Pahalwan aur Bhoot , Ghost Story In Hindi.
Bahut pahle ki
baat hain. Kisi rajya me tomar naam ka raja raaj kiya karta tha. Raja bahut hi
dayalu thi. Uske raaj me sabhi praja bahut hi khush the. Kisi ko kisi bhi
prakar ka koi dukh nahi tha. Raja ka charcha bahut dur dur tak hua karta tha.
Yaha tak ki dusre desh ke raja bhi us raja ka gun gaan kiya karte the.
Raja apne praja se
bahut prem bhi karta tha. Par uska sab se bishwashi ek sewak tha. Jo ki raj
darbar me kaam kiya karta tha. Raja ka sewak ka naam chetan tha. Chetan bahut
hi nipun aur wafadar tha. Wo kabhi bhi raja ki baat ko nahi talta tha. Raja jo
kahta use kar deta. Itna hi nahi wo ek balsali yodha bhi tha.
Log use pahlwan
kah kar bulate the. Takat ke mamle me uska koi jod nahi tha. Kisi ko bhi aisa
pachharta ki pani tak nahi mangta. Par ek din uski bhirant ek bhoot se ho gai.
Chetan pahalwan ka ghar jungle ke paar ek chhote se basti me tha. Jab raaj kaaj
se fursat mil jata aur raja ka aadesh mil jata to chetan apne ghar chala jata.
Aksar chetan pahalwan andhera hone se pahle hi apne ghar chala jata.
Kyu ki wo jis
basti me rahta tha. Wo jungle ke us paar wali basti thi. Andhera hone ke baad
jungle me pakhu naam ka bhoot jag jata. Us jungle wale raste se jo koi bhi jata
pakhu use maar deta. Log kahte hain jab pakhu zinda tha to bahut hi takatwar
aur jalim insan tha. Dur dur tak ke log pakhu se darte the. Ek baar pakhu jo
than leta wo kar ke rahta.
Jo koi bhi us se
ladne ki koshish karta ya us se ladta. To pakhu pahalwan use jaan se hi maar
dalta. Marne ke baad wo ek bhoot ban gaya aur jungle ke bicho bich apna thiana
bana liya. Din ke ujale me to uska takat nahi rahta par jaise hi sham hota. To
wo apne asli roop me aa jata aur jungle ke raste se jane wale kisi bhi insaan
ko maar deta.
Log pakhu pahalwan
ke darr se raat to kya din me bhi jungle me jane se darte the. Pakhu ek bahut
hi darawana bhoot tha. Log to uske naam matr se hi darr jate the. Us bhoot ke
sharir me bhalu jaisa baal tha. Par baal itna kada tha ki kante ki tarah ho
chuka tha. Log aksar pakhu ke bhoot ko bhalu wala bhoot bhi kahte the.
Jungle ke us paar
wale gaon ke logo ko shahar me aana hi padta tha. Log suraj dhalne se pahle
apna kaam khatm kar ke gaon wapas aa jate. Ek baar ki baat hain. Chetan raj
darwar me tha. Raja ne bhoj diya.
Jisme anya rajya
ke raja bhi aaye hue the. Raj darwar me bahut dur dur se log bhoj me samail
hone aaye the. Bhoj ka karyakram raat ke samay tha. Tarah tarah ke pakwan bhi
bane the. Ek se ek lagig pakwan. Pakhu bhi raja ke sewa me tha.
Dur jagah se aaye
hue logon ka sewa aur unhe bhoj khilane ka kaam pakhu kar raha tha. Raja ne
pura bhoj ka jimma pakhu ko de diya tha. Bhoj khilate khilate kafi raat bhi bit
gaya. Jab bhoj khatm hua to. Pakhu raja se bola ki ab main apne ghar ja raha
hoon. Ab kal subah aaunga.
Raja bola ki nahi
abhi mat jao. Bahut raat ho chuki hain tum kal subah chale jana. Par pakhu
pahalwan bola ki nahi mujhe abhi ghar jana padega. Mujhe kal phir raja ke sewa
me samil hona hain. Jab pakhu zidd karne laga to raja bola. Ki ham sabhi ne
bhoj ka ananad liya. Yaha jo bhi bhoj ka khana rakha hua hain aur tumhe jo jo
pasand hain.
Jitna pasand hain
le kar apne ghar chale jao. Ab raat ke samay tumhare ghar me khana koun
banayega. Waise bhi bahut raat ho chuki hain. Raja ka adesh maan kar wo apni
patni ke liye kuchh khana ek bartan me rakh kar apne gamchhe me bandh liya.
Raat bhi bahut ho
chuki thi. Raat ke andhere me raj darwar se nikla aur sidhe apne ghar ke taraf
chal diya. Jab tak shahar me tha tab tak to sab thik tha. Par use apne ghar
jane ke liye jungle ko paar karna tha. Jungle wo ilaka tha jaha par pakhu naam
ke bhoot ka atank phaila hua tha.
