karne wale ke paas le
gaye. Par jhaar phook ka bhi koi khash asar nahi hua. Jhar phook karne walon me
bhi itni himmat nahi thi ki uske upar se jinn jinnat ka saya nikal sake. Bahut
dino tak jhar phook chalta raha par is se koi fark nahi pada.
Ladki barabar
behosh hoti rahi. Aur jab hosh me aati to bahut hi ghabrai hui rahti. Kabhi
galti se apne bare me kisi ko batati to khud se khud par hamla kar leti. Kabhi
apna sar diwar se patakti to kabhi khud ko zakhmi kar leti. Aisa hi bahut dino
tak chala. Par jinn jinnat ka saya se use chhutkara nahi mila.