Nari Ka Charitra , Hindi Kahani.
Log sach hi bolte
hain ki nari ka charitra ke bare me pata laga pana bahut muskil hain. Kitne
bade bade bidhwan log aaye aur haar maan kar chale gaye. Nari ka charitra pata
laga pana bahut kathin hain. Itna kathin jiska andaja nahi lagaya ja sakta
hain.
Log to yaha tak
kahte hain ki nari charitra ke bare me to bhagwan bhi pata nahi laga paye. To
insaan kya chij hain. Ek kahani isi bishay me main yaha likh raha hoon. Nari
chatritra yahi kahani ka naam hain. Mere gaon me aaj bhi is kahani ka charcha
hota hain.
Log bahut hi chao
se ye kahani ek dusre ko sunate hain. Log to ek dusre ko tokne ke liye bhi ye
kahani ek dusre ko sunate hain. Us kahani ko main yaha likh raha hoon. Bahut
pahle ki baat hain. Mere gaon me diwan saheb rahte the.
Wo bahut hi amir
ghar ke the. Gaon ke sab se amir aadmi aur us par jamindar. Gaon ka to lagbhag
sara jamin unka hi tha. Log unke yaha naukri karte the. Gaon ke log unke kheton
me kaam kar ke apna gujar basar karte the. Jamindar saheb ka ek hi ladka tha.
Jinaka naam jattan saheb tha.
Jattan saheb
bachpan se hi tej tarar the. Padhai likhai me to unki galab ki ruchi thi. Us se
bhi jyada ruchi to unka kisi naye chij ko janane me thi. Koi bhi naya chij ho
use jane aur uska hal nikale bina nahi rahte the. Bachpan se hi padhai me tej bhi
the. Pahle to apne gaon me padhai likhai kiye.
Phir uske baad
padhne keiye shahar chale gaye. Jattan saheb har parikchha me achchhe number
late the. Unke ghar wale unki mehnat aur padhai se bahut khush the. Is liye
balister banane ke liye jattan saheb ko bidesh bhej diye.
Jattan saheb
bidesh me rah kar padhai karna lage. Par abhi ek saal hi padhai kiye the. Ki
unke andar ka jigyasha jag gaya. Unhone kahi se suna tha ki aaj tak kisi ne
nari charitra ka pata nahi laga paya hain. Jattan saheb khoji aadmi to the hi.
Par jab unhe pata
chala ki aaj tak koi nari charitra ke bare me pata nahi laga paya hain. To unki
jigyasha is taraf badh gaya. Ab wo sochne lage ki main pata laga kar rahunga ki
nari charitra kaisa hota hain. Unke dimag me ye baat ghumne laga. Har samay
sirf nari charitra ke bare me hi sochne lage.
Rah rah kar sirf
yahi sochte ki main pata laga kar rahunga ki nari charitra kaisa hota hain.
Jattan saheb apna padhai bhi karte aur nari charitra ke bare me pata bhi
lagate. Aise hi din bit raha tha. Wo kahi se bhi kisi aurat ke bare me jante to
use apne copy me likh dete. Din bit raha tha.
Dhire dhire bahut
din bit gaya aur jattan saheb apna padhai pura kar liye. Par padhai pura karne
ke baad bhi unki ruchi khatm nahi hui. Wo to nari charitra ke bare me janana
chah rahe the. Nari ka charitra kaisa hota hain. Ye janane ki ichchha unke
andar panap chuka tha. Din bhar yahi sochte rahte the.
Apna padhai pura
karne ke baad bhi wapas apne desh nahi gaye. Jattan saheb soche ki kyu na yahi
par rah kar is bare me jyada se jyada jankari hasil kiya jaye. Wo bidesh me hi
ruk gaye. Aur waha par iske bare me jyada se jyada jankari hasil karne lage.
Unke ghar se
chitthi aane laga aur wapas apne desh me aane ke liye kaha Jane laga. Par wo to
apne desh me wapas jana nahi chah rahe the. Bidesh me hi rah kar is bare me
jankari ikttha karne lage. Wo jo bhi nari charitra ke bare me pata chalta use
apne copy me likh dete.
Dhire dhire wo
bahut kuchh nari charitra ke bare me likh chuke the. Par ab bhi unka maksad
pura nahi hua tha. Wo to nari charitra ke bare me bahut kuchh janana chah rahe
the. Is liye jattan saheb faisla kiye ki ab dusre desh me bhi ja kar nari
charitra ke bare me janege.
Ab wo dusre desh
bhi jane lage. Jo bhi aurat unke najar me aati us se uske bare me puchhte. Aur
use apne copy me likh dete. Har desh duniya ka har kona me jane lage aur waha
ke nari ka charitra ke bare me jankari hasil karne lage. Dhani ghar ke the
kabhi bhi rupiya paisa ka kami mahsus nahi hua.
Jitna bhi paisa ka
jarurat hota ghar se mangwa lete. Din bit gaya saal bhi bit gaye. Duniya ke har
kone ki auraton ke bare me jankari hasil karne lage. Use apne copy me likhne
lage. Unka umr bhi bahut ho gaya. Par apna jigyasha nahi chhode. Jaha bhi jate
bahut sara apna likha hua copy bhi sath me le kar jate. Jiski tadad bahut ho
chuki thi.
