Roohani Takat , Bhoot Ki Sachi Kahani

Roohani Takat , Bhoot Ki Sachi Kahani.

Maut kaise aati hain. Roohani takat jiske pichhe pad jaye use apne sath le kar hi jati hain. Kuchh roohani takat itna dhith hoti hain ki apne maksad ko pura karne ke liye kisi bhi hadd tak gujar jati hain. Bhoot pret jinn jinnat ya phir chudail ye sabhi roohani takat hain. Matlab ki pret aatma ka takat.

Pret aatma achchhe bhi hote hain aur bure bhi. Jo achchhe hote hain. Wo apna samay achchhe kaam me gujarte hain. Par jo bure hote hain. Wo apna samay kisi ko tang karne ya phir kisi ko jaan se marne me gawate hain. Log sach hi kahte hain. Jo hain wo yahi hain. Yahi swarg hain aur yahi nark hain. Achchhe kaam karne walon ko marne ke baad yahi par swarg ka shukh milta hain.

Aur bure kaam karne walon ko anant kaal tak dukh ka samna karna padta hain. Mera naam anil kumar hain. Main aaj apni aap biti ek ghatna yahan likh raha hoon. Ek aisa ghatna jise padhne ke baad aap ki rooh tak kaanp jayegi. Ek aisi roohani takat ki kahani. Jiske bare me main bahut hi achchhi tarah se janta hoon.

Ek baar ki baat hain. Main security guard ka kaam kiya karta tha. Main security guard ka kaam riasi jile ke biraban jagah par karta tha. Wahan par koi naya factory banane wala tha. Main us factory me chokidar tha. Bataur security guard main wahan par tha. Bahut dino se ye hi kaam karta aaya hoon. Par ab is kaam ko chhod chuka hoon.

Ek aisa ghatna jisne mujhe security guard ka naukari chhodne par majbur kar diya. Aur mujhe majbur ho kar ye kaam chhodna pada. Hua ye tha ki main jis jagah security guard ka kaam kar raha tha. Wahan par koi naya factory banane wala tha. Jis karan bahut se lohe ka rod, cement gitti aur bhi bahut se saman rakhe hue thi.

Mujhe un sabhi saman ka dekh bhal karna tha. Kuchh din to main din ke samay security guard ka kaam kiya. Par kuchh dino ke baad mujhe raat ke samay kaam mila. Mujhe raat ke samay jag kar sabhi saman ka dekh bhaal karna tha.

Thand ka mausam tha. Wo bhi pahari ilaka. Jahan par thand aur bhi jyada lagta hain. Charon taraf se taar se ghira hua boundary aur us se kuchh hi duri par mera security post. Main apne security post ke paas aag jala kar baitha hua tha. Raat ka samay tha. Main aag tap raha tha aur mera najar charo taraf tha.

Lagbhag raat ke do baje maine dekha ki koi car se aaya aur mere boundary ke gate ke paas aa kar ruk gaya. Uske car ka head light bilkul mere taraf tha. Maine dekha ki ek adami us car se niche utara aur meri taraf dekhne laga. Main darr gaya main socha ki jarur koi chor hoga. Jo yahan par chori karne ke irade se aaya hain.

Main bhi use lagatar dekh raha tha. Mere paas ek majbut danda tha. Par us majbut dande se kya kiya ja sakta hain. Agar ek se jayada chor hue to unke paas hathiyar hoga. Jise mujh par upyog kar sakte hain. Main dande se bhala kya kar sakta hoon. Main bahut der tak use dekha. Wo aadmi chup chaap mujhe dekhe ja raha tha. Kuchh der tak to mujhe dekhta raha. Jab mujh se raha nahi gaya to main hosla kar ke uski taraf badha.

Main bhi soch liya ki jo hoga dekha jayega. Agar wo chor akela hua aur nihatha hua to main use dekh lunga. Ye soch kar main uske taraf badha. Main apna danda apne haath me pakad kar us tak pahuch gaya. Uske paas pahuch kar us se bola ki kya re tu yaha kya karne aaya hain. Yahan par chori karne aaya hain kya.

