Khushbu Ka Raaj , Jinn Jinnat Ke Aane Ka Aabhash

Khushbu Ka Raaj , Jinn Jinnat Ke Aane Ka Aabhash.

Bahut se log aise bhi milenge. Jo kisi chij ko tok denge. Par ye aadat galat hain. Jaise ki koi kutta raat ke samay bhokta hain. To usne kisi ko dekha hoga. Ya phir koi kutta achanak se raat ke samay rone lage. To mohalle me kuchh hone wala hain.

Log kutta ke rone ke aawaj ko apsagun mante hain aur ye apsagun hota bhi hain. Main bhi raat ke samay kya din ke samay bhi agar kutta ke rone ka aawaj sun lu. To darr jata hoon. Andar hi andar ghabrahat si hone lagti hain. Mujhe kutta ke rone ka aawaj se darr bhi lagta hain. Kahi kuchh hone wala hain. Jiska aahat kutta ko pahle pata chal jata hain. Par bahut se logo ki aadat hoti hain.

Ki anjan jagah par anjan chij ko tok dete hain. Jo ki bilkul galat hain. Kabhi bhi aisa nahi karna chahiye. Jaise ki koi kisi jagah se gujar raha ho. Aur achanak se use kahi se koi khushbu mahak jaye. Use pata bhi na ho ki khushbu kaha se aa rahi hain. Aur us khusbu ki tarif kar de. Kabhi bhi aisa nahi karna chahiye. Ho sakta hain. Jis raste se wo chal raha ho.

Usi raste par koi aur bhi ho jo dikhai nahi de raha ho. Par wo wahi ho aur khushbu bhi wahi se aa rahi ho. Ho sakta hain ki koi jinn jinnat raste me ho. Jis karan rasta mahak raha ho. Jab bhi jinn jinnat jis raste se gujarte hain. Wo rasta mahakne lagta hain. Bhale hi waha par koi phool ka paudha nahi ho. Par waha par kuchh to jarur hain.

Jinn jinnat bhi hamare aas paas hi rahte hain. Par hamari najar unhe dekh nahi pati hain. Lekin wo ham par najar jamaye hue hain. Isliye raat ke samay jinn jinnat ka naam lene se bhi darr lagta hain. Jis samay jinn jinnat raste se paar ho rahe hote hain. Aur kisi ne use tok diya. Agar jinn jinnat ko uski baat kharab lag gai. To samjho wo use tang jarur karega. Aisa nahi hain ki sirf jinn jinnat kisi ke upar sawar ho jaye. To wo jhumne lagta hain.

Kabhi kabhi hi aisa hota hain. Aksar wo bahut hi khamoshi se apna kaam karte hain. Kisi ko bhanak tak nahi lagti hain. Aur uske zindagi me itne dukh aa jate hain. Jiski usne kabhi kalpana bhi nahi ki hogi. Mere dost ke sath bhi ek aisa hi ghatna ghata. Mera dost kahi ja raha tha.

Raat ka samay tha. Aadhi raat bhi bit chuki thi. Mera dost aur uske sath ek ladka tha. Dono ek sath the. We kahi ja rahe the. Aadhi raat ke samay achanak raste ke un dono ko kahi se khushbu sunghai diya. Khushbu itna achha tha ki dono us khushbu me mugdh ho gaye. Unhe kuchh samajh me nahi aa raha tha.

Aisa laga ki ye raat rani ka khushbu hain. Par aas paas koi bhi raat rani ka paudha nahi tha. Har taraf bade bade ped the. We dono us raste se parichit bhi the. Unhe achchhi tarah se pata tha ki yaha par koi bhi raat rani ka paudha nahi hain. Phir bhi us jagah raat rani phool ka mahak phaila hua tha.

Aadhi raat ke samay sunshan sadak par achanak se raat rani phool ka mahak kaha se aaya. Ye wo dono nahi jante the. Mere dost ko mahak achha laga. Bas usne isi jagah galti kar di. Usne tok hi diya. Usne kaha ki dost is jagah kitni achchhi khushbu aa rahi hain. Jab ki yaha par koi bhi raat rani ka paudha nahi hain.

Par is phool ki mahak bahut hi achchhi lag rahi hain. Itna bol kar wo apne raste chal diya. Use pata nahi tha ki usi raste me ek jinn bhi kahi ja raha tha. Ye khushbu usi ke badan se aa rahi thi. We dono jinn ko to nahi dekhe par jinn un dono ko dekh raha tha. Jab mera dost apne ghar pahucha to ajib ajib tarah ke ghatne hone lage. Use aisa laga ki uske sath koi hain.

Par wo dikh nahi raha hain. Jab wo soya to bhi use bahut darwane sapne aane lage. Koi sapne me aa kar use dhamkane laga. Bolne laga ki tumne mujhe tok kar achchha nahi kiya. Subah tak to uska halat itna kharab ho gaya. Ki wo pagal ki tarah harkat karne laga. Ab uske maa pita ko bhi chinta hone lagi ki kal tak to ye thik thak tha. Achanak subah subah ise kya ho gaya.

Logo ne bhi kaha ki iska dimagi santulan bigar gaya hain. Ise kisi doctor se ilaz karwana padega. Use pagal khane le gaye. Waha par uska ilaz chala. Par koi fark nahi pada. Wo bahut hi dino tak isi halat me raha. Uske pita to ummid chhod hi chuke the. Ek aadmi ne kaha ki isko ek baar jhar phook karwa kar dekho. Bahut jagah jhar phook bhi hua par koi fark nahi pada. Par isi dauran unke ghar walo ko pata bhi chal gaya ki iske upar koi jinn sawar hain.

Unhe pata chala ki peer shaheb ke majar me jhar phook hota hain. Uske ghar wale use le kar peer shaheb ke majar me gaye. Waha par uska jhar phook hua. Bahut jhar phook karne ke baad uske upar se jinn jinnat ka saya hataya gaya. Jinn jinnat ka saya bhagana koi aam baat nahi hain. Bahut se jinn jinnat to chupke se kisi ke upar sawar ho jate hain.

Jiska pata use sari umr nahi chalta hain. Wo us se har wo galat kaam karwate hain. Jise wo karna nahi chahta hain. Par jindagi bhar dukh hi bhaogte hain. Aur iska ilzam upar wale ko dete hain.