Meri Badnasibi Ki Kahani - Aisa Bhi Hota Hain

Meri Badnasibi Ki Kahani - Aisa Bhi Hota Hain.

Badnasibi ki kahani jo ki mera hain. Kabhi kabhi insaan paisa aane ke baad itna ghamand me chur ho jata hain ki aisa lagta hain. Wo kabhi garib hoga hi nahi. Apni garibi ko bhool jata hain. Ek aadmi garibi se upar uthta hain. Jab aamir ban jata hain.

To garibo ko bhool jata hain. Par kisi ne sach hi kaha hain. Lena dena to upar wale ki haath me hain. Duniya ke log jitna bhi yogna bana le. Kitni bhi tarkki ki sidhiya chahar le par upar wale ne jaha ek jhatka diya ki. Arsh ka safar fars par aa jata hain. Amir se amir insaan garib ho jata hain. Bas uski den hain. Jitne din ki zindagi hain. Wo utne hi din me insaan ko na jane kya kya rang dikha deta hain. Insaan ko wo upar uthne ka mauka deta hain. Par wo hi upar se niche bhi gira deta hain. Log kahte hain. Upar wala har insaan ko tarkki karne ka teen mauka deta hain.

Jab insaan teeno mauka kho deta hain. To wo tarkki nahi kar pata. Zindagi bhar garibi me zindagi bitata hain. Main bhi ek baar bahut paisa kamaya bahut tarkki kiya. Par kismat ne mera sath nahi diya. Garibi kya hota hain. Main bhool hi chuka tha. Koi sirf teen waqt ka khana khane ke liye kitna pareshan rahte hain. Kitna mehnat karte hain. Main bhool hi chuka tha. Kisi jamane me main ek thekedar hua karta tha. Mere under me char sau log kaam karte the. Main apna khud ka theka chalata tha.

Apni thekedari se nahi pata kitna paisa kamaya. Jiska koi hisab hi nahi hain. Kismat sath tha. Mitti bhi chhu deta to sona ban jata. Char sau logo ko khatana koi aam baat nahi hain. Lakho rupaye sirf unka payment banta tha. Mujhe kitna bachta tha jiska koi hisab hi nahi tha. Par thekedari karne ke dauran mere andar khot sama gaya. Main majduron ka haq marne laga. Jab bhi unka payment banta main hisab me garbar kar deta. Har majdur ka do char hazar to main maar hi leta. Phir bhi main khush nahi tha aur bhi jyada kamana chahta.

Sidhe sadhe majdur ko aasani se thag leta. Kabhi bhi kisi ka pura paisa nahi deta. Paisa banata chala gaya. Mujhe pata hi nahi tha ki main bhi kabhi garib ho sakta hoon. Majduron ka paisa maarta aur bahut khush hota. Par aisa bahut jyada dino tak nahi chal saka. Ek raat main soya hua tha. Tabhi sapne me dekhta hoon ki ek aadmi mere sapne me aaya. Usne mujh se kaha ki tum majduron ka haq maarna band kar do. Uski jitni majduri banti hain. Use de do. Agar kisi bhi majdur ka aah lag gaya to tum barbaad ho jaoge. Main raat ke sapne me ye dekha.

Par aisa sapna ek baar nahi balki teen char dino tak aata raha. Main socha ki khwab to khwab hote hain. Uska hakikat se kya wasta. Ho sakta hain mere sharir me aisa koi chij bas gaya hoga. Jis karan main khwab dekh raha hoon. Ek din main market gaya hua tha. Koi saman kharidna tha. Jab main market me akele ghum raha tha to ek ladka tabij bech raha tha. Uske hath me bahut se paththar the.

Jiska anguthi bana kar pahna jata hain. Tabij bechne wala ladka ko main dekha to soch me pad gaya. Aisa laga ki is ladka ko maine kahi dekha hain. Par yaad nahi aa raha tha ki use maine kaha dekha hain. Wo ladka tabij ka paththar bech raha tha. Jab us ladka ne mujhe dekha to mere pichhe hi pad gaya. Wo mere paas aaya aur mujh se bola ki babu ji aap ye paththar le ligiye. Ye aap ke layak hain.

