Safety kya hai , Suraksha Ki jankari.
Safety se matlab
suraksha se hain. Safety kya hain. Khud ko surakshit rakhna hi safety kahlata
hain. Safety se kisi ko kisi bhi prakar ka hani na ho. Safety me hi aata hain.
Pahle khud ki suraksha uske baad sath kaam kar rahe sathiyon ki suraksha.
Phir uske baad
aata hain, machine ki suraksha. Surakshit rahna hi safety kahlata hain. Agar
ham industrial safety ki baat kare. To waha par bahut chijo se surakshik rahne
ki jarurat padti hain. Jaise ki machine se suraksha. Thoda bhi laparwahi kisi
bahut bade durghatna ko janm de sakti hain.
Laparwahi se
jyadatar durghatnaye hoti hain. Iska sab se bada karan bahut jyada aatm
bishwash hota hain. Kisi kaam ka jankari ho par use karne me khud ko itna
expert samajhna. Khud par bahut jyada bishwash kar lena.
Machine ki harkat
ko dekh kar bhi laparwahi karna bahut bade durghatna ko janm dena hain.
Accident hone ka karan unsafe act aur unsafe condition hota hain. Unsafe act wo
hota hain. Jo kisi aadmi ke dwara kiya gaya kaam hain. Saman ko a surakshit
tarike se rakhna.
Unsafe act kahlata
hain aur saman ko is tarah se rakha hua rahna. Jis karan kisi prakar ka
durghatna hone ka khatra rahe. Aise sthiti me agar koi saman rahe to unsafe
condition kahlata hain.
Unsafe act se hi
unsafe condition janm leta hain. Jab bhi koi durghatna hota hain. Waha par
lagbhag unsafe act ya unsafe condition hi jimmedar rahta hain. Safety me ise
karya chhetra se dur rakhna bahut jaruri hain. Safety kya hain?
Kisi ko bhi kisi
prakar ka hani na ho yahi safety kahlata hain. Suraksha sambhandhit jankari
kisi se sun kar ya lambe experience se ya phir padh kar hi paya ja sakta hain.
Kisi factory ya
phir kisi company me safety bahut hi jaruri ho jata hain. Company me safety ka
alag department hota hain. Jo suraksha sambandhit jankari worker ke bich deta
hain. Is se worker ke bich jagrukta badhta hain.
Jab worker ko pata
chal jaye ki unsafe kaam karne se bahut badi durghatna ho sakti hain. To we
sabhi bahut hi sambhal kar kaam karte hain.
Jagrukta se kaam
karne ka tarika badalta hain aur worker ko kaam karne me maja bhi aata hain.
Safety har chhetra me jaruri hain. Chahe wo kisi company ke andar karya ke
dauran ho ya ghar par ho.
Safety se sidha
sambhandh insaan ke apne jiwan kaal se hota hain. Suraksha hi hain jo insaan ko
jina sikhata hain. Jab koi chhota bachcha rahta hain. To maa pita use suraksha
ka path padhate hain.
Kaha jana hain
kaha nahi jana hain. Kis tarah se khelna hain. Jis me jokhim na ho. Agar insaan
itna laparwah ho jaye ki har samay risk leta rahe.
To uski zindagi
bahut kam bachti hain. Jinda rahne ke liye suraksha bahut jaruri hain. Safety
ko sahi tarike se janane aur iske prati jagruk rahne ke liye. Safety se
sambandhit bahut se course chalu kiye ja chuke hain.
Is me diploma aur
degree jaise course bhi samil hain. Ek padha likha aur jankar aadmi hi suraksha
ke bare me kisi ko achchhi tarah se bata sakta hain. Logo ko sahi se samjha
sakta hain. Har chhetra ma suraksha bahut jaruri hain.
Chahe wo sadak ho
ya factory. Surakshit rah kar ek khushal jiwan bitaya ja sakta hain aur bina
safety ke ek dard bhara jiwan bitana padta hain. Safety alag alag jagah ke liye
alag alag hota hain.
Jaise ki agar koi
kisi plant ya industry me kaam karta hain. To waha par industrial safety ki
jarurat padti hain. Road par koi gadi drive kar rahe ho to road safety ki
jarurat padti hain.
Height me kaam
karte samay height safety ki jarurat padti hain. Ghar me agar khana bana rahe
ho to kitchen safety ki jarurat padti hain.
Par har jagah
suraksha ka sirf ek hi maksad rahta hain. Jaan wo maal ki hifajat karna.