Roohani Takat , Bhoot Ki Sachi Kahani.
Maut kaise aati
hain. Roohani takat jiske pichhe pad jaye use apne sath le kar hi jati hain.
Kuchh roohani takat itna dhith hoti hain ki apne maksad ko pura karne ke liye
kisi bhi hadd tak gujar jati hain. Bhoot pret jinn jinnat ya phir chudail ye
sabhi roohani takat hain. Matlab ki pret aatma ka takat.
Pret aatma achchhe
bhi hote hain aur bure bhi. Jo achchhe hote hain. Wo apna samay achchhe kaam me
gujarte hain. Par jo bure hote hain. Wo apna samay kisi ko tang karne ya phir
kisi ko jaan se marne me gawate hain. Log sach hi kahte hain. Jo hain wo yahi
hain. Yahi swarg hain aur yahi nark hain. Achchhe kaam karne walon ko marne ke
baad yahi par swarg ka shukh milta hain.
Aur bure kaam karne
walon ko anant kaal tak dukh ka samna karna padta hain. Mera naam anil kumar
hain. Main aaj apni aap biti ek ghatna yahan likh raha hoon. Ek aisa ghatna
jise padhne ke baad aap ki rooh tak kaanp jayegi. Ek aisi roohani takat ki
kahani. Jiske bare me main bahut hi achchhi tarah se janta hoon.
Ek baar ki baat
hain. Main security guard ka kaam kiya karta tha. Main security guard ka kaam
riasi jile ke biraban jagah par karta tha. Wahan par koi naya factory banane
wala tha. Main us factory me chokidar tha. Bataur security guard main wahan par
tha. Bahut dino se ye hi kaam karta aaya hoon. Par ab is kaam ko chhod chuka
hoon.
Ek aisa ghatna
jisne mujhe security guard ka naukari chhodne par majbur kar diya. Aur mujhe
majbur ho kar ye kaam chhodna pada. Hua ye tha ki main jis jagah security guard
ka kaam kar raha tha. Wahan par koi naya factory banane wala tha. Jis karan
bahut se lohe ka rod, cement gitti aur bhi bahut se saman rakhe hue thi.
Mujhe un sabhi
saman ka dekh bhal karna tha. Kuchh din to main din ke samay security guard ka
kaam kiya. Par kuchh dino ke baad mujhe raat ke samay kaam mila. Mujhe raat ke
samay jag kar sabhi saman ka dekh bhaal karna tha.
Thand ka mausam
tha. Wo bhi pahari ilaka. Jahan par thand aur bhi jyada lagta hain. Charon
taraf se taar se ghira hua boundary aur us se kuchh hi duri par mera security
post. Main apne security post ke paas aag jala kar baitha hua tha. Raat ka
samay tha. Main aag tap raha tha aur mera najar charo taraf tha.
Lagbhag raat ke do
baje maine dekha ki koi car se aaya aur mere boundary ke gate ke paas aa kar
ruk gaya. Uske car ka head light bilkul mere taraf tha. Maine dekha ki ek adami
us car se niche utara aur meri taraf dekhne laga. Main darr gaya main socha ki
jarur koi chor hoga. Jo yahan par chori karne ke irade se aaya hain.
Main bhi use
lagatar dekh raha tha. Mere paas ek majbut danda tha. Par us majbut dande se
kya kiya ja sakta hain. Agar ek se jayada chor hue to unke paas hathiyar hoga.
Jise mujh par upyog kar sakte hain. Main dande se bhala kya kar sakta hoon.
Main bahut der tak use dekha. Wo aadmi chup chaap mujhe dekhe ja raha tha.
Kuchh der tak to mujhe dekhta raha. Jab mujh se raha nahi gaya to main hosla
kar ke uski taraf badha.
Main bhi soch liya
ki jo hoga dekha jayega. Agar wo chor akela hua aur nihatha hua to main use dekh
lunga. Ye soch kar main uske taraf badha. Main apna danda apne haath me pakad
kar us tak pahuch gaya. Uske paas pahuch kar us se bola ki kya re tu yaha kya
karne aaya hain. Yahan par chori karne aaya hain kya.
