Kichin Ki Kahani , Ek Chudail.
Bhoot pret ke bahut se prakar hote hain. Bhoot pret se
matlab kisi ki aatma. Jo marr jane ke baad bechain ho. Jise shanti nahi mila
ho. Uska aabhash hona hi bhoot pret kahlata hain. Par bhoot pret ya chudail ke
bahut se prakar hote hain.
Padhe
:-Khoon Ki Pyasi Chudail , Ek Chudail Ki Kahani.
Jaise ki koi aadmi marne ke baad koi bhoot banta hain
to koi baital. Ya phir koi nar pishach. Usi tarah koi aurat marr jaye to wo
chudail dakini ya phir kichin ban jati hain. Jiske aatma ko shanti na mile aur
bahut dino tak isi lok me bhatakte rahe. Wo bhoot pret ya chudail ya kuchh aur
hi roop me isi lok me rah jati hain.
Padhe
:-Andhere Me Chudail Ki Aahat , Chudel Ki Kahani.
Jiske upar kahani ya kisse bante hain. Kuchh bhoot
pret ya kisi ki aatma achchhi hoti hain. To kuchh aatma bahut hi bure swabhao
ka hota hain. Sirf kast pahuchana hi uska kaam hain. Par ek takatwar aur
achchha aatma insaan ka raksha bhi karta hain. Aisa mana jata hain ki jab koi
garbwati mahila marti hain. To kichin ban jati hain. Ye bhi chudail ki tarah hi
hoti hain.
Padhe
:-Ajib Si Ghabrahat , Bhoot Pret Ki Kahani.
Par kichin hamesha garvwati mahila par hamla karti hain.
Wo use darati hain aur garv nast kar deti hain. Aisi aatma bahut hi satir hoti
hain. Is liye kisi garvwati mahila ko akele nahi chhoda jata hain. Darr ek aisa
karan hain jis se garv nast ho sakta hain. Kichin bahut hi chalaki se garb nast
kar deti hain.
Padhe
:-Raste Me Betal , Ek Betal Ki Kahani.
Chudail bhi aisi hi hoti hain. Par ye aksar koi nai
dulhan ya kuwari ladki kisi karan wash marr jaye to chudail ban jati hain.
Mujhe ek baar kichin mili thi. Jiske bare me aaj main yaha likh raha hoon.
Bahut pahle ki baat hain. Us waqt main chhattisgarh ke bhatapara naam ke jagah
par kaam kar raha tha.
Padhe
:-Bhootiya School , Bhoot Pret Chudail Ki Kahani.
Waise to main bhatapara se satrah kilo meter aur andar
ek naye plant me kaam kar raha tha. Waha par ek naya plant ban raha tha. Jisme
kaam karne ke liye mujhe ek chhota sa Contract mila hua tha. Mere kuchh aadmi
the jise main waha lagaya tha. Main bhi bich bich me jata rahta tha. Majdur
achchhi tarah se kaam kar rahe hain ya nahi.
Padhe
:-Jinn Baba Ka Sthan , Jinn Jinnat Ki Kahani.
Ye dekhna padta tha. Ek baar main company ke gadi se
waha pahucha. Par sham ho gaya. Main socha ki aaj yahi ruk jata hoon. Kal subah
yaha se jaunga. Sham me main apne office me tha. Tabhi mera site incharge aaya
aur mujh se bola ki sir mujhe abhi ghar jana hoga.
Padhe
:-Chamatkari Baba , Ek Baba Ki Kahani.
Abhi phone aaya tha ki meri maa ka tabiyat bahut jyada
kharab hain. Main us se bola ki thik hain kal chale jana. Par wo jidd karne
laga ki mujhe abhi nikalna padega. Main bola ki abhi to bhatapada station tak
jana muskil hain. Abhi koi gadi milega mujhe nahi lagta hain. Par wo jane ka
jidd karne laga. Kahne laga ki paidal jaunga. Agar raste me koi gadi mil gaya
to us me baith jaunga.
Padhe
:-Jinn Jinnat Ki Kahani, Jinn Jinnat Ki Duniya.
Bahut dur tak jana tha. Itna dur agar sham me nikla
jaye to aadha raat ke samay pahuchenge. Sham hote hi koi gadi mil jaye ye bahut
hi kam ummid tha. Main use do char baar samjhaya par wo jane ki jidd me hi
raha. Ab socha ki chalo ye akele kya jayega. Iske sath main bhi chalta hoon.
Agar rasta me koi gadi mil gaya to thik hain. Nahi to paidal hi chalna padega.
Padhe
:-Tantra Vidya Ka Asar , Jadu Tona Ki Kahani.
Ye soch kar main us se bola ki main bhi sath chalta
hoon. Abhi akele jana thik nahi hain. Waise bhi ye jagah hamare liye anjan
hain. Ham is jagah ke bare me jyada kuchh nahi jante hain. Main us bola ki main
bhi sath chalta hoon. Ham dono tayyar hue aur waha se nikal gaye. Satrah
kilometer paidal jana tha.
Padhe
:-Chudail Ya Kuchh Aur ? chudail Ki Kahani.
