Pyar Ek Bimari – Hindi Horror Story

Pyar Ek Bimari – Hindi Horror Story.

Pyar ka bhoot


Umr ka ek mod aisa bhi aata hain. Jab har kisi ko kisi na kisi se pyar ho hi jata hain. Chahe wo koi bhi ho. Mujhe bhi ek ladki se pyar ho gaya tha. Sach hi log kahte hain. Pyar ek bimari hain. Jo mujhe bhi lag chuka tha. Ab na to hosh tha aur na hi chain.

Har ghadi mere dil aur dimag me sirf aur sirf wo hi wo thi. Jis se mujhe pyar ho gaya tha. Kahi bhi rahta sirf uska hi khyal rahta. Nahi pata kya kya nahi kiya uske liye. Baat aaj se bahut pahle ki hain. Us waqt main class ten me padhta tha aur wo class twelve me. Umr aur class dono me wo mujh se badi thi. Par nahi pata kaise mujhe us se pyar ho hi gaya. Jab bhi uske class se ho kar gujarta to main use dekhne ki koshish jarur karta.

Kabhi najar bacha kar to kabhi aise hi. Mujhe wo bahut achchhi lagti thi. Uska har ek adaa mujhe bahut pasand tha. Main school pahle pahuch jata aur uske aane ka intejar karta. Jab tak wo school nahi aati tab tak main uska intejar karta. Bahut hi jyada main us se pyar karne laga tha. Jis din wo school nahi aati. Us din main lunch ke samay school se bahar nikal jata.

Uske ghar ka itna chakkar lagata ki puchho hi mat. Bahut baar to uske aas padosh ke ladkon se mera jhagra bhi hua. Phir bhi main uske ghar taraf jana nahi chhoda. Par ishq ke mamale me main fail ho gaya. Uske bina zindagi kaise kategi ye main kabhi socha nahi tha. Par ab kaat raha hoon. Maine sab se badi galti ye kar di. Jo mujhe karna nahi chahiye tha.

Sirf yahi sochta raha ki. Jab main kuchh ban jaunga tab us se shadi karunga. Jo mera soch bilkul galat tha. Mujh se jitna hua maine kiya. Par takdir me jo tha wahi hua. Takdir me us se milna nahi likha tha. Jo wo nahi mil pai. Par uski kami ka ehsaas aaj bhi hain. Bahut pyar hain. Aaj bhi jab main uske bare me sochta hoon. Dil aur dimag phir se usi purani duniya me kho jata hain.

Jaha se maine apna zindagi shuru kiya tha. Thi hi wo galab ki. Jitni tarif kiya jaye kam hi hoga. Jiska jab tak ek jhalak main dekh nahi leta. Tab tak chain nahi aata tha. Kabhi akele to kabhi doston ke sath jate samay najar bacha kar use dekh leta. Use bhi pata tha ki main us se pyar karta hoon. Par wo mujh se do saal senior thi.

Roj sochta ki aaj apne pyar ka ijhar kar duna. Par himmat hi nahi juta pata. Bachpan ka pyar aur wo bhi pahla pahla pyar. Jise main zindagi bhar nahi bhool sakta hoon. Apne pyar ko pane ke liye main har wo koshish karta. Jis se wo meri ho jaye. Junoon tha to sirf itna ki main use kaise pau. Meri zindagi hain wo.

Jaan ki parwah nahi karta tha. Mujhe to bas wo chahiye. Jiski jarurat mere zindagi me hain. Par maine dekha hain. Koi kisi ko tahe dil se chahe to. Uski dhadkan tak sunai deti hain. Agar use ek thoda chot lage. To dard ka ehsaas idhar bhi ho jata hain. Dil tadpne pagta hain. Aisa lagta hain uske liye duniya se bhir jau.

Use pana aur sirf pana hi zindagi ka lakshya ban jata hain. Par maine use pane ke liye bahut hi galat tarika ka upyog kiya. Mujhe sidha ja kar apne pyar ka ijhar kar dena chahiye tha. Jadu tona ka sahara nahi lene chahiye tha. Maine use pane ke liye jadu tona ka sahara liya. Mera har dost janta tha ki main us se pyar karta hoon.

