Maut Ka Safar , Marne Ke Baad Kya Hota Hai?
Aksar insaan
sochta hain ki uski zindagi kya hain. Jab tak Wo zinda hain. Tab tak hi uska
astitwa hain. Marr Jane ke baad nahi pata uske sath kya hoga. Insaan ka jo
sharir dikhta hain. Use chhod dene ke baad sharir ka kya hota hoga. Aatma ka
aakar kaisa hoga. Jis chij ko ham dekh pate hain. Wo sharir hain. Par jise ham
nahi dekh pate wo aatma hain.
Padhe
:-Khoon Ki Pyasi Chudail , Ek Chudail Ki Kahani.
Mere khyal se
aatma ki tulna bilkul ek mobile phone se ho sakti hain. Mobile phone ko ham
dekh sakte hain. Par jis tarang se mobile phone kaam karta hain. Use ham nahi
dekh sakte hain. Jab mobile ka network khatm ho jata hain. Jis mobile me
network rahta hi nahi hain. Us mobile ki halat khilaune se kam nahi rahta hain.
Uska mahatw hi khatm ho jata hain.
Padhe
:-Andhere Me Chudail Ki Aahat , Chudel Ki Kahani.
Maut zindagi ka
sab se bada sach hain. Har insaan ko marna hi padta hain. Chahe wo lakh baar
soch le ki main nahi marunga. Par maut ko aani hain aur wo aa kar rahegi. Maut
ka safar har kisi ko tay karna hain. Chahe wo amir ho ya garib. Ho sakta hain
waqt se pahle ya kuchh dino ke baad. Maut aani hain aur wo aa kar rahegi. Uski
chita bhi usi jagah sajegi jaha par kisi aur ki chita saj chuki hogi.
Padhe
:-Ajib Si Ghabrahat , Bhoot Pret Ki Kahani.
Maut ka safar
zindagi ka ant hain. Nahi pata uske baad kiske sath kya hoga. Main bhi maut ke
safar se gujar chuka hoon. Mujhe pata hain ki maut ka safar kaisa hota hain.
Maut wo chij hoti hain. Jab koi insan marne ke baad apne purwajo se milta hain.
Achchhe log marte hain. To uske purwaj use bahut hi aadar karte hain. Par jab
koi bura aadmi marta hain.
Padhe
:-Raste Me Betal , Ek Betal Ki Kahani.
To use waha bhi
dukh bhogna padta hain. Kisi ka purwaj hi use yatna dete hain aur kahte hain.
Ki tum ne hamara naam waha bhi kharab kiya aur yaha bhi. Dukh sirf zindagi me
nahi hain. Balki marne ke baad bhi hain. Kyuki hame laut kar apne purkhon ke
paas jana hain. Wo hamara intejar kar rahe hain. Yaha jaisa kaam karenge waisa
unhe anubhao hoga. Unki najar ham par sada bani rahti hain.
Padhe
:-Bhootiya School , Bhoot Pret Chudail Ki Kahani.
Wo hamare maut ke
safar ka intejar karte hain. Jaha hamari aatma ko jana hain. Jab koi maut ke
safar par nikalta hain. To apne purwajo se milta hain. Mujhe is baat ka ehsaas
hain. Kisi ko ho ya nahi ho. Koi meri baat par bishwash kare ya na kare. Mera
naam harish hain main ek chhote se shahar ka rahne wala hoon. Bahut jayada
padha likha nahi hoon.
Padhe
:-Jinn Baba Ka Sthan , Jinn Jinnat Ki Kahani.
Bas kisi tarah
apna gujara chal jata hain. Mere ghar me meri maa mare pita meri biwi aur do
bachche hain. Par hakikat bolu to main apni zindagi se khush nahi hoon. Kyu ki
mere upar bahut karz hain. Meri itni aukad nahi hain ki main apna karza utar
saku. Ek chhota sa thela lagata hoon. Jis se nasta ka saman bechta hoon.
Bachpan se hi main kast jhelta aaya hoon.
Padhe
:-Chamatkari Baba , Ek Baba Ki Kahani.