Ek din jattan
saheb soche ki main to duniya me jitne bhi desh hain. Har desh ki auraton ke
bare me likh chuka hoon. Nari charitra me main bahut nipun bhi ho chuka hoon.
Kisi bhi aurat ko dekh kar uska charitra bata sakta hoon. Ab kyu na apne desh
me wapas chala jaye. Aur bharat ke aurat ka charitra ke bare me likha jaye. Is
kaam ko pura karne ke baad mera maksad bhi pura ho jayega.
Ye soch kar jattan
saheb wapas apne desh chale aaye. Aur yaha ki auraton ke bare me likhne lage.
Wo itna jyada nari charitra ke bare me likh chuke the. Ki apna pura copy ek
bail gadi me laad kar rakhte the. Kahi bhi jate to ek bail gadi copy le kar
jate. Jis me nari charitra ke bare me likha hua rahta tha. Apne desh me aa kar
bhi bahut dur dur tak jane lage.
Kabhi desh ke ek
kone se dusre kone. Ek jagah se dusre jagah. Pura jawani isi baat par khatm kar
diye ki nari charitra kaisa hota hain. Ek baar ki baat hain. Jattan saheb apna
kaam pura kar ke soche ki. Main to nari ke charitra ke bare me sab kuchh jaan
chuka hoon. Mera jo maksad tha wo pura ho chuka hain. Duniya ka sab se kathin
kaam.
Jise aaj tak kisi
ne pura nahi kiya. Yaha tak ki bhagwan bhi aaj tak jaan nahi paye ki nari
charitra kaisa hain. Use main jaan chuka hoon. Barso ki mehnat aur research se
main ye jaan chuka hoon. Ki nari charitra kaisa hota hain. Jattan saheb bahut
khush the. Apna sara copy ek bail gadi me rakhe. Jis se bail gadi bhi puri
tarah se bhar chuka tha.
Ab jattan saheb
soche ki ise le kar main sarkar ke paas jaunga. Unhe ye sab kuchh dikhaunga aur
sabhi ko bataunga ki main nari charitra ke bare me sab kuchh jan chuka hoon. Is
se mujhe inam milega aur mere naam se ek record bhi ban jayega. Ye soch kar
jattan saheb sarkar ke paas jane lage. Jab wo apna bail gadi le kar sarkar ke
paas ja rahe the.
To raste me unhe
bahut hi pyas laga. Panu ke talash me ek gaon me pahuch gaye. Unhone dekha ki
ek aurat bhari dopahar me. Ek kuwe se pani nikal rahi hain. Jattan saheb us
aurat ke paas gaye aur us se bole. Ki main bahut pyasa hoon mujhe pani pila do.
Wo aurat ek balti se kuwe se pani nukali aur jattan saheb ko pila di. Jab
jattan saheb wapas apne bail gadi ke paas jane lage. To wo aurat jattan saheb
se puchhi ki aap ke bail gadi me kya hain. Jise aap ka bail khich bhi nahi paa
raha hain.
To jattan saheb
bole ki is me nari charitra ke bare me likha hua hain. Main nari charitra ke
bare me pura jankari prapt kar chuka hoon. Main jaan chuka hoon ki nari
charitra kaisa hota hain. Jattan saheb ka baat sun kar wo aurat jor jor se
hasne lagi. Aur boli ki tum to pagal lag rahe ho. Jiske bare me aaj tak bhagwan
bhi pata nahi laga paye. Us chij ke bare me tum ne ek hi janm me pata laga
liya.
Tum to maha murkh
ho. To jattan saheb bole ki wo kaise. To wo aurat boli ki main ek pal me bata
sakti hoon. Ki tum ne nari charitra ke bare me kuchh bhi pata nahi laga paye
ho. Main ye sabit kar sakti hoon. Ki ek nari ka charitra kaisa hota hain. To
jattan saheb bole ki thik hain. Tum sabit kar ke dikhao. To wo aurat apna
aachal apne sine se hatai aur boli ki agar main abhi halla kar du.
To tumhari jaan
tak ja sakti hain. Mere dil me kya hain ye tum kabhi bhi pata nahi laga sakte
ho. Bolo to main halla kar ke sabit kar du. Ab to jattan saheb ka pura sharir
pasine se bhar gaya. Ab soch nahi pa rahe the ki main kya karu. Jattan saheb us
auart ke samne hath jod kar khade ho gaye. Aur bole ki halla mat kigiyega. Nahi
to main mara jaunga. Wo aurat apna dupatta sariyai aur waha se chal di.
Ab jattan saheb
samajh gaye ki is duniya me koi bhi. Nari charitra ke bare me pata nahi laga
sakta hain. Wo galat the jo galat bishay me jankari hasil kar rahe the. Unhone
sabhi copy me aag laga diye aur sochte hue apne ghar wapas aa gaye.
Wo soche lage ki
main nari charitra jaisa galat bishay par jankari hasil karna chaha. Jab ki ye
sambhao hi nahi hain. Apna pura zindagi is bare me janane ke liye hi khatm kar
diya.