Kabr Ka Ajaab , Kabr Ke Andar Kya Hota Hain.
Har
insaan ko marna hain. Jab tak insaan jinda rahta hain. Tab tak hi use ghamand
rahta hain. Nahi pata insaan ki zindagi bhi kya chij hain. Lakhon karoro saal
se hamara prithbi hain. Lakho saal se jiwan hain. Na jane kitne surma aaye aur
duniya chhod kar chale gaye. Pata laga pana bhi bahut muskil hoga ki kise kaha
jalaya gaya. Ya kise kaha gada gaya.
Padhe
:-Khoon Ki Pyasi Chudail , Ek Chudail Ki Kahani.
Lakho
saal me se 60-70 saal nikal do ya usne jod do. Koi fark nahi padta. Ek insaan
ki aayu kya ho sakti hain. Bas itna. Matr aadha ya ek ghanta me insaan apne
gujre hue kal ko yaad kar leta hain. Par itni chhoti aayu hote hue bhi kisi ke
andar itna ghamand kaise aa jata hain. Kyu koi insaan rakshasi prakriti me aa
jata hain. Ham dharm granth me padhte hain. Ki rakshas hote the. Par aaj bhi
unka astitwa hain. Wo aaj bhi insaan ke andar zinda hain.
Padhe
:-Andhere Me Chudail Ki Aahat , Chudel Ki Kahani.
Ab
kisi rakshas ko khojne ki jarurat nahi hain. Wo hamare bich hi hain. Insaan sab
kuchh janta hain. Par jante hue bhi insaaniyat ko bhul jata hain. Jo bhi is
duniya me zinda hain. Use ek na ek din marna jarur hain. Marr kar kahi shamshan
ghat jaye ka kabristan. Sharir jamin se bana hain aur mitti me mil jayega.
Aatma hawa se bana hain aur hawa me mil jayega. Ek ko barbad ho jana hain aur
dusre ko anant kaal tak bhatakna hain.
Padhe
:-Ajib Si Ghabrahat , Bhoot Pret Ki Kahani.
Bure
aadmi ki aatma bhi buri hi hoti hain. Use bahut kast hota hain. Aadmi marr jata
hain par aatma nahi. Ek kahani aisi hi hain. Jis se aatma ke kast ka pata
chalta hain. Buri aatma ko anant kaal tak apne kiye ka bhog bhogna padta hain.
Ek baar ki baat hain. Kisi gaon me ek kabristan tha. Jaha par murdo ko dafnaya
jata tha. Kabristan gaon ke paas hi tha. Us kabristan ke paas hi khali jagah
bhi tha. Jis jagah par gaon ke bachche sham ke samay khelte the. Ek baar sham
ke samay kuchh bachche us kabristan ke paas wale maidan me khel rahe the.
Padhe
:-Raste Me Betal , Ek Betal Ki Kahani.
Sham
ka samay bhi tha. Bachche waha par khel rahe the. Tabhi ek ladka ki najar ek
kabr par gai. Us kabr se dhua nikal raha tha. Wo ladka use dekha aur darr gaya.
Usne apne anya sathiyon ko bataya ki kabr se dhua nikal raha hain. Waha par
jitne bhi ladke the. Sabhi ne dekha ki kabr se dhua nikal raha hain. Jitne bhi
ladke waha khel rahe the. Sabhi darr gaye aur darr ke mare waha se bhagne lage.
We sabhi bhag kar apne apne ghar chale gaye aur ye baat ghar ke logo ko bataya.
Padhe
:-Bhootiya School , Bhoot Pret Chudail Ki Kahani.
Pahle
to kisi ko yakin nahi hua. Log soche ki ye bachchon ki sharat ho sakti hain.
Par kisi ne kabristan ke paas ja kar dekha to ye baat sach thi. Sach me kabr se
bahut hi jyada dhua nikal raha tha. Turant ye baat pure gaon me phail gay ki
kabr ke andar se dhua nikal raha hain. Gaon ke log kabristan ke paas aa kar
dekhne lage. Sabhi ne dekha ki kabr ke andar se dhua nikal raha hain. Us kabr
ke paas bahut hi jyaldi bhir jama ho gaya. Jitne muh utni baat hone lagi. Koi
ise khuda ka karishma maan raha tha.
Padhe :-Jinn Baba Ka Sthan , Jinn Jinnat Ki Kahani.
To
koi ise aajab. Kisi ke kuchh samajh me nahi aa raha tha. Tabhi kisi ne us gaon
ke masjid ke imam ko bula laya. Imam shaheb kabristan ke paas aaye. Unhone ne
bhi kabr ko dekha. Thoda der tak dekhne ke baad imam shaheb bole. Yaha par kabr
ka ajaab ho raha hain. Kabr iske andar lete hue aadmi par ajaab kar raha hain.
Use tadpa raha hain. Mare hue aadmi ko uski gunaho ka saja mil raha hain. Gaon
ke log bole ki aakhir me aisa kya ho gaya hoga. Ki is aadmi par kabr ka aajab
ho raha hain.
Padhe
:-Chamatkari Baba , Ek Baba Ki Kahani.