Yaha tak ki bahut se log bhi jante the ki main kis se pyar karta hoon. Ek baar mujhe pata chala ki ek jagah par ek shadhu baba rahte hain. Jo washikaran karte hain. Main us baba ke paas gaya aur un se sara baat bata diya. Usne mujh se kaha ki main tumhara pyar pane me tumhari madad kar sakta hoon.

Par tumhe kabhi is se pichhe nahi hatna padega. Mujh me to sirf use pane ka junoon tha. Main soch liya ki use pana hain. Main baba se bola ki chahe jo bhi ho jaye main uska sath zindagi bhar nahi chhodunga. Baba bole ki thik hain. Raat ke samay mere paas aana. Main kuchh sidh kar ke tumhe dunga.

Jab raat hua to main phir baba ke paas gaya. Baba bole ki aadhi raat ko mantr sidh karna padega. Jab aadha raat hua to baba kuchh mantr sidh karne lage. Lagbhag ek ghante tak mantr ka uchcharan kiye. Uske baad ek laal kapda me chawal bandh kar diye aur bole ki ise subah hone se pahle uske ghar ke aage chhit dena.

Jab wo is chawal ko langhege to samajh lena ki tumhara kaam ho jayega. Main aisa hi kiya. Raat ke samay hi chawal ko uske ghar ke aage chhit kar apne ghar wapas aa gaya. Par us din se uske swabhao me bahut hi jyada badlao hone laga.

Ab wo bhi najar bacha kar mujhe dekhne lagi. Jab bhi mujhe dekhti halka muskura jarur deti. Mujhe bhi pata chal gaya ki chawal apna kaam kar chuka hain. Par himmat nahi ho raha tha ki main apne pyar ka ijhar us se kar du. Main school sab se pahle hi pahuch jata tha. Jab school me koi bhi nahi aaya rahta tha. Main usi samay school pahuch jata tha.

Ek din wo bhi bahut jyald school pahuch gai. Us din mujhe mauka mila. Maine apne pyar ka ijhar us se kar diya. Usne kaha ki main soch kar batungi. Par usne haan me hi jawab diya. Use bhi mujh se pyar tha. Jise main nahi janta tha. Wo bhi mujhe bahut dino se chahti thi. Par galti mera hi tha so maine us se pyar ka ijhar karne me bahut der kar diya.

Main phir baba ke paas gaya aur unhe bataya. Maine unhe bataya ki aap ka diya hua chawal kaam kar gaya. Unhone mujhe kaha ki tumhe agar meri vidhya par yakin karna hain to. Raat ke samay uska sapna jarur dekhte hoge. Jab bhi raat ke samay uska sapna dekho aur jab nind toot jaye.

To apne takiye ko palat kar phir se so jana. Tum jo sapna dekhe ho. Wahi sapna wo ladki bhi dekhegi. Nahi bishwash hain to aajma kar dekh lena. Main to hamesha hi uska sapna dekhta tha. Raat ko jab bhi uska sapna dekhta to takiya ko palat kar phir se so jata. Par sadhu baba sach hi bol rahe the. Jab bhi main us se sapne wali baat puchhta. To wo bata deti. Mujhe ye bhi pata chal gaya ki takiya palatne se sapna wapas chala jata hain.

Jiske bare me sapna dekho wo uske paas chala jayega. Hamara pyar bahut hi dino tak chala. Uska padhai khatm ho gaya. Main padhai karne ke liye shahar chala aaya. Pyar ek bimari hain. Jo mujhe lag chuka tha. Sirf use pane ke liye main padhai karta. Sochta ki kuchh ban jaunga to us se shadi kar lunga. Main kuchh banane ke chakkar me padhta raha. Ek baar jab main ghar gaya to mujhe pata chala ki uski shadi ho chuki hain.

Main karta bhi to kya karta. Bahut roya bahut dino tak kisi se baat chit karna chhod diya. Main shahar wapas aa gaya. Jiske liye padh raha tha. Wo hi mera na ho saki. Ab kuchh bhi nahi sujh raha tha. Kisi tarah main padha. Aaj main ek private company me kaam kar raha hoon. Par aaj wo ladki apne pati ke sath canara me hain.

Uska pati software engineer hain. Uske pati ka jitna income ek mahina me hota hain. Utna to main pure ek saal me nahi kama pata hoon. Main khush hoon ki chalo wo khush hain. Use kisi chij ka koi kami nahi hain. Aaj agar mere paas rahti to pura zindagi aabhao me hi gujarti.