Khet wali Chudail , Chudel Ki Kahani.
Chudail kaha mil jaye bata pana bahut muskil hain. Ho
sakta hain. Hamare aas paas hi ho. Aisa bhi ho sakta hain ki uski najar ham par
ho aur hame malum na ho. Log kahte hain ki bhoot pret aatma ya jinn jinnat nahi
hote hain.
Padhe
:-Khoon Ki Pyasi Chudail , Ek Chudail Ki Kahani.
Ye sabhi aadmi ka bhram matr hain. Maan liya jaye ki
ye jhooth hain. Bhoot pret chudail ya jinn jinnat nahi hote hain. Par insaan
kitne dino tak zinda rahta hain. Yahi bahut jyada ho gaya to assi nabbe saal
tak. Kya in assi nabbe saal ke baad insaan ka astitwa khatm ho jata hain. Uske
baad uska naamo nisan tak khatm ho jata hain. Kya chij hain jiske chale jane ke
baad sarir achhut ban jata hain. Koi kisi ke sharir ko chhuna tak nahi chahte
hain. Kuchh na kuchh to jarur hain.
Padhe
:-Andhere Me Chudail Ki Aahat , Chudel Ki Kahani.
Wo aatma hain. Bahut se log kahte hain ki sharir se
aatma nikal jata hain. To insaan marr jata hain. Chalo maan lete hain kisi ke
sharir se aatma nikal gaya to sharir marr gaya. Par ye aatma sharir se nikal
kar jata kaha hain. Log kahte hain ki kisi kisi ka phir se janm ho jata hain.
Maan liya jaye kisi kisi ka phir se janm ho gaya. Par kuchh to bach gaye. Jiska
janm nahi hua.
Padhe
:-Ajib Si Ghabrahat , Bhoot Pret Ki Kahani.
Bahut se log kahte hain ki aatma isi lok me bhatakta
hain. Agar aatma bechain hain aur isi lok me bhatak raha hain. Kabhi wo kisi ke
najar me aa gaya aur kuchh halchal hota hua koi dekh liya. To wo yahi sochega
ki bhoot hote hain. Sidha sa baat hain. Sharir marr sakta hain. Par aatma kabhi
nahi marr sakta hain. Ye sharir wale ke upar nirbhar hain ki wo apne aatma ko
kaisa banana chah raha hain. Achchha ya bura.
Padhe
:-Raste Me Betal , Ek Betal Ki Kahani.
Kabhi kabhi kisi ki aatma kisi ko dikh jata hain. Jise
bhoot pret kaha jata hain. Maine kabhi bhoot dekha to nahi hoon. Par bhoot pret
ki kahani jarur padhta hoon. Likhta bhi hoon. Jo jhuthi hoti hain. Kahi se sun
liya aur likh diya. Yahi chalta rahta hain. Aaj ki kahani ek khet wali chudail
ke upar hain. Jise gaon dehat me bahut hi saukh se sunaya jata hain.
Padhe
:-Bhootiya School , Bhoot Pret Chudail Ki Kahani.
Log gaon dehat me is tarah ki kahani sunate hain.
Bhoot pret hote hain to chudail bhi hoti hogi. Khet wali chudail ek aisi hi
kahani hain. Jise main aaj yaha likh raha hoon. Bahut pahle ki baat hain. Gaon
dehat ke logo ka mukhya kaam kheti kisani hota hain. Waha par mard log khet
jotne ka kaam karte hain. Aur auraten khet me dhan ropne ka kaam karti hain.
Padhe
:-Jinn Baba Ka Sthan , Jinn Jinnat Ki Kahani.
Jise gaon dehat me khet boaai kahte hain. Isi tarah
khet boaai ka kaam chal raha tha. Barsat ka mausam tha. Jyada pani ke karan
khet me pani bhar gaya tha. Khet me bahut hi jyada kichar jama ho gaya tha.
