Kya Aatma Amar Hai , Horror Story.
Aatma shabd dimag
me aate hi insan ke dimag me. Kisi murda aadmi ki tasbir daurne lagti hain. Koi
aadmi mar gaya hoga aur uski aatma sharir se bahar nikal gaya hain. Par kuchh
bhi ho jaye. Aatma ka astitwa jab tak hain. Tab tak wo hain. Matlab insan marr
sakta hain. Par aatma kabhi bhi nahi marr sakti hain.
Aatma hain aur
aatma amar hain. Log sochte hain ki kya aatma amar hain? Par main kahunga ki
aatma amar hain. Wo kabhi marr hi nahi sakti hain. Insan ka sharir mitti me mil
sakta hain par aatma nahi. Kya aatma amar hain? Ye puchhna hi bekar hain. Kitna
ajib hain. Marr kar sharir mitti me mil jata hain aur aatma upar ki taraf chala
jata hain.
Aaj main aap ko ek
aisa hi kahani bataunga. Jis se aap ko bhi bishwash ho jayega ki aatma amar
hain. Mera naam ibrahim hain. Main Rajasthan ka rahne wala hoon. Mere do
bachche hain. Ek ladka aur ek ladki. Do bachche hain par dukh ki baat hain ki
meri patni ka dehant ho chuka hain.
Lagbhag ek saal
pahle meri patni ka dehant ho gaya. Us waqt main Delhi me kaam kar raha tha.
Aaj bhi main Delhi me kaam karta hoon. Kya karu roji roti ka sawal hain. Kitne
dino tak apni patni ke yaad me ghar par rahta. Kahi na kahi kaam to karna hi
tha. So main ab Delhi me kaam kar raha hoon. Par meri patni ke bichharne ka gam
aaj bhi mere sine me hain.
Main apni patni ko
bahut chahta tha aur chahta rahunga. Uski yaad aaj bhi mere sine me hain. Main apni
patni ko kabhi bhool nahi sakta hoon. Wo bhi mujh se bahut pyar karti thi. Par
nahi pata kab koun sa insan dhokha de de. Koun sa insan kab kise bich raste me
chhod kar chala jaye. Ye koi nahi janta hain. Jab tak sharir me rooh hain tab
tak koi zinda hain. Jahan aatma nikla sab kuchh barbad ho jata hain.
Na jane sath
chhodne wala aadmi kahan chala jata hain. Jo kabhi wapas laut kar nahi aata
hain. Main bhi apni patni ke paas chala jata par mere jimme usne do bachchon ko
chhod rakha hain. Ab unka hi dekh rekh karna hain. Meri patni jise ek gambhir
bimari ho gai thi. Hamare paas itna paise nahi the ki main uska achchha ilaz
kara sakta.
Apne se jo ho saka
maine kiya. Jitna ilaz kara sakta tha utna karaya. Par kismat ko kuchh aur hi
manjur tha. Wo is duniya ko chhod kar chale gai do bachchon ka bhar mere jimme
chhod di. Usne marne se pahle kaha tha ki mere upar itna paisa kharch karna
bekar hain. Aap in paison ko bacha kar rakhiye. Abhi hamare bachche chhote
chhote hain. Unka bhawishya sudharne me kaam aayega. Usne mujh se wachan liya
tha ki main apne dono bachchon ka achchhi tarah se dekh bhal karunga.
Wo mujhe chhod kar
chale gai aur do bachchon ki jimmedari mere kandhe par aa gai. Ek maa apne
bachchon ka jitna dekh bhal kar sakti hain. Utna dekh bhal main kabhi nahi kar
sakta hoon. Wo apne kaam me bahut nipun thi. Wo chhoti se chhoti baaton ka
khayal rakhti thi. Par us jaisa main nahi hoon. Uski kami mujhe aaj bhi bahut
khalti hain. Wo is duniya se ja chuki thi. Kuchh din tak to main ghar par ruka.
Par uske baad shahar kamane ke liye chala aaya. Apne dono bachchon ko main apni
bahan ke hawale kar diya.
Uske paas apne
bachchon ko chhod kar main Delhi chala aaya. Yahan par main bahut dino tak kaam
kiya. Jitna paisa kamata tha. Us me se jyadatar paisa apne ghar bhej deta tha.
Taki mere bachchon ka sahi se parwarish ho paye. Unhe kisi chij ka kami na ho.
Bachche apne bua ke paas the. Mujhe lag raha tha ki shayad meri bahan unka sahi
se khayal rakh rahi hogi.