Ye kahte hue main apna danda uske taraf taan diya. Tab usne kahan ki nahi beta main yahan chori karne nahi aaya hoon. Main to bahut musibat me hoon. Meri jaan ko khatra hain. Jo maine tumhe yahan dekha to chala aaya. Nahi to main apne ghar ja raha tha. Wo aadmi bhi umr daraj lag raha tha. Jis se saaf pata chal raha tha ki ye koi sabhya aadmi hoga.

Main thoda normal pad gaya aur us se puchha ki uncle ji aap ko kya hua jo aap itne dare hue lag rahe hain. Main use le kar jahan par aag jal raha tha wahan tak le aaya. Usne mujhe bataya ki beta mere pichhe ek bhoot laga hua hain. Wo mujhe jaan se marna chah raha hain.

Main kisi tarah apna jaan bachate hue yahan tak pahucha hoon. Main idhar se ja raha tha to dekha ki tum yahan par aag tap rahe ho jis se mujhe thoda hausala mila aur main ruk gaya. Nahi to wo bhoot mujhe jaan se maar deta. Maine us se puchha ki aisa kya hua jo aap ke pichhe koi bhoot lag gaya. To usne bataya ki beta main ek doctor hoon aur mera ek clinic hain.

Main wahan par marij dekhata hoon. Aaj kaam ka pressure bahut tha jis wajah se mujhe der ho gai. Mujhe ghar jana tha. Main raat ke ek baje apne clinic se nikla. Apna car liya aur apne ghar ke liye chal diya. Rasta me jo jungle hain. Main usi rasta se hote hue. Apna ghar ja raha tha.

Jaise hi main jungle ke bicho bich pahucha ki maine dekha ek aadmi sadak paar kar raha hain. Main puri raftar se apna car chala raha tha. Main bahut koshish kiya ki use bacha lu. Par wo aadmi meri car se takra gaya. Use maine apne car se dhakka maar diya. Wo aadmi sadak par gir gaya. Main bhi apna car puri raftar se chalata hua aage ki taraf nikal gaya.

Par phir maine socha ki maine jis aadmi ko dhakka mara hain. Nahi pata wo zinda hain ya mar gaya. Phir socha ki chhodo koun is jhamele me padega. Main car chalata hua aur aage tak aa gaya. Par mera antar aatma baar baar mujhe wapas us jagah tak jane ke liye bol raha tha. Maine socha ki main ek doctor hoon. Mera kaam logo ka jaan bachana hain. Na ki kisi ka jaan lena. Wapas chal kar dekha jaye.

Agar wo zinda hoga. To use ilaz ke liye le jaunga. Ye soch kar main apna car phir se wapas ki taraf mod diya. Par jaise hi main phir se us jagah par ja kar dekha. To tang rah gaya. Jis jagah par maine use dhakka mara tha. Wo aadmi wahan par nahi tha. Dhakka itni jor ka tha ki use bahut hi gambhir chot pahucha hoga. Wo aadmi apni jagah se kahi ja nahi sakta tha. Par wo aadmi apni jagah par tha hi nahi. Maine use wahan par bahut khoja par wo kahi bhi nahi mila. Main phir se apni car par aa kar baith gaya.

Aur wapas aane laga. Tabhi mere car ke pichhle seat se aawaj aai. Usne mujh se bola ki tum wapas ye dekhne aaye the ki main zinda hoon ya marr gaya. Tum kisi mare hue aadmi ko dobara maar sakte ho kya. Main to bahut din pahle isi jagah mara gaya tha. Aur aaj phir se tumne mere upar apna car chahra diya. Main tumhe zinda nahi chhoduga. Main jab pichhe mud kar dekha to mera hosh hi udd gaya. Maine sach me use dekha.