Ye kahte hue main
apna danda uske taraf taan diya. Tab usne kahan ki nahi beta main yahan chori
karne nahi aaya hoon. Main to bahut musibat me hoon. Meri jaan ko khatra hain.
Jo maine tumhe yahan dekha to chala aaya. Nahi to main apne ghar ja raha tha.
Wo aadmi bhi umr daraj lag raha tha. Jis se saaf pata chal raha tha ki ye koi
sabhya aadmi hoga.
Main thoda normal
pad gaya aur us se puchha ki uncle ji aap ko kya hua jo aap itne dare hue lag
rahe hain. Main use le kar jahan par aag jal raha tha wahan tak le aaya. Usne
mujhe bataya ki beta mere pichhe ek bhoot laga hua hain. Wo mujhe jaan se marna
chah raha hain.
Main kisi tarah
apna jaan bachate hue yahan tak pahucha hoon. Main idhar se ja raha tha to
dekha ki tum yahan par aag tap rahe ho jis se mujhe thoda hausala mila aur main
ruk gaya. Nahi to wo bhoot mujhe jaan se maar deta. Maine us se puchha ki aisa
kya hua jo aap ke pichhe koi bhoot lag gaya. To usne bataya ki beta main ek
doctor hoon aur mera ek clinic hain.
Main wahan par
marij dekhata hoon. Aaj kaam ka pressure bahut tha jis wajah se mujhe der ho
gai. Mujhe ghar jana tha. Main raat ke ek baje apne clinic se nikla. Apna car
liya aur apne ghar ke liye chal diya. Rasta me jo jungle hain. Main usi rasta
se hote hue. Apna ghar ja raha tha.
Jaise hi main
jungle ke bicho bich pahucha ki maine dekha ek aadmi sadak paar kar raha hain.
Main puri raftar se apna car chala raha tha. Main bahut koshish kiya ki use
bacha lu. Par wo aadmi meri car se takra gaya. Use maine apne car se dhakka
maar diya. Wo aadmi sadak par gir gaya. Main bhi apna car puri raftar se
chalata hua aage ki taraf nikal gaya.
Par phir maine
socha ki maine jis aadmi ko dhakka mara hain. Nahi pata wo zinda hain ya mar
gaya. Phir socha ki chhodo koun is jhamele me padega. Main car chalata hua aur
aage tak aa gaya. Par mera antar aatma baar baar mujhe wapas us jagah tak jane
ke liye bol raha tha. Maine socha ki main ek doctor hoon. Mera kaam logo ka
jaan bachana hain. Na ki kisi ka jaan lena. Wapas chal kar dekha jaye.
Agar wo zinda hoga.
To use ilaz ke liye le jaunga. Ye soch kar main apna car phir se wapas ki taraf
mod diya. Par jaise hi main phir se us jagah par ja kar dekha. To tang rah
gaya. Jis jagah par maine use dhakka mara tha. Wo aadmi wahan par nahi tha.
Dhakka itni jor ka tha ki use bahut hi gambhir chot pahucha hoga. Wo aadmi apni
jagah se kahi ja nahi sakta tha. Par wo aadmi apni jagah par tha hi nahi. Maine
use wahan par bahut khoja par wo kahi bhi nahi mila. Main phir se apni car par
aa kar baith gaya.
Aur wapas aane
laga. Tabhi mere car ke pichhle seat se aawaj aai. Usne mujh se bola ki tum
wapas ye dekhne aaye the ki main zinda hoon ya marr gaya. Tum kisi mare hue
aadmi ko dobara maar sakte ho kya. Main to bahut din pahle isi jagah mara gaya
tha. Aur aaj phir se tumne mere upar apna car chahra diya. Main tumhe zinda nahi
chhoduga. Main jab pichhe mud kar dekha to mera hosh hi udd gaya. Maine sach me
use dekha.