Bachpan se hi
kamai kar raha hoon. Mujhe pata hi nahi hain ki bachpan kise kahte hain aur
jawani kya hoti hain. Meri do bahno ka shadi bhi mujhe hi karna pada. Pita ji
ka tabiyat kharab rahta hain. Wo kuchh kar nahi sakte hain. Jis wajah se mujhe
hi kuchh karna tha. Insaan ke jiwan me karz hone ka do sab se bada karan hain.
Ek to ladki ka shadi karna aur dusra bimari ka ilaz karna.
Padhe
:-Jinn Jinnat Ki Kahani, Jinn Jinnat Ki Duniya.
Main bahan ki
shadi ke liye karza liya tha. Jise chuka nahi paya. Koi aisa din nahi jata hain
jab koi mahajan mujhe karz chukane ke liye tokta na ho. Koi koi to mujhe gali
tak de jata hain. Par mere paas koi jamin bhi nahi hain jise bech kar apna
karza chuka saku. Ek kiraye ka makan aur ek apna thela. Jis par main naste ka
saman bechta hoon. Kabhi kabhi to aisa mann karta hain ki main apna sharir tyag
du.
Padhe
:-Tantra Vidya Ka Asar , Jadu Tona Ki Kahani.
Jab raat me sou to
subah jagu hi nahi. Main apne zindagi se bahut pareshan hoon. Par kabhi kabhi
apne ghar pariwar ka khyal aa jata hain. Mere do chhote chhote bachche hain.
Agar main duniya chhod kar chala jaunga to unka kya hoga. Phir sochta hoon ki
duniya me har koi apna kismat likhwa kar aata hain. Mere zindagi me dukh likha
hua hain. To main use bhogunga. Ho sakta hain uski zindagi achchhi hogi. Wo bhi
apna kismat likhwa kar hi aaye honge.
Padhe
:-Chudail Ya Kuchh Aur ? chudail Ki Kahani.
Itna chinta hain
ki raat me nind tak nahi aati hain. Kal phir koun mahajan mujhe tokega main
nahi janta. Ek to garibi aur us me karza. Jo mujhe chain se rahne nahi de raha
tha. Ek raat main bistar par let kar soch raha tha ki agar main marr jaunga to
kitna achchha rahega. Sara dukh dur ho jayega. Main isi chinta me tha. Nahi
pata kab mera aankh lag gaya aur main so gaya.
Padhe
:-Ghadi Ka Sui, Bhoot Ki Kahani.
Jab main soya to
mujhe bahut hi ghabrahat hone lagi. Mera dil jor jor se dhadkane laga. Aisa
laga ki mera saans chahar raha hain. Mujhe saans lene me dikkat ho rahi hain.
Mera sharir thoda upar utha aur phir niche gira. Charo taraf ujala hi ujala
chha agay. Jaise hi mera sharir niche gira. Main bilkul halka ho gaya.
Padhe
:-Kaam Wali Reja Ka Bhoot, Chudail Ki Kahani.
Mujhe laga ki
jaise koi pankh hawa me udd raha ho. Main bilkul usi tarah udd raha hoon. Mera
sharir bistar par pada tha aur main apne sharir se bahar tha. Kuchh samajh me
nahi aa raha tha ki ye kya ho raha hain. Main apne sharir ko dekh raha tha.
Phir nahi pata wo koun si takat thi jo mujhe apne taraf khich rahi thi. Main
waha se dusri taraf chalna shuru kiya. Mujhe pata chal chuka tha ki main maut
ka safar par nikal chuka hoon.
Padhe
:- Do Saheli, Darawni Kahani.
Mujhe maut aa
chuki hain. Par iske baad mujhe jana kaha tha. Ye mujhe pata nahi tha. Par koi
takat mujhe apne taraf khich rahi thi. Main us taraf chal diya. Turant main ek
andhere gufa ke andar chala gaya. Jaha par dur dur tak sirf andhera hi andhera
tha. Kahi kuchh najar nahi aa raha tha. Par mai sirf chala ja raha tha. Bahut
der tak main us andhere gufa me chalta raha. Kahi se mujhe ek chhota sa
roushani aata hua dikha. Main us roushani ke taraf badh gaya. Shayad wo us gufa
se bahar nikalne ka jagah ho.