Jis aadmi ko main apne car se kuchal chuka tha. Wo aadmi zinda tha aur mere car ke pichhle seat par baitha hua tha. Main bahut darr gaya. Wo bhoot phir se mujhe bola ki main tumhe aaj maar dalunga. Chale tum jitni bhi koshish kar lo aaj tumhari maut nischit hain. Main car ko puri raftar se chala raha tha. Kabhi wo mere pichhle seat par najar aata to kabhi gayab ho jata. Mujhe kuchh samajh me nahi aa raha tha.

Kabhi kabhi to aisa lagta ki koi mere car ka starring pakad kar ghuma raha hain. Wo baar baar mujhe dhamki deta aur bolta ki aaj jitni bhi koshish kar lo. Main tumhe maar dunga. Darr se mera halat bahut kharab ho chuka tha. Main jab yahan se gujar raha tha. To dekha ki tum aag taap rahe ho. Tumhe aag tapta dekh kar mujh me kuchh sahas aa gaya. Aur main yahan ruk kar tumhe dekhne laga. Bahut der ke baad koi insaan mujhe mila.

Jis karan main yahan khada ho kar ab din nikalne ka intejar karne laga. Aaj agar tum mujhe nahi milte to wo bhoot mujhe maar hi deta. Aaj raat bhar mujhe apne paas rukne do main subah hote hi chala jaunga. Mujhe us budhe aadmi par taras aa gaya. Maine us se bola ki uncle ji aap subah tak yahi ruk jao. Jab subah ho jayegi to chale jana. Wo aadmi aur main subah hone ka intejar karne lage.

Mujhe uski kahani sun kar darr bhi lag raha tha. Ki kahi wo bhoot yahan bhi na aa jaye aur kahi mujhe bhi na maar de. Par aisa kuchh bhi nahi hua. Bahut der ke baad subah ka pahla kiran bhi phoot gaya. Jab subah hua to maine us se kahan ki uncle ji ab subah ho gai. Ab aap ja sakte hain. Wo aadmi mujhe dhanyabad diya aur apne car se chala gaya.

Main bhi bahut khush hua ki meri wajah se kisi ki jaan bach gai. Uske jane ke baad main phir se apne kaam me lag gaya. Subah ke aath baje mera duty khatm hota tha. Uske baad dusra security guard aa kar duty karta tha. Ab subah ke aath bhi baj chuke the. Par wo security guard nahi aaya. Main mann hi mann bahut gussa hone laga. Aath ke baad nau bhi baj gaye phir bhi wo nahi aaya. Maine socha ki aaj uski shikayat security supervisor se karunga.

Mujhe uske upar bahut gussa aa raha tha. Din ke nau baje ke baad wo aaya. Main gussa karte hue us se bola ki aaj tumne itna der kyu kar diya. Mujhe ghar nahi jana hain kya. To wo bola ki yaar mujhe aaj der ho gaya. Aaj rasta me ek car pul se niche gir gaya. Jis karan car chalane wala aadmi car ke andar dab kar mar gaya. Wahan bahut bhir laga hua tha.

So main bhi ruk kar us durghatna ko dekhne laga. Jis wajah se der ho gaya. Maine us se puchha ki kahan par accident hua hain. To usne kaha ki bas yahan se thodi dur par jo tej dhalan hain usi jagah par. Main use apna charge de kar us accident wale jagah par pahuch gaya. Maine dekha ki wahi aadmi jo raat ke samay mere paas ruka hua tha. Uski laash uske car ke andar pada hua tha.

Usne kahan tha ki wo bhoot mujhe marna chah raha hain. Us roohani takat ne kasam kha li thi use jinda ghar tak jane nahi dega. Us roohani takat ne aakhir kaar uski jaan le hi li. Main uski laash dekh kar bahut hi chintit ho gaya. Ab dubara duty jane ka himmat nahi juta paya. Maine us din ke baad se security guard ka naukri hi chhod diya.