Mannat Kyu Nahi Mange , Darr Ya Hakikat Ki Kahani

 Mannat Kyu Nahi Mange , Darr Ya Hakikat Ki Kahani.

Mannat shabd dimag me aate hi aisa lagat hain. Ki koi kisi kaam ko pura karne ke liye bhagwan se kuchh manga raha hain. Aur apne kaam ko pura ho jane se kuchh chahrawa chahrayega. Par mannat kyu nahi mange ye bhi ek sawal hai. Insaan ki fitrat hain. Ki chhoti se chhoti baat par bhi mannat mang lete hain. Mannat mangna achchhi baat hain.

Par kai baar insaan ye bhool jate hain. Ki usne kahi par mannat mangi thi. Uska kaam pura ho jata hain. Par wo mannat ko bhool jata hain. Jo ki uske liye bahut hi hanikarak hain. Kahi bhi mannat mang lena aur use pura na karna. Is se achchha hain ki mannat nahi manga jaye. Mannat kyu nahi mange. Maine bhi ek baar mannat manga tha. Jise bhool gaya. Apna mannat ko pura nahi kar paya jiska khamiyaja mujhe bahut dino tak bhogna pada.

Mera naam anil kumar hain. Main waise electrical diploma kiya hoon. Par diploma karne ke baad bhi mujhe achchha job nahi mila tha. Karan bahut hi gambhir tha. Maine wahi galti kiya jo mujhe karna nahi chahiye tha. Jab main polytechnic college me padh raha tha. To us waqt maine bhagwan se prathna kiya tha. Ki agar main diploma me paas ho junaga to mandir me aaunga aur parsad chahraunga.

Par aisa nahi hua. Maine aisa nahi kiya. Ek din main apne doston ke sath kahi ja raha tha. Rasta me ek mandir padta tha. Mandir to koi bahut bada nahi tha. Chhota sa mandir tha. Main bus se apne doston ke sath tha. Jab bus mandir ke paas pahuchi to maine mann hi mann bhagwan ko pranaam kiya. Aur mann hi mann bhagwan se prathna kiya ki. Hey bhagwan agar main polytechnic ke final exam me achchhe number se paas ho jaunga to mandir aaunga. Bhagwan ke darshan karunga aur prasad chahraunga.

Maine anjane me hi ye mannat mang liya. Uske baad main bhool gaya. Main polytechnic exam achchhe number se paas bhi kar gaya. Par mandir ja kar darshan nahi kiya. Din bit gaye. Main apne ghar wapas aa gaya. Mujhe government job karna tha. Isliye main government job ka tayyari karne laga.

Job ke liye main din raat tayyari karne laga. Jaha kahi exam hota main ja kar exam deta. Par bahut tayyari karne ke baad bhi mera kahi selection nahi ho paa raha tha. Dhire dhire din bit gaye. Main ek garib ghar se tha. Jis wajah se mujhe kaam milna bahut jaruri tha. Kai saal tak main tayyari kiya par kahi kaam nahi mil paya.

Ant me thak haar kar main kahi job karne ka socha. Main apne ghar se dur chala gaya. Mera ek dost ka Bhai ek company me fitter ka kaam karta tha. Main uske paas chala gaya. Main naya tha. Mujhe koi kaam nahi aata tha. Jis karan waha mujhe helper ka kaam mila. Main lohe ke company me loha uthane ka kaam karne laga. Paisa bhi kam milta tha.

Din bhar majduri karta aur sham ke samay labour colony me aa kar rahta. Kitna baar to loha se mera haath kat gaya. Mujhe gahri chot aa gai. Phir bhi main mehnat majduri wala kaam karta raha. Jab jab mujhe kahi chot lagta to. Main bhagwan se yahi kahta. Hey bhagwan agar mere zindagi me loha uthana hi likha tha. To main itna padhai likhai kyu kiya.

Main padhai likhai nahi kiya balki apne maa pita ka paisa barbad kar diya. Mujhe chinta ho gai aur bahut hi dukhi rahne laga. Apne kaam se main khush nahi tha. Bahut baar to akele me rota aur apne kismat ko kosta. Mujhe majduri ka kaam pasand hi nahi tha. Ghar se kabhi bhi phone aata to kah deta ki main koi achchha naukri kar raha hoon. Par main to mehanat majduri wala kaam karta. Din bit gaya.

Mujhe kaam me thoda bhi mann nahi lagta. Main kuchh paisa jama karna chah raha tha taki main koi dhandha shuru kar saku. Par ghar se phone aa jata jis karan main ghar paisa bhej deta. Mera income bhi jyada nahi tha. Ek baar ki baat hain. Main ghar gaya hua tha. Jab bhi main ghar jata to khud ko apne kamre me band kar leta. Mujhe lagta ki agar koi mujh se puchhega ki tum kya karte ho to main kya jawab deta.

Kisi se bahut hi kam baat karta. Ghar jata to bahar nahi nikalta. Ghar me hi rahta. Ek din main apne ghar me soya hua tha. Tabhi mujhe sapna aaya sapne me mujhe wahi chhota sa mandir dikhai diya. Jaha par maine mannat manga tha. Aisa laga ki koi takat mujh se kah raha hain. Ki tum ne mannat manga hain. Use pura karo. Par mujhe samajh me nahi aa raha tha ki maine kab mannat manga.

Raat me sapna aaya phir subah ho gaya. Main use ek sapna samajh kar bhool gaya. Phir jab main agli raat ko soya to mujhe phir se sapna aaya. Wahi mandir aur wahi aawaj koi mujh se kah raha hain ki tum ne mannat manga hain. Use pura karo. Par mere samajh me nahi aa raha tha ki maine kaha mannat manga tha. Mujhe ab ye sapna hamesha aane laga. Par mere samajh me nahi aa raha tha ki ye koun sa mandir hain.

Phir ek din mujhe sapne me apna polytechnic college aur wo mandir dikhai diya. Ab mere samajh me aaya. Mujhe yaad aa gaya ki main bus se kahi ja raha tha. To us mandir ke samne mannat manga tha ki agar main polytechnic ke exam me achchhe number se paas kar jaunga. To bhagwan ke darshan ke liye aaunga. Mujhe laga ki bhagwan mujhe bula rahe hain.

Main apne college jane ka faisla kiya aur college chala gaya. Raste me hi wo mandir padta tha. Main mandir ke paas utra aur bhagwan ka darshan kiya. Waha puja bhi kiya. Uske baad main apne ghar wapas chala aaya. Par jab main kaam par wapas ja raha tha. To railway ka form nikla. Jis me junior engineer ka vacancy tha. Main us form ko bhar kar apne factory me loha uthane wala kaam karne wapas chala gaya.

Exam ka tarikh bhi aa gaya. Main waha se chhutti le kar exam dene chala gaya. Bina tayyari kiye hue main exam nikal liya. Mera job railway me ho gaya. Main bahut khush tha ki main apna manjil paa liya. Main phir se us mandir me gaya aur puja kiya. Ab mujhe pata chal chuka tha ki mannat mangna bahut hi aasan hain. Par mannat ko bhool jana bahut hi khatarnak hain. Mannat kyu nahi mange. Agar mannat pura nahi kar paye to mannat mangna nahi chahiye.