Log pakhu se darte
the. Chetan bhi ek pahalwan tha uski takat ka charcha bhi dur dur tak tha.
Chetan apna motri liye hue jungle ke andar chala gaya. Par jaise hi wo jungle
ke kuchh dur badha hi tha ki pakhu ka bhoot use najar aa gaya. Chetan bhoot
dekh kar aur bhi teji se apne ghar ke taraf chalne laga.
Par pakhu ka bhoot
uska pichha karne laga. Bhoot use pichhe se aawaj lagane laga aur bola ki ruk
ja. Ye ilaka mera hain tum yaha se ab bach kar kaise ja sakte ho. Aaj tak raat
ke samay koi yaha se bach kar nahi gaya aur tum chale jaoge. Aisa ho hi nahi
sakta hain. Par chetan apne hi dhun me chale ja raha tha.
Tabhi pakhu ka
bhoot uske aage aa kar khada ho gaya. Aur bola ki main tumhe kitni der se aawaj
laga rara hoon. Tum ho ki mera baat sun hi nahi rahe ho. Bhoot ko samne dekh
kar chetan bola ki mujhe ghar jana hain. Main abhi tum se bhirne ke mann me
nahi hoon. Bhoot bola ki main tumhe kaise ghar jane du. Jab ki tum jante ho ki
mai aaj tumhe mare bina chhodunga nahi.
Aaj tak raat ke
samay yaha se bach kar koi ja nahi paya hain. To tum kaise bach jaoge. Bhoot
aur chetan me bahas hone laga. Thoda der tak bahas chala uske baad bhoot ka
najar chetan ke jamchhe par gaya. Jis me khane ka saman bandha hua tha.
Pakhu ka bhoot
bola ki tumhare potle me kya hai. Jise itni raat gaye le kar ja rahe ho. To
chetan bola ki is me raj darwar ka bhoj hain. Raja ki agya le kar mai ise le
kar apne ghar ja raha hoon. Jise mere ghar ke log khayenge. Bhoot bola ki ye
potli mujhe de do. Aaj main raj darwar ka khana khaunga.
Chetan bola ki
main ye potli tumhe nahi de sakta hoon. Raja ka agya hai ki ise main apne ghar
walon ko du. Raja ne tumhe dene ka agya nahi diya hain. Chetan ki baat sun kar
bhoot ko gussa aa gaya. Usne gusse me kaha ki agar zinda ghar jana chah rahe ho
to ye potli mujhe de do. Nahi to main tumhe maar dunga. Par chetan bhi apni
baat par ada rah gaya. To bhoot bola ki ab mai tumhe maar dunga.
Chetan bhi koi kam
nahi tha. Wo bhi bhoot se bola ki tum mujhe maar do chahe kuchh bhi karo. Par
main raja ki agya ka palan karunga. Raja saheb ne jaisa kaha hain. Main waise
hi karunga. Bhoot aur chetan me ladai hone laga. Bhoot agar pahalwan tha to.
Chetan bhi koi kam takatwar nahi tha. Chetan ka bhi charcha bahut dur dur tak
tha. Dono me yudh hone laga. Bhoot bilkul bhalu ki tarah tha.
Lambe lambe baat
wo bhi kanta ki tarah. Dono me yudh hone laga. Chetan haar manane wala kaha
tha. Kabhi bhoot chetan ko patak deta to kabhi chetan bhoot ko. Par chetan
bahut hi buri tarah se ghayal ho gaya. Us bhoot ka baal chetan ke sharir me
gadta chala ja raha tha. Par chetan haar nahi maan raha tha.
Dono ke bich aadhi
raat ke samay yudh shuru aur subah bhi ho gaya. Jab subah ka pahla kiran bhoot
ke sharir par pada to. Bhoot gayab ho gaya. Chetan pura jakhami halat me apne
ghar aa gaya. Chetan itna bimar ho gaya ki ab bistar se uth bhi nahi pa raha
tha. Uske pure sharir me bhoot ka kanta dhas chuka tha. Jab kuchh dino tak
chetan raj darwar me nahi gaya.
To raja ko bhi
chinta hone laga. Raja ne apne sainiko ko chetan ke ghar bheja. Jab sainik
chetan ke ghar aa kar use bimar dekha aur pura ghatna jana to. Wapas raja ke
paas ja kar sara baat raja ko bata diya. Raja chetan ke prem aur raja ke prati
wafadari se bahut khush hua. Usne shahi baidh ko chetan ke ghar bheja. Jaha
chetan ka ilaz ho sake. Baidh chetan ke ghar par rah kar chetan ka ilaz karne
laga.
Lagbhag teen
mahina lag gaye. Sirf chetan ke sharir se bhoot ka kanta nikalne me. Jab chetan
puri tarah se thik hua aur raj darwar me gaya. To raja ne use inam diya aur
raja ke prati wafadri ka gun gaan bhi kiya.