Jinnat Ki Duniya , Jinn Jinnat Ki Kahani.
Jinn Jinnat hote hain ya nahi bahut kisi ko is par
shaq hoga par mujhe nahi. Kyu ki mara pala ke baar jinn jinnat se pad chukka
hain. Main bolu to jinn jinnat bilkul humare tarah hi hote hain. Par un me aur
hum me bahut si asamanta hain. Jinn jinnat jise khuda ne aag se paida kiya aur
ek din unhe fana kar diya jayega. Unke wajud ko khatm kar diya jayega.
We bhi humari
tarah is dharti par rahte hain. Par hume bahut kam najar aate hain. Kabhi jhate
se najar aa jaye to koi aur baat hain. Koi jinn achchhe hote hain to kuchh jinn
bahut hi kharab hote hain. Apni khwahish ko pura karne ke liye insano ki madad
lite hain aur insani duniya me apna wajud bacha kar rakhte hain. Jin kise tang
kare aur kiske upar sawar ho jaye ye koi nahi janta hain. Agar jinn jinnat achchhe
hue to wo kisi ko raaton raat lakh pati bana sakte hain agar jinn jinnat kharab
hue to kisi ko bhi raaton raat road par bhi la sakte hain. Waise maine abhi tak
kisi ko dekha nahi hain jiske upar jinn jinnat ka wash ho. Kis ke upar jinn
jinnat sawar ho. Par main ek baar jinn jinnat ko dekha jarur hoon.
Mera naam kadir asraf hain hain ek chhote se masjid me
rahta hoon. Jab main bahut chhota tha to main masjid ke imam ko masjid ke
sidhiyon par mila tha. Unho ne hi mujhe sahara diya. Mujhe nahi pata mere maa
pita koun hain. Par main masjid ke imam ko hi apna maa pita samjhta hoon. Main
jab se hosh sambhala hoon tab se masjid ke paas bana hua jhopda me hi rahta
hoon. Mera jhopda masjid ke campus ke andar hain.
Bas apne jhopda se
bahar niklo aur masjid ke andar chale jao. Bilkul sata hua hain. Mujhe masjid
me rahna pasad bhi hain kyu ki ye jagah duniya dari se dur bilkul ekant jagah
par hain. Mujhe duniya ke bhir se alag rahna pasand hain. Yaha bahut sukun
hain. Kisi tarah ka koi shor gul nahi. Sirf khamoshi hi khaomoshi. Main apne
sath biti ek waqya likh raha hoon. Ek aisa ghatna jo mere sath ghata tha.
Us ghatna se main
bahut kuchh jaan gaya. Main jaan gaya ki humre alawa is duniya me koi aur bhi
hain jiska wajud zinda hain. Jo nahi dikhte hain wo bhi humare sath hi isi
duniya me rahte hain. Kabhi kabhi achanak se dikh bhi jate hain. Par jab dikhte
hain to sharir ke rongte khade par dete hain. Ek ajib si darr ka ehsaas dila
dete hain. Maine apni zindagi me ek baar jinn jinnat dekha hoon. Mujhe to
bishwas hi nahi hua ki ye sach me jinn jinnat hain par unki kuchh nishaniya jo
sabit karti hain ki sach me wo jinn jinnat hi the.
Ek baar ki baat
hain main masjid ke samne bane hue jhopde me akele so raha tha. Raat ka samay
tha. Subah jyaldi jag kar mujhe aajan bhi dena tha. Aksar masjid me aajan main
hi deta hoon. Mera duty hi aazan dene ka hain. Jis din main kahi chala jata
hoon to us din aajan masjid ke imam sahib dete hain. Kahi jane se pahle imam
sahib ko bata kar jana padta hain. Agar bata kar nahi gaya to masjid me aazan
nahi hoga. Jis se imam sahib mujhe daat bhi sakte hain par iski naubat ab tak
nahi padi. Kahi bhi jata hoon to pahle bata deta hoon.
Main aksar masjid
me akele baith kar kuchh padhta bhi hoon. Ek din main masjid me baith kar padh
raha tha. Main padhne me bahut masgul tha. Tabhi maine dekha ki masjid ke andar
ek bilkul kale rang ki billi aa gai. Jo ki masjid ke diwaar se sat kar masjid
ke charon taraf chakkar kaat rahi thi. Thodai der chakkar katne ke baad wo
billi us jagah aa kar baith gai jaha par main baith kar padh raha tha. Billi
bilkul mere aage aa kar baith gai aur bahut hi gaur se mere taraf dekhne lagi.
