Raste Me Bhoot - Hindi Horror Story

Raste Me Bhoot - Hindi Horror Story.

Raste_me_bhoot


Baat aaj se bahut pahle ki hain. Us waqt main kaam ke shilshile me apne ghar se bahut dur gaya hua tha. Waha par kaam karta tha. Kaam karne ke dauran us jagah par mere bahut se dost bhi the. Kucch ladke to aise the. Jo kisi dusre jagah se kaam karne aaye the.

Padhe :-Khoon Ki Pyasi Chudail , Ek Chudail Ki Kahani.

Par kuchh ladke aise bhi the. Jo wahi aas paas ya phir kuchh dur ke the. We sabhi local ladke the. Aas paas ke the jis wajah se karkhane me unka dhaag tha. Koi un se kuchh bolta nahi tha. Kabhi koi bhi un local ladkon se jhagra karne ki koshish bhi nahi karta tha. Un sabhi ka alag hi rutwa tha. Un local ladkon ke karan hi ham sabhi ka payment sahi samay par ho jata tha.

Padhe :-Andhere Me Chudail Ki Aahat , Chudel Ki Kahani.

Agar payment hone me thoda bhi der hua ki we sabhi thekedar se hi lad jate the. Jis wajah se ham sabhi ka payment time to time ho jata tha. Un local ladkon me se kuchh ladkon se mera bahut achchha dosti bhi tha. Kabhi samay par hamare kaam bhi aate the.

Padhe :-Ajib Si Ghabrahat , Bhoot Pret Ki Kahani.

Un local ladkon se hame koi pareshani nahi tha. Ham sabhi mil jul kar kaam karte. Par darr sirf is baat ka tha ki kahi un se jhagra na ho jaye. Ham jis jagah kaam karte the. Wahi par mujhe koi ajib sa ehsaas bhi hua. Jis karan main ye sochne par majbur ho gaya ki bhoot pret hote hain. Ek baar ki baat hain.

Padhe :- Aamavas Ki Raat, Dayan Ki Kahani.

Ham sabhi karkhane me kaam kar rahe the. Us samay jo local ladke kaam kar rahe the. Unka koi parv tha. Jis karan unhone mujhe apne ghar bulaya tha. Bole the ki din ke samay mere ghar aa jana. Ham log do ladke the. Jise unhone apne ghar aane ke liye bola tha.

Padhe :-Bhootiya School , Bhoot Pret Chudail Ki Kahani.

Jis din local sabhi ka parv tha. Us din karkhane ka kaam bhi band tha. Matlab ham sabhi ka chhutti tha. Chhutti ka din tha. Isliye subah hi naha kar apna jo kaam tha use kar liya. Kapda dhoya aur use sukhne ke liye bhi pasar diya. Ham dono ko dopahar ke samay apne dost ke ghar jana tha.

Padhe :-Jinn Baba Ka Sthan , Jinn Jinnat Ki Kahani.

Is liye ab dopahar ka intejar karne lage. Usne hame apne ghar khana khane ka dawat diya tha. Ham dono dopahar ke samay uske ghar ke taraf chal diya. Garmi ka mausam tha. Dopahar me bahut dhup bhi lag raha tha. Garmi bahut jyada tha.

Padhe :-Chamatkari Baba , Ek Baba Ki Kahani.

Uska ghar, ham jaha par kaam kar rahe the. Us jagah se lagbhag char kilometer ki duri par hoga. Ham dono paidal hi waha chal diye. Dur to bahut tha. Par hamare paas gadi nahi tha. Pardeshi the isliye sirf kaam ka chij hi paas me rakhte the.

Padhe :-Jinn Jinnat Ki Kahani, Jinn Jinnat Ki Duniya.

Jo hamare jaruri ka ho wahi saman. Thekedari ka kaam bhi to aisa hi hota hain. Jab tak kaam jama tab tak kiye. Nahi to phir apna bodiya bistar pack kiye aur dusre jagah chal diye. Majduri karna apna pesha hain. Us jagah bhi main majduri karne gaya tha.

Padhe :-Tantra Vidya Ka Asar , Jadu Tona Ki Kahani.

Ham dono ko paidal hi apne us local dost ke paas jana tha. Bahut jyada dhoop khila hua tha. Tej dhup aur us tej dhoop me ham dono chale ja rahe the. Ladka local tha. Usne hame dawat diya tha. Ki hamare ghar aana. Uska parv tha isliye hame jana tha.

Padhe :-Chudail Ya Kuchh Aur ? chudail Ki Kahani.

Bahut dur tak paidal chale ja raha tha. Ham dono us ladka ka ghar tak nahi dekhe the. Bas itna janta tha ki uska ghar ek nadi ke paas hain. Uske gaon ka naam jante the. Ham dono uske bataye hue raste par chala ja raha tha. Bahut dur tak chal diya. Chalte chalte ham ek chauraha ke paas pahuch gaye.

Padhe :-Ghadi Ka Sui, Bhoot Ki Kahani.

Hame samajh nahi aaya ki koun sa rasta pakde. Aas paas koi tha bhi nahi. Jis se puchh leta ki ye rasta kaha ja raha hain. Waise bhi ham shahar se bahut dur ek karkhane me kaam karta tha. Waha bahut kam hi aadmi rahte the. Hame samajh me nahi aaya ki hame jana kaha hain.