Mujhe pata tha ki sham hote hi gadi mil pana namunkin
hain. Par is ummid se chal diye ki ho sakta hain koi gadi mil jaye. Sham ke
panch baje waha se chale. Rasta sidha tha. Par rasta ke charo taraf ghana
jungle tha. Charo taraf sannata hi sannata. Chale jaa rahe hain. Sham raat me
badal gaya. Par ham dono bhatapara railway station jane ke liye nikal chuke
the.
Padhe
:-Ghadi Ka Sui, Bhoot Ki Kahani.
Jaise hi sham raat me badla ki ham ne dekha ek bilkul
kale rang ka chidiya. Hamare aage aage udne lagi. Chandani raat thi. Chand ki
roshani me wo chidiya saaf dikh rahi thi. Bilkul kale rang ka bada sa chidiya.
Nahi pata koun sa chidiya tha.
Padhe
:-Kaam Wali Reja Ka Bhoot, Chudail Ki Kahani.
Ham chal rahe the aur wo kabhi ham se aage udd kar
jati aur kisi ped par baith jati. Jor jor se bolne lagti. Hame darr bhi lag
raha tha. Ki aakhir kaar ye chidiya hamara pichha kyu kar rahi hain. Kabhi
kabhi hamare aage sadak par baith kar hamara rasta rokne ki koshish bhi karti.
Padhe
:- Do Saheli, Darawni Kahani.
Raat ka sannata. Jungle se jhingur ke bolne ka saaf
aawaj aa raha tha. Kuchh samajh me nahi aa raha tha. Jab ham us chidiya ke paas
pahuchte to udd kar phir kuchh ja kar sadak par baith jati. Aur hamara waha
aane ka intejar karti. Aisa kyu ho raha tha hame nahi pata.
Padhe
:- Aamavas Ki Raat, Dayan Ki Kahani.
Jo aadmi mere sath tha. Wo bola ki jarur ye chidiya
kichin hogi. Jo hamara pichha kar rahi hain. Jaha ham dare ki ye hame maar
degi. Kabhi kabhi udte hue hamare sar ke upar se paar hoti. Aisa lagta ki ye
apne choch se hamare sar par maregi. Uske baad raste ke bicho bich ja kar baith
jati. Kuchh samajh pana bahut muskil tha.
Padhe
:-Bharat Ka Bhutiya Railway Station.
Hamare pichhe ek kichin pad chuki thi. Jo ek chudail
hoti hain. Ham jaan chuke the ki ye kuchh aur nahi balki chudail hi hain. Uska harkat
hame darne par majbur kar raha tha. Chidiya hamara pichha kar rahi thi aur hame
aage jane se rok rahi thi. Bahut der tak chalna tha. Koi gadi bhi nahi dikh
raha tha. Jis par baith kar chal dete.
Padhe
:-Bhatakta Fakir, Ek Fakir Ki Kahani.
Waise bhi ham bahut dur tak ja chuke the. Raat aur ghana
ho gaya. Par chidiya hamara pichha karna band nahi ki. Ham bhi soch liye jo
hoga dekha jayega. Marna hain to marr jayenge. Par himmat nahi harenge. Sham ke
panch baje chalna shuru kiye aur raat ke gyarah baje bhatapara pahuche. Jab
bhatapara railway station ke paas pahuche tab bhi wo kala rang ka chidiya
hamara puchha kar rahi thi.
Par jaise hi ham station ke samne pahuche. To dekhe ki
wo chidiya ek aurat ka roop badal kar hamare taraf dekh rahi thi. Ham bhi us
aurat ki taraf dekh rahe the. Par wo aurat wapas mudi aur jis raste se ham aaye
the. Usi sunshan raste ki taraf chale gai. Station pahuche to pata chala ki
sarnath express aane wali hain. Main bilshpur ka ticket kataya aur wo chhapra
ka. Ham train me baithe aur sochne lage ki agar kichin chah leti ki hame marna
hain. To bahut hi aasni se maar sakti thi.
Padhe :-Khoon Ki Pyasi Dakini.
Par ek baat to tay tha ki wo koi chidiya nahi balki
kichin chudail hi thi. Kyu ki hamari najar ke samne hi usne apna bhesh badla
tha. Ek chidiya se aurat ban gai. Nahi pata wo kya chah rahi thi. Par ham
surakshit the.
Padhe :-Laash Ne Daudaya, Bhoot Ki Kahani.
Padhe :-Machhli Bhat, Chudail Ki Kahani.
Padhe :-Jinn Jinnat Ki Kahani.
Padhe
:-Rani Pokhar, Horror Story.
Padhe
:-Kabr Ki Mitti, Kabr Ki Mitti Churane Se Kya Hota hain.
Padhe
:-Roohani Takat, Bhoot Ki Kahani.
Padhe
:-Belgagra Machhli, Bhoot Ki Kahani.
Padhe :- Bhoot Ka Aawaz, Bhoot Ki Kahani.
Padhe :- Gehuman Saanp,
Ek Saanp Ki Kahani.
Padhe :- Aaina Ek Bharm, Bhoo tKi
Kahani.
Padhe:- Raste Ki Chudail, Chudel Ki
Kahani.
Padhe:-Lamba Saya, Jinnat Ki Kahani.
Padhe:- Sui Dhaga, Chudel Ki Kahani.