Main samajh nahi paya ki ye billi aakhir kaar mere paas aa kar kyu baith gai
hai.
Bilkul kale rang
ki billi. Jiske aankh laal rang ke the. Wo mere aage baith kar meaao meaao bol
rahi thi. Kabhi mere kitab ki taraf dekhti to kabhi mere taraf dekh kar meaao
,meaao bolti. Mujhe darr bhi lag raha tha. Kyu ki us din se pahle maine kabhi
bhi itne kaale rang ka billi nahi dekha tha. Masjid ke andar to koi billi aati
hi nahi thi. Par din achanak nahi pata kaha se wo kaala rang ka billi aa gai.
Mere dimag me ek baat baar baar chot maar raha tha ki, nahi pata ye billi hain
ya kuchh aur. Par khud ko dilasha de raha tha ki masjid ke andar koi bhi roohani
takat nahi aa sakti. Par mujhe darr to jarur lag raha tha.
Billi kuchh der to
mere paas baith kar meaao meaao boli aur phir waha se uth kar phir se masjid ke
diwar se sat gai. Masjid ke diwar se sat kar apne badan ko ragarte hue aage ki
taraf bhadh rahi thi. Mera najar billi ke upar tik gaya tha. Main billi ka ye
harkat dekh raha tha. Kuchh der tak wo masjid ke diwaar se sat kar chalte rahi
phir masjid se nikal kar nahi pata kaha gayab ho gai. Us din main darr chuka
tha. Mere to samajh me kuchh bhi nahi aa raha tha. Par ek baat baar baar mujhe
tang kar raha tha ki nahi pata wo billi thi ya kuchh aur?
Main kuchh der tak
masjid me baith kar socha. Ab mujhe padhai me bhi mann nahi lag raha tha. Main
waha se uth kar apne jhopde me aa gaya. Thoda der tak jhopde me rukne ke baad
phir mohalle ki taraf nikal gaya. Main soch raha tha ki iski charcha kisi se
karu. Par phir socha ki log kahenge ki ek billi ko dekh kar darr gaya. Isliye
maine iski charcha kisi se na karna hi behtar samjha. Is baat ke bite kuchh din
hi hue the. Ek raat main apne jhopde me so raha tha.
Tabhi achanak
bahar se lota ke takrane ki aawaz aai. Masjid ke paas ek kuwa tha. Jis me ek
balti rasse se bandh kar rakhi hui rahti thi. Jise bhi waju banana hota
wo balti ki madad se kuwe se pani nikalta aur lote me bhar kar waju bana leta.
Ye kaam mera hi tha ki jab bhi namaz ka waqt hota to main har lote me pani bhar
kar rakh deta. Par us raat aisa nahi hua. Main apne kamre me soya hua tha.
Tabhi bahar se lote ki aawaj aane lagi.
Aisa lag raha tha
jaise koi balti se kuwe ka pani nikal raha ho aur phir use lote me bhar raha
ho. Raat ki khamoshi me mujhe wo aawaz saaf sunai de raha tha. Mere jhopde ka
khidki khula hua tha. Jis se main bahar jhak kar dekha us waqt raat ka samay
tha. Charon taraf andhera hi andhera pasra hua tha. Sirf khamoshi hi khamoshi.
Agar khamoshi ko koi tod raha tha to wo tha lote ka aawaz. Main soch me pad
gaya ki itni raat gaye koun hoga. Jo kuwe se pani nikal kar lote me bhar raha
hain.
Phir mujhe laga ki
ho sakta hain subah ke namaz ka waqt ho chukka hoga aur mujhe pata bhi nahi
chala hoga. Aaj main bahut der tak so gaya hoon. Ho sakta hain kisi aur ne
aajan de diya hoga. Main jhat se tayyar ho kar apne jhopde se bahar nikal.
Jaise ki masjid ki taraf badha to dekha ki namaz suru ho chuki hain. Main
turant kuwe ke paas gaya aur waju kar ke jamat me samil hona chaha. Par jab
main masjid ke paas pahucha to tang rah gaya kyu ki waha par jis namazi ki
chappal rakhi hui thi wo bahut hi bade bade the. Itne bade bade chappal jiska andaja
mujhe nahi tha. Main jis mohalle me rahta tha waha par kisi ke bhi itne bade
bade chappal nahi the.