Kichar me hi dhan ka paudha ropa jata hain. Gaon ki bahut si auraten khet
pahuchi thi. Sabhi ko dhan ka paudha ropna tha. Auraten apne apne khet me dhan
rop rahi thi. Gaon ki ek aurat bhi waha pahuchi thi.
Padhe
:-Chamatkari Baba , Ek Baba Ki Kahani.
Jisne khet wali chudail dekha tha. Wo aurat anya
auraton ki tarah apne khet me dhan rop rahi thi. Dopahar ka samay tha. Kabhi
dhoop to kabhi chhao ho raha tha. Rah rah kar pani bhi gir raha tha. Auraten
plastic odh kar dhan rop rahi thi. Unhe apna apna kaam jyad nipta lena tha.
Kuchh auraten dur khet me dhan rop rahi thi. Wo aurat dhan rop rahi thi aur koi
geet bhi gunguna rahi thi.
Padhe
:-Jinn Jinnat Ki Kahani, Jinn Jinnat Ki Duniya.
Aksar dhan ropne wali aurat koi geet gati hain. Jis se
thakan ka mahsus nahi hota aur samay bhi aasani se paar ho jata. Koi geet
gungunate hue dhan rop rahi thi. Tabhi waha par ek aurat aur aai. Jo us aurat
ke sath dhan ropne lagi. Jo geet ye aurat gungunati. Wo aurat bhi usi geet ko
gungunane lagi. Pahle se dhan rop rahi aurat ne jab use dekha ki ye aurat bhi
mere sath dhan rop rahi hain.
Padhe
:-Tantra Vidya Ka Asar , Jadu Tona Ki Kahani.
To use tokte hue kaha aur boli ki are tu koun hain aur
mere khet me dhan kyu rop rahi ho. To wo aurat boli ki didi main paas gaon me
rahti hoon. Jab maine aap ko dekha ki itne bade khet me aap akele dhan rop rahe
hain. To mujh se raha nahi gaya. Aap ka hath batane ke liye aap ke paas chale
aai. Main aap ka khet bo deti hoon. Jis se aap ka kaam aasan ho jayega. Wo
aurat itna boli. Pahle se dhan rop rahi aurat boli ki thik hain.
Padhe
:-Chudail Ya Kuchh Aur ? chudail Ki Kahani.
Mere khet me dhan rop do. Ab dono mil kar dhan ropne
lagi. Dono mil kar gana gati aut dhan ropti. Bahut det tak aisa hi chala. Phir
jo aurat waha aa kar dhan rop rahi thi. Wo us aurat se boli. Chal na didi talab
ke paas chala jaye. Waha pani bhi pi lenge aur hath pair bhi dho lenge. Par
aurat boli ki pahle dhan rop leti hoon uske baad talab ke paas jaungi. Wastao
me baad me aai hui aurat kuchh aur nahi balki chudail thi. Jo chah rahi thi ki
use bahla fusla kar talab tak le jaya jaye. Aur talab me dubo kar maar diya
jaye.
Padhe
:-Ghadi Ka Sui, Bhoot Ki Kahani.
Par pahle se dhan rop rahi aurat ko thoda bhi bhanak
nahi laga ki uske sath ek chudail hain. Chudail kuchh der ke baad phir boli
chal na didi talab ke paas chala jaye. Par phir wo aurat uski baat kaat di aur
boli ki pahle dhan rop lene do tab chala jayega. Wo aurat jhuk kar dhan rop
rahi thi. Khet me kichar hi kichar tha. Jiske karan pair kuchar ke andar dhasa
hua tha. Par chudail baar baar bolne lagi ki chal na didi talab ke paas chala
jaye.
Padhe
:-Kaam Wali Reja Ka Bhoot, Chudail Ki Kahani.
Kuchh der aise hi bita. Par kuchh der ke baad wo aurat
boli ki chal talab ke paas chalte hain. Mujhe bhi pani pyas laga hain. Talab
waha se kuchh hi duri par tha. Jab wo aurat pichhe mud kar uske sath sath talab
ki taraf jane lagi. To usne dekha ki uske aage chalne wali aurat ka pao kuchh
ajab tarah ka hain. Uska sharir aage ki taraf tha aur pao pichhe ki taraf muda
hua tha. Uska pair pichhe ki taraf muda hua tha. Jo kichar me dhasne ke baad pata
nahi chalta tha.