Par aisa nahi hua.
Ek raat main soya hua tha. Ki mere sapne me meri patni aai aur mujh se boli ki
aap yahan hain aur hamare bachche ghar me kast jhel rahe hain. Unhe bhi apne
sath rakh ligiye. Unhe wahan khane ka bahut dikkat ho raha hain.unka waha koi
dekh bhal nahi kar raha hain. Maine jab sapne me apni patni ko dekha to soch me
pad gaya ki ho sakta hain mere bachche ghar me thik se nahi hain. Jab subah hua
to maine apne ghar phone lagaya aur baat kiya.
Ki wahan sab kaise
hain. Bachche thik se hain ya nahi. To jawab mila ki sab sahi se hain. Bachche
bhi thik se hain. Main bhi befikr ho gaya ki chalo sab koi thik se hain. Ho
sakta hain mujhe wahan ho gaya hoga. Main apni patni ko bahut yaad karta hoon
jis wajah se wo mere sapne me aai thi. Usi din main duty ja raha tha. Tabhi
meri najar ek aurat par padi. Wo lagatar mujhe dekh rahi thi.
Jab meri najar us
par gai. To mujhe khud par bishwash kar pana muskil ho gaya. Jo aurat sadak ke
us paar khadi ho kar mujhe lagatar dekh rahi thi. Uska shaql aur surat bilkul
meri patni jaisi hi thi. Main soch me pad gaya ki meri patni yahan kaise aa
gai. Phir socha ki nahi ye meri patni nahi ho sakti hain. Kyu ki meri patni ke
mare to bahut din bit chuka tha.
Wo to bahut din
pahle hi mujhe chhod kar ja chuki hain. Phir bhi sharir ke andar ajib sa
ghabrahat hone laga. Uske baad main kaam par chala gaya. Par ab kaam karne me
thoda bhi mann nahi lag raha tha. Mujhe baar baar bechaini jaisa lagne laga.
Main sham ke samay apne ghar wapas chala aaya. Raat ka khana banaya aur kha kar
so gaya.
Jab mujhe gahri
nind aai to phir se meri patni mere sapne me aa gai. Aur bolne lagi ki ghar ja
kar bachchon ko le aaiye we dono wahan par sahi se nahi hain. Subah hua to
mujhe ajib sa lagne laga. Main soch me pad gaya ki baar baar meri patni mujhe
ghar jane ke liye kyu bol rahi hain. Ab mera mann kaam par lag hi nahi raha
tha. Mujhe baar baar apni patni ki kahi hui baat yaad aa rahi thi.
Main ab ghar jane
ka soch liya. Main apne company se chhuti liya aur ghar ke liye rawana ho gaya.
Ghar pahuch kar sabhi se mila. Jab apne bachchon ko dekha to mujhe aisa laga ki
sach me sahi se nahi hain. Koi baat jarur hain. Us din main gaon me kahi gaya
hua tha. Jab wapas aa kar dekha ki mere dono bachche ghar ke ek kone me hain.
Main unke paas gaya aur un se puchha ki kya baat hain. Jo aap itne udas hain.
To mere dono
bachche bole ki maa aai thi. Wo ham se boli ki ab rona mat dekho tumhare papa
aaye hue hain. Wo tum dono ko le kar jayenge aur aap dono ka bahut khyal
rakhenge. Mujhe aisa laga ki jaise us ne hi mujhe ghar me bulaya ho. Maine un
se puchha ki aap ki buaa aap ka dekh bhal karti hain ya nahi. To bachche bole
wo hame kabhi khana deti hain aur kabhi bhukhe hi chhod deti hain.
Jab maa jinda thi
to wo hamara kitna khayal rakhti thi. Wo sahi samay par hame khana bhi deti aur
bahut pyar bhi karti. Par ab wo bahut kam hamare paas aati hain. Mujhe apne
bachchon ki halat dekh kar rona aa gaya. Jab ki main sahi samay par ghar paisa
bhej deta hoon. Phir bhi mere bachchon ka sahi se dekh bhal nahi hota hain. Maa
maa hoti hain. Uska jagah koi nahi le sakta hain.
Main apne bachchon
ko le kar Delhi chala aaya. Wahi par unka admission kara diya hoon. Aur mujh se
jitna ho sakta hain. Main unki dekha bhaal karta hoon. Agar koi mujh se puchhe
ki kya aatma amar hain? To mera jawab hoga. Haan aatma amar hain. Jo kabhi marr
kar bhi nahi marti hain.