Padhe :-Kaam Wali Reja Ka Bhoot, Chudail Ki Kahani.

Hame jo achchha laga us rasta ko pakad kar aage ki taraf badhe chale ja rahe the. Ham dono soch bhi rahe the ki kahi ham galat rasta pakad kar aage to nahi badh rahe hain. Phir bhi ham dono chale ja rahe the. Charo taraf sannata hi sannata pasra hua tha. Dur dur tak koi bhi nahi tha.

Padhe :- Do Saheli, Darawni Kahani.

Soch bhi rahe the ki ye rasta kahi galat to nahi hain. Jab ham dono bahut dur tak chale gaye. Tab kisi ne hame pichhe se aawaj diya. Usne to sidha mera naam le kar mujh se bola ki ruko. Main soch me pad gaya ki yaha koun mera jaan pahchan wala mil gaya.

Padhe :-Bharat Ka Bhutiya Railway Station.

Jab ki main karkhana se bahut hi kam bahar nikalta hoon. Jab pichhe palat kar dekha to dekha ki ek adher aadmi hamare pichhe khada hain. Wo mera naam janta tha. Main palat kar use dekh raha tha. Wo bilkul se mera jaan pahchan ka nahi lag raha tha. Par wo mujhe janta tha.

Padhe :-Bhatakta Fakir, Ek Fakir Ki Kahani.

Usne hame roka aur bola ki idhar kaha ja rahe ho. Ye rasta tumhare dost ke ghar taraf nahi jata hain. Tum phir se wapas jao aur us chaurahe se sidha rasta pakad kar aage badh jana. Thoda hi duri par ek dhaba milega us se puchhna.

Padhe :-Jinnat Ki Duniya.

Wo tumhe tumhare dost ka ghar bata dega. Ham use dekh rahe the aur soch bhi rahe the ki nahi pata ye sach bol raha hain ya jhuth. Ise kaise pata hain ki ham dono apne dost ke ghar jaa rahe hain. Ise hamare bare me bhi pata hain aur ham kaha ja rahe hain. Ye bhi pata hain.

Padhe :-Khoon Ki Pyasi Dakini.

Ye kaise ho sakta hain. Par wo aadmi mano hame wapas chale jane ke liye bol raha ho. Ham wapas mude aur phir chaurahe ke paas aa gaye. Jaisa ki usne bola tha ki thoda aage jana ek dhaba milege. Thik aage gaya to hame ek dhaba bhi mil gaya.

Padhe :-Laash Ne Daudaya, Bhoot Ki Kahani.

Hamne us dhabe wale se apne dost ka pata puchha to wo ek basti ke taraf ishara kar ke bola. Ki ye ladka usi basti me rahta hain. Ham waha se basti me chale gaye. Uska ghar khojne me jyada dikkat nahi hua. Ab ham dono us local ladka ke ghar pahuch gaye. Uske ghar pahuch kar khana khaya aur bahut der tak baat bhi kiya.

Padhe :-Machhli Bhat, Chudail Ki Kahani.

Maine us se raste wali baat bhi bataya. To usne kaha ki tum dono jo rasta bhatak kar jis raste par chale ja rahe the. Us raste me shamshan ghat padta hain. Us rasta ke thik thoda dhalan me ek nadi bahta hain. Jaha par shamshan ghat hain. Aksar waha par bhoot pret dikh jate hain.

Padhe :-Jinn Jinnat Ki Kahani.

Kismat achchha tha jo tumhe koi bheta gaya. Nahi to kisi aafat me pad jate. Ham dono waha se wapas chal diye aur karkhana ki taraf bhadh gaye. Rasta bhar sochta raha ki wo aadmi koun tha. Jisne hame roka aur sahi rasta bataya. Use kabhi dekha hi nahi hain.

Padhe :-Kya Aatma Hoti Hain.

Par wo hamare bare me kaise janta tha. Hamara naam kya hai aur ham kaha jaa rahe hain. Ye sab use kaise pata chala. Ham karkhana aaye. Bahut dino tak waha kaam bhi kiya par kabhi us aadmi ko dekha nahi. Nahi pata wo koun tha. Aaj bhi kuchh samajh me nahi aata hain.

Padhe :-Rani Pokhar, Horror Story.

Padhe :-Kabr Ki Mitti, Kabr Ki Mitti Churane Se Kya Hota hain.

Padhe :-Roohani Takat, Bhoot Ki Kahani.

Padhe :-Kya Aatma Amar Hain.

Padhe :-Belgagra Machhli, Bhoot Ki Kahani.
Padhe :- Bhoot Ka Aawaz, Bhoot Ki Kahani.

Padhe :- Gehuman Saanp, Ek Saanp Ki Kahani.

Padhe :- Aaina Ek Bharm, Bhoo tKi Kahani.

Padhe:- Raste Ki Chudail, Chudel Ki Kahani.

Padhe:-Lamba Saya, Jinnat Ki Kahani.

Padhe:- Sui Dhaga, Chudel Ki Kahani.

Padhe:- Ulta Pair, Chudel Ki Kahani.

Padhe:- Khooni Talab , Bhoot Ki Kahani.