Padhe
:- Do Saheli, Darawni Kahani.
Jab pair kichar se bahar ki taraf nikalta to wo pichhe
ki taraf muda hua rahta. Ye dekh kar wo aurat darr gai. Wo janti thi ki chudail
ke pair pichhe ki taraf muda hua hota hain. Puri tarah se darr gai aur waha se
chillate hue bhagi. Aas paas jo auraten dhaan rop rahi thi. We sabhi bhi soch
me pad gaye ki aakhir kaar ise kya hua. Jo chillate hue bhag rahi hain. Iske
bhagne aur chillane ki aawaj sun kar anya auraten bhi soch me pad gai. We sbhi
us se puchhi kya re tumhe kya hua hain.
Padhe
:- Aamavas Ki Raat, Dayan Ki Kahani.
To wo boli ki mere khet me ek chudail hain. Sabhi
auraten uske khet ki taraf dekhne lagi. Sabhi ne dekha ki ek safed sadi pahne
hue. Bahut hi buddhi aurat uske khet me khadi hain. Aur bahut hi jor jor se
hass rahi hain. Ek jawan aurat buddhi aurat me badal chuki thi. Uska darawana
chehra dekh kar sabhi aurat waha se bhagna shuri ki. Sabhi aurat apne apne khet
se nikal kar chillate hue sidhe gaon ki taraf bhagi. Jab sabhi aurat chillate
hue gaon me gai.
Padhe
:-Bharat Ka Bhutiya Railway Station.
To waha par kuchh aadmiyon ne puchha ki tum sabhi ko
kya hua hain. Jo itna dari hui aur chillate hue gaon me aai ho. To we sabhi
boli ki khet me ek chudail hain. Sabhi ne tay kiya ki chal kar dekha jaye ki
sach me khet me chudail hain. Ya auraten jhuth bol rahi hain. Pura pata laga
kar mard sabhi us khet me pahuche jis khet me auraton ne chudail dekha tha.
Padhe
:-Bhatakta Fakir, Ek Fakir Ki Kahani.
Jab waha ja kar dekhe to koi chudail nahi thi. Par
sabhi ne dekha ki do pao ka nisan aage ki taraf tha. Par do pair ka nisan
pichhe ki taraf tha. Sabhi ko pata chal gaya ki is khet me do aurat thi. Ek to
wo jo dhan ropne gai thi aur dusri jiska pair ka nisan pichhe ki taraf tha.
Ye pata lagane me thoda bhi der nahi laga ki jiska
pair pichhe ki taraf tha. Wo hi chudail thi. Log kahne lage ki agar kisi tarah
talab ke paas pahuch jati to. To wo chudail talab me dubo kar use maar hi deti.
Padhe :-Khoon Ki Pyasi Dakini.
Padhe :-Laash Ne Daudaya, Bhoot Ki Kahani.
Padhe :-Machhli Bhat, Chudail Ki Kahani.
Padhe :-Jinn Jinnat Ki Kahani.
Padhe
:-Rani Pokhar, Horror Story.
Padhe
:-Kabr Ki Mitti, Kabr Ki Mitti Churane Se Kya Hota hain.
Padhe
:-Roohani Takat, Bhoot Ki Kahani.
Padhe :-Belgagra Machhli, Bhoot Ki Kahani.
Padhe :- Bhoot Ka Aawaz, Bhoot Ki Kahani.
Padhe :- Gehuman Saanp,
Ek Saanp Ki Kahani.
Padhe :- Aaina Ek Bharm, Bhoo tKi
Kahani.
Padhe:- Raste Ki Chudail, Chudel Ki
Kahani.
Padhe:-Lamba Saya, Jinnat Ki Kahani.
Padhe:- Sui Dhaga, Chudel Ki Kahani.