Kitchen Safety - Rasoi Suraksha.
Ham bahut se suraksha ke bare me jante hain. Surakshit
kaise raha jaye ye bhi jante hain. Par bahut baar ham chhoti chhoti baaton ko
ignore kar dete hain. Par chhoti chhoti laparwahi me hi bahut bada durghatna
chhupa rahta hain.
Kitchen safety bhi
aisa hi hain. Ham bedharak kitchen me gaye gas chalu kiye aur khana banane
lage. Par kabhi kitchen suraksha ke bare me nahi sochte hain. Kitchen suraksha
bahut hi jaruri hain. Jo bhi ghar me khana banata ho use iske bare me pata hona
chahiye.
Jab ghar ke andar
khana bana rahe ho to. Waha par jyadatar LPG ( Liquefy Petroleum Gas ) ka
jarurat padta hain. LPG ek tarah ka jwalanshil gas hain. Jis me aag bahut hi
jyaldi pakadta hain. Gas jala kar hi khana banaya jata hain.
Par ye gas khana
banane ke liye jitna aaramdeh hain. Us se kahi jyada khatarnak bhi hain. Ek
chhoti si laparwahi kisi bahut bade durghatna ka karan bhi ban sakti hain.
Khana banate samay hamesha satark rahne ki jarurat hain.
Kitchen me sirf
gas hi nahi balki tel bhi hote hain. Isme bhi aag bahut hi aasani se lag sakta
hain. Kitchen ka sahi se rakh rakhao kitchen safety me aata hain. Kitchen ke
kis saman ko kaha rakhna hain.
Khana banate samay
kis baat ka dhyan rakhna chahiye. Gas ko hamesha kaha rakhna chahiye. Tel wale
saman ko kaha rakhna chahiye. Gas cylinder ko kaise pahchane. Galti se agar
cylinder tak aag pahuch jaye to kya karna chahiye. In sabhi baaton ka hamesha
dhyan rakhna chahiye.
Aage chal kar is
tarah ke nukkar sabha ka aayojan bhi kiya jayega. Jis se kitchen safety ke bare
me har kisi ko pata chale. Isme demo kar ke bhi dikhaya jayega ki aapat ki
sthiti me kis tarah se action liya jaye.
Ghar me jaha khana
banane ka kamra hota hain. Waha par bahut se jwalanshil padarth bhi hote hain.
Agar aag jyada badh jaye to pure ghar ko apne chapet me le sakta hain. Kitchen
safety me sab se jyada khatra LPG se hota hain.
Jis se aag laga
kar khana banana padta hain. Kuchh baaten aise hote hain. Jiska palan kiya jana
chahiye. Jab bhi subah khana banane ki tayyari kare to sab se pahle LPG
cylinder ka hose pipe ko jarur check kar le.
Ye kahi se leakage
to nahi hain. Ham pipe ke leakage ko khule aankhon se dekh kar pata nahi laga
sakte hain. Ye bahut hi barik hota hain. Iske liye ham soap solution ka istemal
kar sakte hain.
Soap solution thik
usi tarah hota hain. Jis tarah cycle ke tube ka puncher check kiya jata hain.
Tube ko pani me dubo kar check kiya jata hain. Jaha se bulbula nikalta ho.
Waha par puncher
banaya jata hain. Thik usi tarah LPG ka pipe check karne ke liye soap solution
ka upyog kiya jata hain. Ek dabba me surf ka pani ko mila kar rakh le. Use LPG
ke hose pipe par lagane se jaha bhi leakage hoga.
Waha se surf ka
bulbula niklega. Is se pata chal jayega ki hose pipe me leakage kaha hain. Ek
baar pata chal jaye to ham aaram se connector laga kar use thik kar sakte hain.
Hamesha dhyan
rakhe ki jaha par khana banaya ja raha ho. Waha se LPG cylinder lagbhag teen
meter ki duri par rahe. Wo bhi khule jagah par. Agar galti se cylinder me aag
pakad bhi le to ghabrana nahi chahiye. Cylinder ke andar me gas ka dabao itna
jyada hota hain ki aag jyaldi gas tak nahi pahuch sakta hain.
Aag cylinder ke
bahar hi jalega. Agar aag bujhane nahi aata ho to cylinder ko utha kar khule
jagah par le jaye. Aisa jagah jaha par kisi tarah koi bhi jaan wo maal ka
nuksan na ho. Aag lagne ke baad agar cylinder blast bhi hota hoga.
Par iske liye
paryapt samay bhi lagta hain. Jitne der me risque operation bhi kiya ja sakta
hain. Ye kaam ham kisi dande ke madad se kar sakte hain. Aaram se dande ko cylinder
ke ring me phasa kar bahar rakh sakte hain.
Par LPG cylinder
ke aag bujhane ka ek aasan tarika hain. Koi mota sa bora ko bhigo le aur use
cylinder ke upar rakh kar achchhi tarah se dhak de. Waha se kuchh dur hat jaye.
Ham dekhenge ki aag dhire dhire bujh jayegi.
Aag bujhne ka sab
se bada karan air supply ko rokna hain. Jab hawa ka maujudgi khatm ho jayega to
aag khud ba khud bujh jayega. Hamesha yaad rakhna chahiye ki aag jalne ke liye
teen chijon ka milna jaruri hain.
Sab se pahla
indhan dusra oxygen aur tisra taap matab heat. Jab ye teeno pratikul matra me
aapas me milta hain. Tabhi aag jalta hain. Ham cylinder ke upar kisi mote bore
ko rakh kar oxygen ke supply ko rok dete hain. Jis se aag bujh jata hain.
Isi tarah jab
khana bana rahe ho aur kadhai ka tel bahut jyada garm ho kar aag pakad le to us
sthiti me ham kya kar sakte hain. Agar khana banate samay kadhai me aag pakad
le.
To Sab se pahle
gas ke supply ko band kar de. Uske baad ek bartan me surf ka pani le aur use
tel ke andar daal de. Is se tel me bulbula niklega aur aag bujh jayega. Kabhi
bhi aag bujhane ke liye sidhe pani ka upyog na kare.
Kyu ki tel ke
sthiti me pani niche chala jayega aur tel upar aa jayega. Is se koi fayada nahi
hoga. Par surf ka pani tel me jhaag bana dega. Jis se tel aur oxygen ka sampark
toot jayega aur aag aasani se bujh jayega.
Ho sake to kitchen
room me chhota wala foam type fire extinguisher jarur rakhe. Is se tel ka aag
bujhane me madad milega. Dry carbon powder wale fire extinguisher se LPG
cylinder me lage aag ko bujhaya ja sakta hain. Hose pipe ko tight karne ke liye
jubilee clamp ka upyog kare.
Sab se jaruri jab
bhi apna LPG cylinder exchange kare to cylinder ka expire date jarur dekhe.
Cylinder ka expire date kaise check kare ham apne lekh me bata chuke hain.
Use ek baar dhyan
se padh le. Ya kisi expert se salah maswara jarur le. Aag kya hain aur is par
kaise kabu paa sakte hain. Iski jankari bhi jaruri hain. Aap ko hamara ye lekh
kaisa laga ye hame jarur bataye. Hamare comment box me comment kar ke hame
sujhao bhi de sakte hain.