Ye
baat to imaam shaheb bhi nahi bata sakte the. Ki isne jite ji aisa koun sa
gunah kar diya. Jiske karan kabr ka ajaab ho raha hain. Imaam shaheb bole ki ye
baat to iske ghar walon se puchhna padega ki. Isne aisa koun sa gunah kar diya
jiske karan kabr ka ajaab ho raha hain. Kabr nai thi. Kuchh hi din pahle us
kabr ke andar kisi ko dafn kiya gaya tha. Gaon ke log jante the ki ye kabr
kiski hain. Gaon ke log us ghar par chale gaye. Jis ghar ka koi mara tha aur
use waha par dafn kiya gaya tha. Gaon ke log jab us ghar me pahuche to dekhe ki
ghar me sirf ek budhi aurat hain.
Padhe
:-Jinn Jinnat Ki Kahani, Jinn Jinnat Ki Duniya.
Jo
apne ghar ke angan me bath kar purane kapde si rahi thi. Aurat bahut hi budhi
thi. Gaon ke log uske paas pahuche aur bole ki. Aap ke bete ke kabr se dhua
nikal raha hain. Aisa koun sa gunah kar diya ki kabr ka ajaab uske upar ho raha
hain. Apne bete ka naam sunte hi budhi aurat rone lagi. Wo apne bete ke kabr
tak aa gai. Apne bete ka kabr dekh kar jor jor se rone lagi.
Padhe
:-Tantra Vidya Ka Asar , Jadu Tona Ki Kahani.
Gaon
ke log pichhe ki aisa koun sa gunah aap ke bete ne kar diya. Jiske karan kabr
ka ajaab ho raha hain. Agar hame nahi bataiyega to aap ke bete ka rooh isi
tarah tadapta rahega. Use kayamat tak chain nahi mil payega. Wo aurat gaon
walon ki baat sun kar rote hue boli. Ki jab mera beta zinda tha to wo mujh par
bahut zurm karta tha. Daru pi kar aata aur mujhe marta.
Padhe
:-Chudail Ya Kuchh Aur ? chudail Ki Kahani.
Ye
hamesha apni biwi ka baat sunta. Iski biwi jo kahti ye wahi karta. Main apne
ghar me ek naukrani jaisi thi. Ghar ka sara kaam karti. Mujhe kabhi dhang se
khana bhi nahi milta. Par meri putoh mera shikayat mere bete se karti. Mera
beta roj daru pi kar aata aur mujhe marta. Ek din ye bimar ho gaya aur is
duniya ko chhod kar chala gaya. Mere bete ke marne ke baad meri putoh bhi mujhe
chhod kar chale gai. Main ghar me akeli rah gai.
Padhe
:-Ghadi Ka Sui, Bhoot Ki Kahani.
Us
budhi aurat ki baat sun kar gaon walon ko pura majra samajh me aa gaya. Kyu
iske upar kabr ka ajaab ho raha hain. Gaon wale us budhi aurat se bole ki. Jo
hua so hua par iska rooh abhi bahut kast me hain. Kisi tarah ise is se
chhutkara dena padega. Tab imaam shaheb bole ki isne jo gunah kiya hain. Wo
maafi ke kabil nahi hain. Isne ek maa ka dil dukhaya hain.
Padhe :-Kaam Wali Reja Ka Bhoot, Chudail Ki Kahani.
Maa
ke kadmo ke niche jinnat hain aur ye jinnat pane me nakamiyab ho gaya. Par maa
to maa hoti hain. Bachche jitne bhi gunah kar le. Jitne bhi maa baap ka dil
dukha le. Par maa baap kabhi bhi apne bachchon ko baddua nahi deti hain. Maa ki
dua apne bachche par lagti hain. Aap bhi dua kigiye ki kabr ka ajaab khatm ho
jaye. Aap apne bete ka gunah ko maaf kar digiye.
Padhe
:- Do Saheli, Darawni Kahani.
Imaam
ki baat sun kar wo budhi maa boli ki meri dua to hamesha mere bete ke sath hain.
Chahe Wo mujh par jitna bhi jurm kar le. Main kabhi bhi use baddua nahi de
sakti hoon. Wo budhi aurat khuda ke aage hath utha kar dua mangne lagi. Ki mere
bete ne jo bhi gunah kiya use baks de. Usne jo bhi dukh mujhe pahuchaye hain
use baks de. Ya khuda meri dua kabul farma le. Maa ne jaise hi dua mangi ki us
kabr se dhua nikalna band ho gaya.
Padhe
:- Aamavas Ki Raat, Dayan Ki Kahani.
Kabr
ka ajaab khatm ho gaya. Gaon ke sabhi logo ne ye chamatkar dekha. Khuda ki
ibadad aur maa ke dua ka asar sabhi ne dekha. Maa dua kar de to jannam ke sole uske
aulad ko chhu bhi nahi sakti hain. Maa ki duao me bahut asar hota hain. Galti
se bhi maa ka dil nahi dukhana chahiye. Agar maa naraj ho jaye aur baddua de de
to puri zindagi nark ban jati hain.
Padhe
:-Bharat Ka Bhutiya Railway Station.
Padhe
:-Bhatakta Fakir, Ek Fakir Ki Kahani.
Padhe :-Khoon Ki Pyasi Dakini.
Padhe :-Laash Ne Daudaya, Bhoot Ki Kahani.
Padhe :-Machhli Bhat, Chudail Ki Kahani.
Padhe :-Jinn Jinnat Ki Kahani.