Kobra Aur Murgi,- khatarnak Gehuman Saanp.
Bahut pahle ki
baat hain. Mere ghar me bakri murgi aadi janwar pala jata tha. Par ab to gaon
dehat me bhi koi murgi nahi palta hain. Gaon ke log kahte hain. Ki murgi bakri
palne se kya fayada. Agar kisi ke khet me chale gai. Aur kisi ka kuchh nuksan
ho gaya to jhagra ho jayega. Par pahle ke log murgi bakri aadi janwar palte
the. Unhe achchha lagata tha. Ghar ke paas hi ek darba bana dete jis me murgi
rahti. Mere ghar me bhi pahle murgi pala jata tha.
Par ab nahi ab ke
aadmi bahut hi saukhin hain. Koi apna samay in par bitana hi nahi chahta hain.
Murga murgi palna ye sab ab bite samay ki baat ho gai. Ek baar ki baat hain.
Mere ghar me bahut se murgi pala hua tha. Un sabhi ko rahne ke liye bahut hi
bada darba bana hua tha. Murgi din bhar ghar ke aas paas charti aur sham hote
hi apne darbe me wapas aa jati. Ghar me murgi bahut hi jyada tha. Kabhi kabhi
to wo mere ghar ke angan me jo amrud ka ped tha us par bhi raat me rahti. Ham
sabhi murgi bahut hi tarike se palte the.
Jo murgi anda deti
use anya murgiyo se alag kar diya jata. Bahut hi dekh rekh me murgi pala jata.
Jo murgi anda par baithi use ghar me ya phir angan ke kisi hisse me rakha jata.
Anda par bathne wali murgi ka bishesh dhyan rakha jata tha. Samay samay par ja
kar use dekha jata ki wo thik se hain ya nahi. Ek baar ki baat hain. Ham ne ek
murgi ko anda par baithaya tha. Apne ghar ke angan me bane hue mitti ke chulhe
ke andar use baithya tha. Mitti ka chulha bahut hi purana tha. Ab us me khana
banane ka kaam nahi hota tha. Jis karan us chulhe ko upar se band kar ke uske
andar murgi ko baithya tha. Samay samay par ja kar check bhi karte ki murgi
sahi se hain ya nahi.
Murgi chulha ke
andar rahti aur anda ko sewti. Ham sabhi uska bahut hi khyal bhi rakhte. Par
jab bhi subah ham murgi ke ando ko ginte to ek anda kam hi milta. Hame shaq hua
ki jarur murgi ando ko phor kar pi jati hain. Par aadhi raat ke samay murgi ke
katkatane ki aawaj aati. Thodi der tak murgi katkatati aur phir shant ho jati.
Ham sabhi nind me rahte jis wajah se murgi ke katkatane ki aawaj to sunte par
use ansuna kar ke chhod dete. Aadhi raat ko koun ghar se bahar niklega. Par jab
subah dekhte to murgi ka ek anda kam milta.
Ham sabhi murgi
par hi shaq karte. Ki yahi ando ko phor kar pi jati hain. Aisa karte karte
murgi ka sabhi anda khatm ho gaya. Ab murgi bina anda ke us purane chulha ke
andar baithi hui thi. Us raat bhi ham murgi ko dekh kar apne ghar ke andar ja
kar so gaye. Jab aadha raat bit gaya to. Phir se murgi ke katkatane ki aawaj aane
lagi. Thoda der tak murgi katkatai aur khamosh ho gai. Aadhi raat ke baad jab
ye aawaj mere pita ke kaano tak gai. To wo ghar se bahar nikle. Apne haath me
lalten liye hue the.
Jab ghar se bahar
nikal kar dekhte hain to tang rah gaye. Unhone lalten ke ujale me dekha ki ek
bahut hi bada gehuman saanp. Jise kobra bhi kahte hain. Wo murgi ke darbe ke
andar ghusa hua tha. Chulha ke upar ka thoda bhag khula hua tha. Jis bhag se wo
murgi ke darbe ke andar tha. Uska pura sharir darbe ke bahar angan me tha. Kobra
murgi ko nigalna chah raha tha. Jis karan uska muh chulha ke andar tha. Aangan
me kobra ka sharir pasra hua tha.
Lamba sa bhayanak
kobra jo ki mere ghar ke angan me aa chuka tha. Mere pita jab use dekhe to jor
se chilla kar mujhe bulaye. Main aadhi raat ke samay jaga aur apne pita Ji ke
paas chala gaya. Unhone mujhe us gehuman saanp ko dikhaya. Us bhayanak gehuman
saanp ko dekh kar main darr gaya. Ab kya kiya jaye kuchh samajh me nahi aa raha
tha. Saanp ko marna koi aasan baat nahi hota hain. Main apne ghar se torch le
aaya. Use torch ke ujale me dekha.
Saanp ko us samay
tak maar pana muskil hain. Jab tak uske sar par nahi mara jaye. Par saanp ka
sar to chulhe ke andar tha. Mere pita ji ne kaha ki is kobra ko marna padega.
Nahi to dhire dhire kar ke hamari sari murgi kha jayega. Par use maar pana itna
bhi aasan nahi tha. Main ek majbut danda le kar aa chuka tha. Maine apne pita
se kaha ki aap torch dikhaye main ise marta hoon. Mere pita ji torch dikhane
lage. Main lathi se chulhe ka dhakkan hataya. Dhakkan hata kar dekh to dekhta
hoon.
Ki kobra murgi ka
gardan apne muh me liye hue hain. Murgi mari padi hain aur kobra use dhire
dhire nigal raha hain. Ab us waqt chulhe ke andar lathi chala pana namunkin
tha. Ab kis tarah kobra ko mara jaye kuchh samajh nahi aa raha tha. Lathi se
maar pana muskil tha. Agar kobra murgi ko ugal deta hain to palat kar hame kaat
lega. Kobra ka kata hua insaan pani tak nahi mangta hain. Jitna jyald ho sake
hame kobra ko maar dena tha. Main apne pita se bola ki main talwar le kar aata
hoon. Aaj ise do bhag me kaat denge. Main ghar ke andar gaya aur talwar le kar
aaya.
Apne pita ji ko
lathi pakra diya. Main jaise hi talwar se us kobra ke do tukre kiya. Ki kobra
palat kar hame katna chaha. Bahut hi jor jor se fufkari marne laga. Mere pita
ke hain me torch tha. Wo torch chhor kar lathi chalane lage. Lathi thik uske
sar par laga. Nahi pata andhere me kitna lathi use laga pata nahi. Par jab
torch utha kar dekhe to kobra mar chuka tha. Agar thoda bhi chuk ho jata to wo
gehuman saanp hame dash leta. Saanp ka jab tak mundi achchhi tarah se nahi
kuchla jaye. Tab tak yakin nahi karna chahiye ki ye marr chuka hain. Saanp
marne ke baad bhi dash sakta hain.
Isliye hamne uska
mundi achchhi tarah se kuchal diya. Ab hame pata chala ki raat ke samay murgi
kyu katkatati thi. Kobra roj uska ek anda kha jata tha. Jab sabhi anda ko kha
gaya to usne murgi ko khana chaha.