Jis aadmi ko main
apne car se kuchal chuka tha. Wo aadmi zinda tha aur mere car ke pichhle seat
par baitha hua tha. Main bahut darr gaya. Wo bhoot phir se mujhe bola ki main
tumhe aaj maar dalunga. Chale tum jitni bhi koshish kar lo aaj tumhari maut
nischit hain. Main car ko puri raftar se chala raha tha. Kabhi wo mere pichhle
seat par najar aata to kabhi gayab ho jata. Mujhe kuchh samajh me nahi aa raha
tha.
Kabhi kabhi to aisa
lagta ki koi mere car ka starring pakad kar ghuma raha hain. Wo baar baar mujhe
dhamki deta aur bolta ki aaj jitni bhi koshish kar lo. Main tumhe maar dunga.
Darr se mera halat bahut kharab ho chuka tha. Main jab yahan se gujar raha tha.
To dekha ki tum aag taap rahe ho. Tumhe aag tapta dekh kar mujh me kuchh sahas
aa gaya. Aur main yahan ruk kar tumhe dekhne laga. Bahut der ke baad koi insaan
mujhe mila.
Jis karan main
yahan khada ho kar ab din nikalne ka intejar karne laga. Aaj agar tum mujhe
nahi milte to wo bhoot mujhe maar hi deta. Aaj raat bhar mujhe apne paas rukne
do main subah hote hi chala jaunga. Mujhe us budhe aadmi par taras aa gaya.
Maine us se bola ki uncle ji aap subah tak yahi ruk jao. Jab subah ho jayegi to
chale jana. Wo aadmi aur main subah hone ka intejar karne lage.
Mujhe uski kahani
sun kar darr bhi lag raha tha. Ki kahi wo bhoot yahan bhi na aa jaye aur kahi
mujhe bhi na maar de. Par aisa kuchh bhi nahi hua. Bahut der ke baad subah ka
pahla kiran bhi phoot gaya. Jab subah hua to maine us se kahan ki uncle ji ab
subah ho gai. Ab aap ja sakte hain. Wo aadmi mujhe dhanyabad diya aur apne car
se chala gaya.
Main bhi bahut
khush hua ki meri wajah se kisi ki jaan bach gai. Uske jane ke baad main phir
se apne kaam me lag gaya. Subah ke aath baje mera duty khatm hota tha. Uske
baad dusra security guard aa kar duty karta tha. Ab subah ke aath bhi baj chuke
the. Par wo security guard nahi aaya. Main mann hi mann bahut gussa hone laga.
Aath ke baad nau bhi baj gaye phir bhi wo nahi aaya. Maine socha ki aaj uski
shikayat security supervisor se karunga.
Mujhe uske upar
bahut gussa aa raha tha. Din ke nau baje ke baad wo aaya. Main gussa karte hue
us se bola ki aaj tumne itna der kyu kar diya. Mujhe ghar nahi jana hain kya.
To wo bola ki yaar mujhe aaj der ho gaya. Aaj rasta me ek car pul se niche gir
gaya. Jis karan car chalane wala aadmi car ke andar dab kar mar gaya. Wahan
bahut bhir laga hua tha.
So main bhi ruk kar
us durghatna ko dekhne laga. Jis wajah se der ho gaya. Maine us se puchha ki
kahan par accident hua hain. To usne kaha ki bas yahan se thodi dur par jo tej
dhalan hain usi jagah par. Main use apna charge de kar us accident wale jagah
par pahuch gaya. Maine dekha ki wahi aadmi jo raat ke samay mere paas ruka hua
tha. Uski laash uske car ke andar pada hua tha.
Usne kahan tha ki
wo bhoot mujhe marna chah raha hain. Us roohani takat ne kasam kha li thi use
jinda ghar tak jane nahi dega. Us roohani takat ne aakhir kaar uski jaan le hi
li. Main uski laash dekh kar bahut hi chintit ho gaya. Ab dubara duty jane ka
himmat nahi juta paya. Maine us din ke baad se security guard ka naukri hi
chhod diya.