Cappal dekh kar
pata chal raha tha ki us raat masjid puri tarah se bhara hua tha. Jab main
masjid ke andar gaya to dekha ki bahut se namazi namaz padh rahe hain. Unki
tadad itni thi ki pura masjid hi bhar gaya tha. Main sab se pichhe wale line me
ja kar khada ho gaya. Baar baar logo ki taraf dekh raha tha. Jinki lambai itni
jyada thi ki masjid ka chhat unke sar taka a raha tha. Itne lambe lambe log to mere
mohalle me the hi nahi jitne lambe lambe log us waqt namaz padh rahe the. Mujhe
bahut hi ajib sa lag raha tha.
Andar hi andar ek
shaq bhi jag chuka tha ki ye log jo namaz padh rahe hain. ye koi mamuli insan
nahi hain. Jarur ye insaan ke shakl me kuchh aur hi hain. Main bhi namaz ki
niyat kar ke khada ho gaya. Kuchh der tak to main unke sath namaz padha. Par un
sabhi ke namaz padhne ka tarika aur mere namaz padhne ka tarika ek jaisa nahi
tha. Ab mujhe andar hi andar darr lagne laga. Mere andar ghabrahat paida ho
chuka tha.
Jab we log salam
ke liye apna muh phere to main unhe dekh kar tang ho gaya kyu ki unke kaan
bahut hi lambe lambe the. We agle salam ke liye muh pherte main turant
waha se uth kar bhag gaya. Mujhe pura yakin ho gaya ki ye koi insaan nahi balki
kuchh aur hi hain. Jinka lambai bahut jyada hain. Jisne bilkul safed rang ke
kurte pajame pahan rakhe hain. Jiske sharir se ajib tarah ke khusboo aa rahi
hain. Main turant waha se bhag kar apne jhopde me chala aaya. Aur apne jhopde
ka darwaja band kar ke darr ke sath apne bistar par baith gaya.
Mujhe darr tha ki
kahi un sabhi ne mujhe dekha hoga to meri jaan tak le sakte hain. main us raat
bahut hi darr chuka tha. Jab main ghadi me samay dekha to aur bhi darr gaya kyu
ki us waqt raat ke do baj rahe the. Darr aur pareshani ke sath raat katne laga.
Bich bich me to aisa lagta ki koi darwaje ke samne aa kar khada hain. agar wo
darwaja tod kar andar chala aaya to main to mara ja sakta hoon.
Main apne jhopde
ke bahar logo ke pairon ki aawaj saaf sun sakta tha. Todi der ke baad we sabhi
aawaj shant ho gaye. Main darr ke mare apne jhopde ke andar daba baitha hua
tha. Na jane kab din nikal aaya. Subah ka aazan bhi nahi diya. Jab imam sahib
aaye aur mere kamre ka darwaja khatkhata kar mujh se bole ki kadir darwaja
kholo. Mujhe tab bhi darr lag raha tha. Jab main puri tarah se tassali kar liya
ki ye aawaz kisi aur ka nahi balki imam sahib ka hain tab ja kar main darwaja
khola.
Maine raat wali
puri baat imam sahib ko batai. Tab imam sahib bole ki raat me jise tum ne dekha
tha. Wo khuchh aur nahi balki jinn jinnat the. Jo aksar raat ke samay kisi
masjid me namaz padhte hain. jab raat ke samay apne kafile ke sath kahi jate
hain aur raste me koi masjid mil gaya to waha par namaz padh lete hain. mera to
dimag hi kaam karna band kar chuka tha. Kyu ki raat me jis se pala pada tha wo
kuchh aur nahi balki jinn jinnat the. Us raat ke baat main bahut sambhal gaya.
chahe kuchh bhi ho raat ke samay main apne jhopde se bahar niklna chood diya.
Raat ke samay
jitni bhi aawaj aa jaye main apne jhopde ke andar hi rah jata hoon par kabhi
bhi waha se bahar nahi niklta hoon. Ek baat to jaan gaya ki is duniya ke alawa
ek aur duniya hain jis me jinn jinnat ka raaj hain. jo hamesha hamare sath hi
raha karte hain.