Padhe
:- AamavasKi Raat, Dayan Ki Kahani.
Main ye soch kar
us taraf badha. Jab us jagah par pahucha to dekha ki ye ek alag hi duniya ka
darwaja hain. Main gufa se bahar nikla. Dekha ki charo taraf ujala hi ujala
chhaya hua hain. Aisa lag raha tha ki mano abhi din nikalne wala hain. Subah ka
taro taja hawa chal raha tha. Par ujala charo taraf phila hua tha. Dur dur tak
hare bhare ped dikh rahe the. Charo taraf hariyali chhai hui thi. Main khada ho
kar use dekh raha tha. Tabhi mujhe ek aadmi aata hua dikhai diya.
Padhe
:-Bharat Ka Bhutiya Railway Station.
Wo bilkul safed
rang ka kapda pahne hue tha. Wo aadmi mere paas aa kar bola harish abhi tumhare
yaha aane ka samay nahi hua hain. Maut ka safar tay karne ka waqt nahi aaya
hain. Tum yaha se cahle jao aur ja kar apne biwi bachchon ka khayal rakho. Tum
apna ghar pariwar chalao. Jab waqt aayega to hi tum yaha aana. Wo mujhe samjha
raha tha aur main sirf uska muh dekh raha tha.
Padhe
:-Bhatakta Fakir, Ek Fakir Ki Kahani.
Usne kaha ki har
kisi ke zindagi me dukh aata hain. To iska matlab ye nahi hua ki sharir tyag
do. Apna kaam karo aur musibato ka samna karo. Par mujhe aisa lag raha tha ki
main sirf uski baat sun raha tha. Haan ya na me koi jawab de hi nahi raha tha.
Tabhi usne mujhe dhakka mara. Jis se main andhere gufa ke andar ja kar gir
gaya. Tabhi mera nind toot gaya.
Main pasine se
pura tar ba tar tha. Jab mera nind toota to. Maine dekha ki mere bachche aur
aur meri patni soi hui hain. Main apne bachchon ko dekh kar rone laga aur socha
ki main inhe chhod kar kaha maut ka safar par nikal chuka tha. Agar maut ka
safar pura ho jata to main. Apne bachchon ko kho deta.
Padhe :-Khoon Ki Pyasi Dakini.
Ab bhi mere upar
karz hain. Ab bhi main bahut dukhi rahta hoon. Par us ummad me zinda hoon ki
kabhi na kabhi mere zindagi me bhi khushiya aayegi. Baar baar sochta hoon ki
maut ke safar me jo aadmi mujhe mila tha. Wo koun tha. Ho sakta hain wo mera
purwaj the. Jisne mujhe pahchana aur wapas bhej diye.
Padhe :-Laash Ne Daudaya, Bhoot Ki Kahani.
Padhe :-Machhli Bhat, Chudail Ki Kahani.
Padhe :-Jinn Jinnat Ki Kahani.
Padhe :-
Rani Pokhar, Horror Story.
Padhe :-
Kabr Ki Mitti, Kabr Ki Mitti Churane Se Kya Hota hain.
Padhe :-
Roohani Takat, Bhoot Ki Kahani.
Padhe :-
Belgagra Machhli, Bhoot Ki Kahani.
Padhe :- Bhoot Ka Aawaz, Bhoot Ki Kahani.
Padhe :- Gehuman Saanp, Ek Saanp Ki
Kahani.
Padhe :- Aaina Ek Bharm, Bhoot
Ki Kahani.
Padhe:- Raste Ki Chudail, Chudel Ki Kahani.
Padhe:-Lamba Saya, Jinnat Ki Kahani.
Padhe:- Sui Dhaga, Chudel Ki Kahani.
Padhe
:- Ulta Pair, Chudel Ki Kahani.
Padhe
:- Khooni Talab , Bhoot Ki Kahani.