Main us se bola ki mujhe koi paththar nahi lena hain. Waise bhi main tabij par bishwash nahi karta tha. Par wo ladka baar baar mujhe tang karne laga ki babu ji aap ye paththar le ligiye. Mujhe us paththar me koi ruchi nahi tha. Main us se paththar liya use dekha. Uske andar urdu me kuchh likha hua tha. Main use wapas karte hue bola ki mujhe ye paththar nahi lena hain. Par wo ladka mere pichhe pad chuka tha.

Maine us se us paththar ka daam puchha to usne kaha ki pachas rupaye de digiye. Main ladka pe gussa hote hue bola. Itne chhote bachche ho aur logo ko thagna bhi sikh chuke ho. Dus rupaye me dena hain to do nahi to yaha se chale jao. Us ladka ko main pichhe ki taraf dakka de kar jaise hi ek kadam badhya. Waise hi mujhe yaad aa gaya ki. Is ladka ko to main sapne me dekha tha. Jo baar baar sapne me aa kar mujhe chetawani de raha tha.

Ki majduron ka haq marna chhod do. Abhi ek kadam hi chala tha. Main turant pichhe mud kar dekha to. Wo ladka gayab ho chuka tha. Ab mere samajh me nahi aa raha tha. Ki abhi abhi dikhne wala ladka achanak se gayab kaise ho gaya. Jab ki rasta me bhir bhi nahi tha. Main abhi ek kadam hi chala tha. Wo ladka kitna chala hoga. Jyada se jyada do kadam. Par mere pichhe wo nahi tha.

Mera pura sharir sihar gaya. Pure sharir me kampan sa aa gaya. Main waha se use khojne chal diya. Bahut der tak use khoja par kahi bhi us ladka ka ataa pata nahi chala. Lagbhag pura bazar khoj liya par pata nahi chala. Bahut gahri chinta me bhi tha. Main sochne laga ki jis ladka ko main sapna me dekha tha. Wo achanak se mere samne kaise aa gaya. Phir wo ladka itni jyaldi gayab kaise ho gaya. Kuchh bhi samajh me nahi aa raha tha. Ghar wapas aa kar raat bhar yahi baat sochta raha.

Jab din nikla aur dus baja to mere site se call aaya. Jo maine theka chalata tha. Waha par koi accident ho gaya hain. Worker gussa me aa gaye. Aisa accident hua ki kisi ki jaan chale gai. Jitne bhi majdur kaam kar rahe the. Sabhi gussa me aa gaye. Gussa me aa kar mere machine ko aag laga diye. Mera office bhi jala diye. Jitne gadi maine kharidi thi. Sabhi me aag laga diye. Sab kuchh tahas nahas kar diye. Mere staff site chhod kar bhag gaye. We mujhe bhi bole ki abhi site par mat aana.

Bahut dino tak strick chala. Kaam dhandha band ho gaya. Char sau worker ka demand pura karna pada. Jitne bhi paise maine kamaya tha. Dhire dhire sab khatm ho gaya. Mere upar case bhi bana. Bahut muskil se main bacha. Ek accident ne mera pura ka pura zindagi barbad kar diya. Bhari karz me main dub gaya. Khet yaha tak ki ghar bhi bechna pad gaya.

Kabhi socha nahi tha. Wo hi ho gaya. Bahut dino tak mera kaam dhandha band tha. Par pet palne aur ghar chalane ke liye kuchh to karna tha. Main ek company me majduri karne laga. Ab bhi main ek majdur hoon. Kabhi paisa ko paisa nahi samjhta tha. Aaj ek ek paisa ka mohtaz hoon. Kabhi mere paas itna paisa tha ki jis company me aaj main majduri kar raha hoon.

Use main bahut hi aasani se kharid leta. Ya aisa aisa factory laga deta. Par kismat ko badalne me jyada time nahi lagta hain. Aaj jab mere paas paisa nahi hain. To main paisa ka mahatw samjhta hoon. Meri badnasibi ki kahani sirf ek sapne se shuru hui. Agar main us ladka ka tabij kharid liya rahta. Ya sapne ki chetawani ko samjh kar majduron ka haq nahi marta.

To meri badnasibi ki kahani nahi banti. Kabhi kabhi kisi ki aah kisi ko barbad kar deta hain. Ars wale fars par chale aate hain. Par mujhe barbad hone se pahle iska sanket mil raha tha. Maine use samjha hi nahi. Jo mujh par bhari pada. Ye hi meri badnasibi ki kahani hain.